Chikoo Benefits Urdu Chikoo Ke Faide Chiku Benefits Hindi For Weight Loss Sapodilla

  Lal Gulab      

Chikoo Benefits In Urdu Chiku Ke Faide In Hindi Sapodilla

Fruit Chikoo Khane Ke Faide: Chiku ka nabatati name manilkara zapota hai chikoo ko english mein Sapodilla kehte hain is ka chilka alu ki tarah hota hai is mein 2 se lay kar 10 tak black seeds hotay hain. Chicku tree saal mein 2 baar phal deta hai is ka zaiqa meetha aur dar cheeni jesa jab keh shakal saib aur nashpati jesi hoti hai chikoo ka darakht saal mein 2000 phal deta hai.

Agarcheh ye kacha hota hai is ka zaiqa kaseela hota hai jab keh mukamal pakay hue cheeku meethay hote hain chikku ghazai reshay se bharpur hote hain. 100 gram chikoo mein 6.5 gram reshay hote hain. Sapodilla fruit mein vitamins maslan folate aur potassium, folad aur sehat bakhs ghair takseedi ajza shamil hote hain.  Is mein vitamin c ki bari maqdar hota hai jub keh vitamin A bhi is mein bari maqdar mein paya jata hai. Chikoo namyati ajza ke sath mukammal ghaza hai jo sehat ko behtar banane ke liye intihai behtareen hai is mein cholesterol aur sodium bohat kam hote hain chikoo for weight loss bhi use hota hai ye december se lay kar march tak asani se available hote hain jub keh is ke arooj ka mausam february se april aur december ka hota hai.

Precious Chikoo Fruit Health Benefits In Hindi Sapodilla

Mahireen ki janib se sapodilla nazar mein behtari ke liye fayde mand hai ye body ko tawanai pohanchanay ki salahiyat rakhta hai is liye athlete ko chekoo ka istemal zaroor karna chahiye. Amal inhezam mein behtari lata hai sath hi har qism ke dard sozish ko kam karne mein bhi madad gar sabat hota hai.

Chickoo cancer se mehfooz rehnay hadiyon ko mazbooti faraham karbne qabz ke marz se nijat aur degar infection se bhi mehfooz rakhta hai. Chikoo fruit khoon ko rokne ki khasoosiyat bhi rakhta hai aur chiku ka istemal bawaseer aur zakhamon se rasnnay wale khoon mein kami lane ke liye bhi khaya jata hai.

Chickoo seeds yani chiku ke beej ka agar paste bana kar insects ke katnay ki jagah par lagaya kaye tou dard se aram milta hai ye insani jism mein dakhil hone wale mutatad jaraseemon se bhi mehfooz rakhta hai aur is mein paya jane wala vitamin c folic acid ke azad zarat ko kharij karne ki salahiyat ke liye bhi kafi madad milti hai is phal ke khane se asab pur sakoon aur dabao ka khatma hota hai jis ke baes zehni health mein behtari ati hai bechaini aur depression wale logon ko chiko khana chahiye.
Chicu kidney aur masanay ki pathri ko kharij karne aur gurde ki bimari se bhi tahafuz deta hai ye phal wazan mein kami lata hai jis ke baes insan mota nahin hota is liye weight loss karne wale insan sapodilla ka zayada istemal kartay hain is mein magnesium khoon aur khoon ki nason ke liye mufeed hai  is mein potassium blood pressure ko behtar banane mein acha hai.
logoblog

Thanks for reading Chikoo Benefits Urdu Chikoo Ke Faide Chiku Benefits Hindi For Weight Loss Sapodilla

No comments:

Post a Comment