Zika Virus Urdu Symptoms Zika Virus Treatment Zika Virus Ka ilaj Information Alamat Hindi

  Lal Gulab      

Hindi Zika Virus In Urdu

Maloomat, History, Precautions Aur Bachao - Bazariya machar pheelnay wale virus se 20 mumalik ke shehri ab tak mutasir ho chukay hain yehi wajah hai ke scientists par zoor diya ja raha ahi keh woh zika virus ka ilaj fori daryaft karain. Zika virus ki wajah machar hain jis ke baes bar-e-azam- America ke 20 se zayada mulk ke shehri mutisari ho rahay hain jo intihai tashweeshnak baat hai. Science danon ka kehna hai keh zika virus vaccine tayar karne mein 10 bars lag saktay hain. Ye aik khas qisam ke machar ke katnay se jism mein muntaqil hota hai is machar ki wajah se dengue bukhar aur chikungunya virus bhi pheelta hai jis ki wajah se small head wale bachon (babies) ki paidaesh hoti hai.

Hamla khawateen (pregnant women) ko mashwara diya jata hai keh woh zika virus se mutasira mumalik ka safar hargiz na karain ab ye virus  brazil, chile are peru samait shumali aur janoobi America ke 21 mulkon ko apni lapait mein lay chuka hai sirf brazil mein 4000 bachay paide hue hain jo is virus se mutasir hain.

Hindi Zika Virus Information Urdu

Ye virus machar ke katnay se mee ke khoon mein dakhil hota hai aur wahan se us ke pait mein mojood bache tak pohanch kar us par asar andaz hota hai. Is virus ke mutaliq jo cheez zayada khatarnak nai woh ye hai keh is ki tashkhees bohat mushkil kaam hai jis se khatoon ko zeeka se mutasira machar kat'ta hai usay bukhar mehsoos hota hai magar us bukhar ki alamat dengue bukhar jesi hi hoti hain is liye doctor isay dengue fever samajh kar is ka ilaj karte rehte hain aur dar parda virus apna kaam dikha jata hai.

Alamat Zika Virus Symptoms In Urdu

  1. Taqreeban 5 log jo zika virus se mutasir hotay hain un mein se 1 zayada bimar hota hai.
  2. Zika virus ki alamat mein sub se aam alamat bukhar, rash, kharish, joron ka dard ya ashoob chasham (surkh ankhain hona) hain degar signs mein pathon mein dard aur sar dard shamil hain zika virus disease ke asrat kab tak zahir hotay hain is bare mein abhi tehqeeq jari hai par andazan ye 1 din se aik haftay mein apne asrat dikhana shuru karta hai.
  3. Zika virus aam tor par mutasira insan ke khoon mein khuch dinon ke liye rehta hai par khuch logon mein ye is se bhi zayada dinon ke liye rehta hai.
  4. Is mein is baat ka khayal rakha jaye ke shadeed bimari ki surat mein hospital mein admit hona zaroori hota hai.
  5. Is bimari se kam log martay hain par zayada ahtyat ki jaye tou nuqsan se bacha ja sakta hai.

Hindi Zika Virus Ka ilaj In Urdu Zika Virus Treatment In Hindi

  • Zika infection ko khatam karne ke liye abhi tak koi vaccine aur medicine tayar nahin hoi par khuch ahtyati tadabeer se is se chutkara mumkin hai. 
  • Is virus ke logon ke liye zayada se zayada aram karna behtar rehta hai.
  • Pani ki kami na honay di jaye is liye juice pani aur dusre mashroobat ka istemal kiya jaye. 
  • Agar kisi ko zika virus hai usay chahiye ke woh machar ke katnay se khud ko pehle haftay mein zayada bachaye kyoun ke infection ke pehle haftay mein zika virus khoon mein paya jata hai aur is tarah aik mutasira insan se dusre mein muntaqil hota hai machar ke katnay se woh insan jis mein ye virus paya jata hai agar usay koi machar kaat lay aur woh machar kisi aur ko kaat lay tou woh bhi is bimari mein mubtala ho jata hai.
logoblog

Thanks for reading Zika Virus Urdu Symptoms Zika Virus Treatment Zika Virus Ka ilaj Information Alamat Hindi

No comments:

Post a Comment