Debate Tips In Urdu Speech Techniques Hindi How To Presentation Skills Debate Ka Tareeqa

  Lal Gulab      

Tarika Debate Tips In Urdu How To Do A Good Debate For Students In Hindi

What Is Debate Kya Hai: Debate aik azaad aur mukhtalif nazriyat ke insanon ke darmiyan discussion hoti hai jis mein kisi aik makhsoos subject par sair hasil bahas ki jati hai is mein kamyabi aur sabkat hasil karne ke liye khas maharat aur fan ki zarurat hoti hai. Is mein kamal aur hunar mandi experience aur mutalia se paida hoti hai. Taham hum aap ko chand mufid tips batate hein jin ki madad se aap kisi bhi debate mein behtar andaaz se performance de sakte hein.

Sab se pehle mubahisa debate mein shamil kiye gae topic ko mukamal tor par parh lia jae aur is ke mutalik tamam malumat par dastiras hasil ki jae ta ke aap khud aitamadi se apne khayalat ka izhar ka sakien. Apni shaksiyat mein mazeed nikhar paida karne ke liye ache aur mauzoon libas ka intakhab bohat zaruri hai is liye debate mein shamooliat se pehle apne libas ka intekhab kia jae. Mutalka subject par mukamal tahkik ki jae aur is ke eham nakat ko zaroor zair bahas laya jaye. Bahaz o mabahisa mein andaz bayan nehayat muhtat hona chahye kisi ikhlaqi mauzooh par bahas na ki jae agar opposition ki taraf se koi gair ikhlaqi bat ho to aap wasia nazri aur itmenan se kaam lain. Zaati ikhtalafat aur zaati masail ko bahas ka hisa na banne den balke sirf aur sirf muntakhib shuda mazmoon ke mutaliq hi baat ki jae ta ke debating ka asal maksad khatam na ho.

Debating mein jis qadar aap mauzooh par girafat hasil karenge aapka pala bhari rahega is liye mazmoon aur topic ke daire kar mein rah kar bahas ki jae. Mauzooh bahas ke markazi khayal aur khulasa ko nehayat umdegi se paish kia jae is ke liye ache alfaz aur mazboot quwat iradi ka hona bohat zaruri hai ta ke dusron ko apne khayalat par kail kia jasake. Dusron ke khayalat aur comments ki mukhalfat aur toheen na ki jae balke is ke mukable mein apne khayal ko behtar tarike se paish kia jaye. Samaeen ke Jazbat ka khas khayal rakha jae kisi bhi samah ki dil azari na ki jaye.

Hamesha ache ikhlaq ka muzahira karen ta ke bahas o mubahisa ke session mein bad nazmi paida na ho. Baaz log apni bat mein zor paida karne ke liye zayada uncha bolte hein jo ke munasib na hai. Uncha bolne se alfaz bhari aur qeemti nahin balke mazboot logic ke sath die gae jawabat ki zayada ehmiyat hoti hai. Apni takrir o bayan ko jamia banane ke liye zayada se zayada mutala karen aur apne khayalat ko bayan karne ki behtar mushak karen is ke liye zaban aur alfaz nehayat sada aur pur asar hone chahye. Debate se pehle mutalka mauzooh ko yaad dehani ke liye pehle aik kagaz par likh lain yani is ke eham points note karlen ta ke bar waqt in ka behtar tor par istamal hosake. Agar debate ka mahool baaz wajuhat ki bina par na khushgawar ho bhi jae to sabar aur istakamat ka daman hath se na chorain aur sabit qadmi ka muzahira karte hue maslay ka hal talash karain.
logoblog

Thanks for reading Debate Tips In Urdu Speech Techniques Hindi How To Presentation Skills Debate Ka Tareeqa

No comments:

Post a Comment