Safai Urdu Essay Safai Nisf Iman Hai Azmat Safai Ki Ahmiyat Faide

  Lal Gulab      

Safai Urdu Essay Safai Nisf Iman Hai Mazmoon Safai Ki Ahmiyat Essay Urdu Safai Ke Faide

Safai ajab chez duniya mein hai, safai se behtar nahin koi shay isi se zindagi khubsurat aur qainaat ka har nazara haseen.

Mafhom

Safai gandgi ka ulat hai. Is se murad gandgi ka na hona hai. Kisi bhi chez ka ganda na hona balke pak saf hona hai. Har insan safai ko pasand karta hai. Safai mazhab insan ki nishani hai. Safai insani fitrat ka ek hisa hai. Ye fitri jazba kum to hosakta hai magar khatam nahin ho sakta.

Safai In Islam In Urdu

Islam safai ko buhat pasand zayada ehmiyat deta hai. Islam mein safai ki ehmiyat ka is se  bara saboot r kya hosakta hai ke har ibadat ke liye pak saf hona buhat zaruri hai. Namaz parhni ho ya Quran pak ki tilawat karna ho tou is ke liye zaroori hai ke bande ka jisam pak saaf ho aur woh wazu ki halat mein ho.

Aap SAWW sadah magar saaf suthra libas pasand farmate thay baqaidgi se ghusul karna, miswak karna aur khusboo lagana Aap SAWW ke mamoolat mein shamil tha.

Safai Aur Sehat

Safai aur sehat ka choli daman ka sath hai jahan safai ho gi wahan sehat ho gi jahan safai nahin ho gi wahan sehat ka kya kaam. Isi liye to kaha jata hai keh gandgi sehat ki dushman aur bemariyon ki maa hai. Lehaza sehat ke liye lazim hai ke safai ka bharpur khayal rakha jaye.

Types Safai Ki iksam

Safai ki bohat si iqsam hain maslan, jism ki safai, ghar ki safai, muhale ki safai waghera. Darj zail mein hum safai  ki in iksam par bari bari behas karain ge.

Jismani safai

Jismani safai se murad hai jism ko saf rakhna jism ko saf rakhne ke liye zaroori hai keh rozana hasb e zarurat aik ya do baar ghusal kiya jaye. Khana khane se pehle aur baad mein sabun se hath dhoye jayain. Nakhun ko barhne na diya jaye balon ki safai ka khayal rakha jaye. Saf suthre kapre pehnain gande kapre jarasemon ka ghar ban jatay hain.

Ghar Ki Safai

Ghar ki safai se murad hai ghar ko saaf suthra aur gandagi se pak rakhna mandraja zail cheezon ki safai ghar ki safai mein shamil hein.
  1. Bawarchi khane ki rozana nashta ya khana tayar karne ke baad safai karain. Yahah chunke khane pene ki chezian tayar hoti hein is liye is jaga ko jarasemon se pak rehna chahiye.
  2. Rozana ghar bhar mein jharu di jaye takay jasareem se paak ghar ho aur ghar ka mahool bhi acha rahe is ke sath sar sabz darakht lagaye jayain.
  3. Gandagi ko idhar udhar phenkne ke bajaye aik jagah kisi tokri mein dalainn ta keh baad mein usay gali mohalay ka khakrob utha kar le jaye.
  4. Khana khane ke baad gande bartanon ko para na rehne dain balkeh unhen jald az jald dho lain ta keh gande bartanon se badbu na paida ho jaye.
  5. Toilet ki safai bohat zaroori hai rozana baqaidgi se dhona chahye aur hafte mein aik baar ya do baar tezab se dhona chahiye.

Fitrat Insani

Ye insani fitrat hai keh woh khubsurat cheezon ko pasand karta hai saf suthre logon se mail jol rakhta hai. Jis admi ke mun, jism ya kapron se badbu aye usay kahin bhi pasand nahin kiya jata. Gande insan ko na to muashray mein acha makam milta hai aur na hi achi sehat usay mayasar hoti hai.
logoblog

Thanks for reading Safai Urdu Essay Safai Nisf Iman Hai Azmat Safai Ki Ahmiyat Faide

No comments:

Post a Comment