Breakfast Benefits In Urdu Nashta Ke Faide In Hindi Breakfast Advantages

  Lal Gulab      

Breakfast Benefits In Urdu Nashta Ke Faide Nashta Karne Ke Fawaid In Hindi Nashta Na Karne Ke Nuqsan

Nashta Banae Aap Ko Chaak o Choband: Bachon ko sehat bakhsh aur jald hazam hojane wali ghizain khilana bohat zaruri hai misal ke tor par phal, kachi sabzi maslan gajar aur kheera, doodh, dahi, makhan, anda aur shahad agar bachon ko rozana aik jaisa nashta karaya jae to wo bor hojaenge is liye rozana alag alag tarah ke nashte ka istamal kia jana chahiye.

Aik taza taren tibi tahkik ke mutabik agar aap apna wazan kam rakhna chahte hein to bhari bharkam nashta karen. Tibi mahren aur science dano ke mutabik rozana bhari nashta jism mein chiknai ko kam karta hai. Aise afrad jo nashte mein apni din bhar ki nasaf khorak kha jate hen in ka wazan mamuli nashta karne walon ke mukable mein zayada taizi se kam hota hai. Tahkik ke mutabik nashte ka bara hisa aap ke jism mein charbi nahin banata, taham koshish ye honi chahye ke aap ka nashta protein aur carbohydrate par mushtamil ho. Is se baki din aap ko meethi aur Nashta dar ghiza ki talab nahin hoti balke tawanai tamam din ke liye bar karar rahti hai mazkura tahkik 100 se zaid afrad ki nashta ki adat ke mutale ka natija hai. Tahkik ke pehle 4 mah ke arse mein kam carbohydrate wali khorak khane walon ne tezi se wazan kam kia jabke 8 mah ke arse ke bad bharpur nashta karne walon ke wazan mein dubara izafe ki raftar kam carbohydrate laine walon ke mukable mein kam rahi.

Baaz logon se subha sawere uthte hi nashta nahin kia jata, aise log zayada se zayada chae ka aik cup pi kar apni takan utar lete hen. Logon ki aksiriyat is bat se na wakif hai ke subha sawere nashta sehat ke liye kis kadar mufid aur chae kitni nuksan da hai. Subha khali pait chae ke istamal se made mein taizabiyat ke khatrat dugne hojate hein aur sara din tabiyat bojhal rahti hai. Isi waja se subha ke waqt bagair kuch khae piye chae ke istamal se parhez zaruri hai. Khali pait apne din ka agaz karna Bohat bari galti hai is liye subha ke nashte par khasusi ahtamam kia jana chahye. Sara din tawanai barkarar: Nashte mein rozana doodh, dalia aur aik choti chapati shamil karne se na sirf jism ki nashonuma barkarar rahti hai balke jismani tawanai mein izafa bhi hota hai kyun ke doodh aur daliye ke nashte se 20fesad se zaid calcium hasil ki jasakti hai aur ye cheezain hadiyon ke dard se bachao mein eham kirdar ada karti hain. Subha sawere munasib nashta karne ke bad apne mamool ke kam karne se aik to thakawat kam hogi dusre sara din kam karne ke bad bhi tawanai barkarar rahti hai.

Nashta Aur Bache

Waise to subha ka nashta kisi aik ghar ka nahin balke aksar gharano ka masla hai. Khasusan bachon ko subha ke waqt khuch bhi khilana aik dushwar amal hai. Aksar bache nashta karne ke choor hote hen kyoun ke wo nahin jante ke nashta in ke liye kyun zaruri hai. Waldain bachon ko zabardasti nashta aur khana Khilate hen jis se bachon ki tabiyat kharab hojati hai. Waldain ki aksiriyat is hawale se doctor se rujoo karti nazar ati hai. Bachon ko sehat bakhsh aur jald hazam hojane wali ghizain khilana bohat zaruri hai misal ke tor par phal, kachi sabzi maslan gajar kheera, doodh dahi, makhan, anda aur shahad agar bachon ko rozana aik jaisa nashta karaya jae to wo bor hojaenge is liye alag alag tarah ke nashte ka istamal kia jana chahye. Kisi roz meetha dalia to kabhi double roti ande ka istamal har roz nashte mein mukhtalif aur mazedar cheez honi chahye ke bache ka dil ise khane ko machal jae. Nashta bachon ki sehat ke liye intehai zaruri hai. Nashte ke zariye bache apna wazan barha sakte hen aur mote bhi nahin hote aur in ki tawanai barkarar rahti hai. Nashta na karne wale bache parhai mein bhi dusron se peche rah jate hein. Dimag ko subah sawere jo tawanai darkar hoti hai wo nashte ke zariye mil sakti hai.

Khail kod aur chusht rahne ke liye rozana nashta darkar hota hai khuwa aik glass doodh hi kyun na pia jae. Koshish karen ke nashta kisi bhi hal main na chorain balke nashta karke ghar se nikalne ko apni adat banalain. Raishe dar ghizain aur hamara nashta: Raishe dar ghizain aap ki tarz hayat ko tabdeel kardia karti hain. Fibre aap ko juice, phaloon, sabziyon aur tamam ajnas se hasil hosakta hai. Yad rakhen ke fibre ki shamooliat bhi ghiza ke liye bohat zaruri hai aik balig mard ya aurat ko rozana 40gram fibre zarur istamal karna chahye. Raishe dar ashia ki asan tashkheesh ye hai ke in ko zayada dair tak chabane ki zarurat paish na ae. Aj kal hamare yahan bhi ye rawaj chal para hai ke khane pene ki cheezain dabon mein milne lagi hein.aur har dabe par matlooba protein vitamins aur fibre wagera ke paimane likhe hote hein. Is tarah aap ko ba asani pata chal sakta hai ke aap kitna fibre istamal kar rahe hein. 

Aik mahir ghizaiyat ne ghiza mein tawazun kaim karne aur ghiza ke zariye tawanai hasil karne ka aik asan nuskha bata dia hai is ka kahna hai ke nashta badshahon ki tarah karo, dophair ko khana am admi ka ho aur rat ko khana gareb admi ka. Nashta pur takaluf is liye ho ke is se aap apne din agaz karte hen aur is waqt matluba mikdar mein fibre aap ko hasil hosakti hai. Nashte mein agar aap ko phal bhi istamal karen jin ke zariye fibre ke istamal ke beshumar fawaid hen. Tahlil shuda fibre phaloon, phaliyon wagera mein maujood hota hai jo jism mein maujood kasafat ko ba asani kharij karne mein mawan sabit hota hai. Behar hal ye dekha gaya hai ke hum mein se bohat se log fibre ke fawaid jan laine ke bawajood itni mikdar mein is ka istamal nahin kar pate. Mahir ghizaiyat ka ye kahna hai kaha gar aap ne matluba mikdar se adha bhi fibre istamal karna shuru kardia to is ke hairat angaiz fawaid aap ko hairan Kardainge. Sab se pehle aap ka kabaz khatam hojaega. Jo bazat khud kai bemariyon ka sabab hai. Dusri taraf aap ye na samjhain ke zayada khane se aap tandrust aur tawana rah sakte hein aisi koi bat hai balke zarurat se zayada khailna kabhi kabhi paichedgiyon ka sabab ban sakta hai.
logoblog

Thanks for reading Breakfast Benefits In Urdu Nashta Ke Faide In Hindi Breakfast Advantages

No comments:

Post a Comment