Acha Insan Banne Ka Tareeqa Acha Insan Kaise Bane Hindi Tips Ache Insan Ki Pehchan

  Lal Gulab      

Urdu Acha Insan Banne Ke Tarike Tips Ache Insan Ki Pehchan

Acha Insan Kaise Banain In Hindi: Kya log aap ko pasand kartay hain? Aap ki personality aap ki shakhsiyat se mutasir hote hain? Kya aap apni shakhsiyat ki tameer chahte hain tou aaj aap ko logon ki nazar mein acha bannay ka tarika aur khuch tips batai ja rahi hain umeed hai aap ki personality mein kafi behtari aye gi aur aap acha insaan banane mein kamyab ho jayain ge. Aap ki zaat aap ki zehni salahiyat adaton aur mazaj se tashkeel hoti hai ayeye woh tarike janniye jin par amal kar ke aap apni personality achi bana kar dusron ki attention bhi hasil kar sakte hain.

Insan Acha Banne Ki Tips In Urdu

  1. Sub se pehle tou ye achi tarah samajh lain keh na tou logon se itna kam milain keh woh aap ko maghroor aur bad mazaj kehne par majboor ho jayain aur na itna zayada milain keh log aap se katranay lagien is liye jitni zaroorat hai utna rabta rakhain.
  2. Logon se miltay waqt is chez se bachiye keh "Apni baat lakhon ki dusron ki khak ki."
  3. Baat kartay hue (guftugu ke doran) apne masail, preshaniyon ka zikar kam se kam karain.
  4. Achai ya burai ka inhisar zuban mein posheeda hota hai is liye samne wale ki tabiyat aur zooq ke mutabiq guftagu karne ki koshish karain aur mukhalif ki baat ko ahmiyat dain.
  5. Zinda dili ka muzahira karain sard mhri se bachiye kehne ka matlab hai ke apni personality boring na banayain.
  6. Agar aap ghair zumaidar mashoor hain tou apne uper se is label ko hatanay ki koshish karain.
  7. Kisi se bhi guftugu kartay waqt ye zaroor sochiye keh aap kya keh rahe hain aur kis se keh rahe hain kahin aisa na ho keh bolne ke baad aap ko pashemani hi keh aap ne ye kya keh diya.
  8. Dusron ke samne apni qabliyat aur rutba ka rob mat jhariye baar baar apni kamyabiyon ka zikar na karain kyoun keh aap jo bhi hain wohi nazar atay hain tou phir charcha kyoun?
  9. Aap jis umar ke logon mein ya mehfil mein hon un se un ki age ke mutabiq talk karain.
  10. Is ke sath sath personality ko behtar banane aur is ki tameer achi karne ke liye zaroori hai keh apni sehat ka khas khayal rakhain musbat aur tameeri sargarmiyon mein hisa lain mutalia yani achi information wali books parhain mazhabi aqdar apnayain maloomati tv shows dekhain.
  11. Kaha jata hai keh preshani mein pata lagta hai kon aap ka mukhlis yani aap se sincere hai is liye kisi ka ghum kabhi na chhorain aur dusron ki khushiyon mein bhi zaroor shamil hon.
  12. Tohfay aisi cheez hain jo mohabbat ke sath insan ki izzat mein bhi izafa kartay hain aur dusron ki nazron mein aap aik alag aur acha muqam hasil kar laitay hain is liye apne qareebi logon ke liye un ki pasand ke mutabiq gifts purchain karain is ke ilawa jin ki nazron mein acha banna chahte hain  un ke liye bhi tohfay select kiye ja saktay hain.
  13. Ye choti choti batain hain jo aap ko aik acha insan aur achi personality ka malik bana sakti hain bas zaroorat hai keh in baton ko apnaya jaye. (Ye Article Abhi Jari Hai)
Agar aap bhi koi personality behtar karne ki tips jantay hain tou yahan par comment mein puri dunya ke logon se share karain kyoun ke is site par rozana taqreeban dunya ke har mulk se log atay hain.
logoblog

Thanks for reading Acha Insan Banne Ka Tareeqa Acha Insan Kaise Bane Hindi Tips Ache Insan Ki Pehchan

No comments:

Post a Comment