Thele Wala Shahzada Summary Thele Wala Shahzada Khulasa Urdu

  Lal Gulab      
Thaile Wala Shehzada Notes

Musanif Naam Aur Taruf

Aap ka name Ali Hassan aur Khwaja Nizam Uddin Aulia ke khandan se hone ki bina par nizami kahlate aur "Khwaja Hassan Nizami" ke name se shohrat pai. Taleem mamuli thi. Ibtada main akhbaron main mazamen likhe phir lugat goi aur pind o nasaih tahrir karke choti ke adib bangae. Ap ka tarz tahrir apni jaga ek munfarid chez hai. Chote chote jumlon main bari rawani ke am bol chal ki zaban main bari batain k jate hain. Apki tahrir bari dil nashen aur  dil aweez hai. Walai nigari apki tahrir ka urooj hai. Apki nasar nigari sadgi par kari ki behtren misal hai. Khayal se khayal aur bat se bat paida karna apka fan hai aur ye rang 7581 ki jang azadi ke wakiyat bayan karne main numaya hai. Sozo gadaz aur dard o gam ki alam nak taswerain apki mashoor kitab gadar dehli ke afsane aur baigmat ke ansu main milti hain. In afsano main dehli par angraizon ka kabza hone ke baad Jahan musalmano par angraiz ke zulum o sitam ka hal maloom hota hai wahan shahi khandan ke afrad ki bebasi aur bekasi par bhi roshni parti hai. Thele wala shahzada ki dastan bari ibrat nak aur nasiyat amuz hai. Ye dastan akhri mughal tajdar bahadur shah zaffar ke bhatije shahzada zaffar sultan ki hai jo shahzadi ki ki yaptaki tarah bari dard angaiz ibrat nak aur ilam nak hai.

Summary Thele Wala Shahzada Khulasa In Urdu: 

Ye wakia 11 may 7191 ka hai. Intehai garam aur chichlati dhoop main burha thaile wala shahzada ek ainton ke bathe se aintain utha kar nai dehli le jaraha tha. Sar par suraj ki taiz kirnain aur mon chon par raste ka gird o gubar aur paishani par katrat iske peche ek motor galban kutub sahab se ahrahi thi. Motor ban ne rasta lene keliye kai dafa horn bajae lekin burhe ko sunai na dia aur motor thaile se takra gai. Magar driver hoshiyar tha. Motor ko koi nuksan na puhncha. Is motor main ek sodagar aur ek aurat bethe the. Mard nashe main dhut tha gaiz ke alam main gari se utra aur bechare thaile wale ko marne laga thaile wala akela zaif aur natawan tha aur sab se barh kar muflis aur na dar. Awal to wo kuch samjha hi nahin aur do 4 kore khaliye magar khabar nahin dil main kya himat rakhta tha ke is ne achanak bail hankne ka chabuk lekar jawabi hamla kardia aur sharabi mard ka sar fardia. Motor ban ne sodagar ki madad karna chahi magar burhe ke ek hi war se is ka chehra bhi lahu luhan hogaya. Ye daikh kar motor main sawar aurat ne rona shuru kardia aur dono mard motor main beth kar galiyan dete hue bhag nikle. Burha khamosh khara muskurata raha aur kahta raha bus ek hi war main bhag nikle taimoori tamache khana asan nahin.

Dusre din rae sena ke thane main do zakhmi thaile wale jama the jo burhe thaile wale ke sathi thi. Daroga ne pucha kya tum in ko zakhmi kia hai? Sathiyon ne kaha ke ye sunne se kasir hai tab ek sipahi ne Zor se wohi sawal kia burhe ne jawab dia han maine mara hai magar inhon ne 4 kore mujhe be waja mare phir main bhi tarki ba tarki jawab dia kyunke ye ameer log hum garibon ko ghas phos samjhte hain jabke aj se 60 baras pehle in ke bap balke sara hindustan mera mahkum tha. Daroga ye sun kar muskuraya aur samjha shayad ye burha pagal hai isliye ise hawalat main band kardi. Dusre din city magistrate ke samne burha thaile wala police ki harasat main hazir tha aur dono zakhmi bhi maujood the. Burhe thaile wale ne bayan main kaha " mera name Zaffar sultan hai aur main mirza babar ka beta hon jo hindustan ke akhri tajdar bahadur shah zaffar ke bhai the. Gadar ke bad darbadar ki thokrain khane ki bad phirta phirta dehli ah gaya aur thaila chalane laga jis roz ye wakia paish aya main apne thaile par aintain lekar rae sena jaraha tha. Main ne peche se ane wali motor ki awaz nahin suni kyun ke main behra hon motor walon ne meri halat par raham na khaya aur mjhe kore marna shuru kardiye mere badan main jo khoon hai ise ab zulam sahne ki adat hogai hai magar pehle na thi. Gadar se pehle jis jaga ap kursi par bethe hain ye meri jaga thi. Aur shariron aur sarkashon ko main isi makam par saza daita tha. Mere dil o dimag ne in baton ko abì tak faramosh nahin kia phir main 4 kore kaise bardast karsakta tha. Mene beshak apna badla pura karlia main apke insaf ke samne apna sar jhukane ko tayar hon. "burhe ki bat sun kar adalat main sanata cha gaya aur har shakhs abdida hogaya. Adalat ne burhe thaile wale ko baizat bari kardia aur dono madiyon par dus dus rupee jurmana kardia.

Phir magistrate ne daryaft kia tumhain sarkari panshin nahin milti jo tum ye zalil kam karte ho? Is par burhe ne jawab dia is main koi zilat o sharm mehsus nahin karta kyun ke main mahnat ki rozi kamata hun aur bailon par hakumat karta hon aur khud bail ban kar gulami nahin karna chahta. Thaile wala shahzada pahar ganj ki masjid main namaz se farig hua to is din adalat main maujood ek shakhs ne is ke tamam halat jan ne ki khuwaish zahir ki. Burhe ne bataya ke wo mirza babar ka beta hai. Gadar se pehle agar cha badshah ki hakumat barae naam thi magar izat o ahtram main koi kami nahin ai thi. Gadar barpa hua to bagiyon ne bila imtiaz bohat zulm kiye lekin jab angraiz punjab ki madad se dubara dehli par kabiz hue to badshah samait sara shahar bhag nikla. Meri walda nabina thi. Inko ek rath main sawar karke apne ek dost ki taraf jo zimedar the karnal main rahte the rawana hua. Rat ko ek gaon main kayam kia wahan rat ko chor bail khol kar legae. Subha ko main fikar mand hua phir gaon se ek gari mangi magar gaon ke zamedar ne bahana kardia kyunke wo is tarah hamen lootna chahte the aur yahi kuch inhon ne kia.

Hamara mal o asbab loot kar Hamain jungle main phikwadia. Phir ek gawar waha se guzra is ne rupee paise ki lalch main walda ke sar par ek lath mara jis se wo shadid zakhmi hogai. Aur isi halat main dunya se ruksat hogai. Main ne inhain wohi rait main dafan kia aur khud ba mushkil tamam ghaset ghaset kar ek darakht ke neche ja kar lait gaya. Kuch dair main ek foji sawar wahan se guzra maine apni sar bat sunai wo sipahi bara raham dil aur musalman tha. Is ne mera ilaj karwaya jis se main acha hogaya aur iski khidmat karne laga. Phir bambay agaya aur khairati kafle main shamil hokar Makka mazma chala gaya. Wahan dus baras guzar kar Madina hazri di aur 5 baras wahan guzare. Iske bad shaam aur bagdad hota hua ek memon bhai se sath karachi ahgaya. Phir dehli ki yad satane lagi aur yahan ahgaya aur rail main mazdoori shuru ki. Kuch paise bache aur shajhe main ye thaila kharida phir ahista ahista sajhi ka hisa ada karke apna zati thaila Banalia aur ab isi main meri guzarakat hai. Sail ne bahre pan ke mutalik pucha to thaile wale shahzade ne bataya ke gaon walon ne mara to isi dimagi chot ki waja se quwat samat se mehrum hogaya ab sirf bain kan se kuch sun sakta hon dayan bilkul bekar hai. Ye bhi acha hua ke ab dunya ke aib sunne se kan kasir hain. Sail ne thaile wale shahzade ki ibratnak dastan sun kar apni kitab main likhne ki ijazat chahi to shahzade ne ijazat daite hue kaha zarur likhdo magar ye bhi likh dain ke.

Har guzarne wali bat, Guzarne wala waqt aur guzarne wali rahat taklif da aur jhooti hai magar is main ibrat zarur hai.
Baqol shair:

Guzar rahi hai zindagi, ba sadalam ba sad khushi
Tarah tarah ki ibaratain qadam qadam liye hue.
logoblog

Thanks for reading Thele Wala Shahzada Summary Thele Wala Shahzada Khulasa Urdu

No comments:

Post a Comment