Ostrich Farming In Pakistan Urdu Shutar Murgh Farming Hindi Ostrich Shutarmurgh

  Lal Gulab      

Ostrich Farming In Pakistan In Urdu Shutar Murgh


Shutar Murg dunya ka wahid parinda hai jiske chamray ka istamal commercial satah par hota hai aur ye magar mach ki khal ke bad sab se zayada keemti tasawur kia jata hai. Pakistan main bhi mukhtalif idare ek arse se shatar murg ka chamra dar amad karke iski masnoat bairun mulk bar amad karte hain. Ek shatar murg se ostan 15 muraba foot chamra hasil hota hai jiski bain ul akwami market main qeemat kai so dollar hoti hai. Shatar murg ke chamre ki masnoat duniya bhar main intehai mehnge damo firokht ki jati hain. Pakistan ostrich company ne bhi na sirf shatar murg ke chamre ki makami tor par processing ka intazam kar rakha hai balke apne tamam farmers ko shatar murg ke ande, gosht aur chamre ki marketing main bharpur mawinat bhi farahim karti hai.

Pakistan mein bhi Shutarmurg ke chamray ki talab main izafa horaha hai taham ye talab is waqt tak puri nahin hosakti jab tak makami tor par bari tadad main shutar murg zubha na kie jain. Pakistan ostrich company ne mustakbil ki zaruriyat ko mad nazar rakhte hue shatar murg ki birding keliye makami tor par incubators ki tayari ka bhi ahtamam kar rakha hai. Is silsile main ibtadai tor par incubator zila jehlum aur karachi main lagae jarahe hain jabke tawaka hai ke mulk ke mukhtalif hison main aenda 20 mah ke doran mazid 10 incubators lagae jainge. Pakistan ostrich company ne chote paimane par farming ka agaz karne walu keliye co operative farming ka agaz kardia hai. Aise investers ya farmers jo kalil sarmaya kari se kamyab farming karna chahte hain wo company ke shirkat farmes nami mansuba ka hisa ban kar is karobar ko ba asani shuru karsakte hain is tarz ka ek mansuba karachi main kamyabi se chal raha hai jiske bad ab ye Mansuba punjab ke mukhtalif ilakon main bhi shuru kia jaraha hai.

Ye shirkat farms nami mansuba mukhtalif farms ki zameen par bhi shuru kia jasakta hai. Punjab ke mukhtalif azla se mozon zamen rakhne wale farms p o c ke tawun se ye mansuba shuru karsakte hain jabke chote sarmaya kar bhi is mansuba main shirkat karsakte hain iske ilawa fori munafa ke khuwaishmand bare bredars shatar murg kharid kar apne farm par ya p o c ke shirkat farm par rakh sakte hain iske ilawa p o c ki janib se gosht ki paidawar keliye bhi ek shirkat farm shuru kia jaraha hai jis main aam investers sade 5 lakh rupee ki sarmaya kari par ostan dedh lakh rupee ka munafa hasil karsakenge. Pakistan ostrich company ne Pakistan ostrich ki farming mein na sirf khud kafil banane ke azam ka izhar kia hai balke apne mulk ko shatar murg farming main dunya bhar main sif awal ke mumalik main shamil karne ki bhi khuwaish zahir ki hai. P o c Ki janib se mukhtalif bainul akwami idaron se rabte aur shatar murg ke gosht aur chamre ki masnoat keliye kharidaron se maide isi silsile ki kariyan hain. Pakistan ostrich company ke mutabik inki koshish hai ke aenda 5 sal tak mulk main shatar murg ki abadi lakhon main hojae aur is silsile main research and development keliye makami tor par mukhtalif idaron se tawun bhi kia jaraha hai iske ilawa pakistan ostrich company se mansilak do nojawan scholar australia aur africa se ostrich genetics main phd kar rahe hain jo mustakbil main pakistan main awla taleemi idaron se mansilk hokar mulk main shatar murg par ki janewali tahkik keliye intehai kargar sabit hosakte hain. Pakistan main shatar murg ki farming poltry farms keliye mustakbil main ek behtren mutabadil farming sabit hosakti hai. Agar har bare poltry farm ke sath sirf 10 shatar murg aur chote poltry farm ke sath 5 shatar murg ke bache bhi rakh liye Jaen to har poltry farm na sirf shatar murg ki farming ka tajarba hasil karsakta hai balke is tarah mulk main shatar murg ki abadi ka hadaf bhi hasil kia jasakta hai.

Agar hakumat ki janib se is amal ko lazmi karar dia jae to sirf 3 se 4 sal main pakistan shatar murg ki farming main dunya ke sif awal ke mumalik main shamil hojaega. Shatar murg ka gosht halal aur intehai sehat bakhsh hai. Shatar murg ko agar 7 se 10mah ki umar main zabha kia jae to iska gosht ka zaika qurbani ke bakre jaisa hota hai jabke am tor par iska zaika kafi had tak bakre aur hiran ke gosht se milta julta hai. Pakistan ke abo hawa dastiyab chara aur khorak ke bais hamare han shatar murg ke gosht ka zaika dunya ke degar mumalik ke mukable main zayada behtren hai aur makami tor par paida hone wale jawan parinde ka gosht mazed zaikadar hoga. Shatar murg ke gosht main high blood presure yani bulan fashar khoon aur dil ke marezon ke ilawa hepatitas ke marizon keliye bhi shifa hai iske ande ki safaidi khas tor par hepatitas ke marezon keliye taryak samjhi jati hai, jabke hamare hakma, docters aur science dan 21 sadi ke insan keliye rab kainat ki is baish baha makhluq par mukhtalif hawalon se tahkik karke beshumar razon se parda utha sakte hain aur pakistan ostrich company is silsile main har tarah ka tawun karne keliye tayar hai.

Mulk bhar mein ostrich farm banae jarahe hain aur iske liye mukhtalif ilakon se numainde aur dealers bhi muntakhib kiye jarahe hain taham awam ko sakhti se tanbia ki gai hai ke wo pakistan ostrich company ke barae rast rabta kiye bagair kisi se bhi koi lain dain hargiz na karen iske ilawa p o c ke pas mahir watarnari docters ki sahulat bhi maujood hai aur jin ilaqon main mae farms ban rahe hain wahan bhi docters mukarar kiye jarhe hain. Pakistan ostrich company har tarah ki rahnumai, farm Banane main madad, mayari chozon ki farahemi bemariyon aur masail ka hal aur adwiyat ki farahemi farm management, staff ki tarbiyat aur marketing main tawun ke ilawa har wo khidmat farahim karti hai jo mulk main ostrich industry ke kayam ke mawan hosake. Aise log jo abi shatar murg ki farming shuru nahin karsakte inke liye pak ostrich friends club ka kayam amal main laya gaya hai ye shoqen afrad sirf 5 hazar rupee ki kabil wapsi member ship fees ke zariye pakistan ostrich company ke mukhtalif seminar, tarbiyati workshops aur khasusi riyati iskimo se faida utha sakte hain.

Ostrich farming ki taraki main hakumat ka kirdar intehai eham hai. Is silsile main mahkama live stock ko apne qawaid o zawabit waza karne ki zarurat hai. Iske ilawa agar hakumat shatar murg ki farming par daramdi duty khatam karde aur sarkari o niji bankes ki janib se is farming keliye chote farms ko asan sharait par karze bhi farahim Kiye jaen to pakistan main shatar murg ki farming bohat tezi se taraki kar sakti hai. Pakistan main shatar murg ki farming keliye zayada tar chooze australia se dar amad kiye jarhe hain isliye wahan augest ke mahine se shatarmurg ke choozon ki paidawar shuru hojati hai. Pakistan main bhi isi mausam main shatar murg ke farm shuru kiye jasakte hain kyunke farm shuru karne ka behtren waqt wo hai jis main apko behtren aur sehatmand chooze dastiyab hon sakht sardi ke doran chonke shatar murg ke chote chozon ko sardi se bachane ka munasib intazam karna zaruri hai isliye sakht sardi se kabal chicks ki dekh bhal nisbatan asan hoti hai. Farmer keliye zaruri hai ke wo 2 mah se kam umar chooza farm main na rakhain aur achi management ke zariye apni farming ko kamyab banain farms ki kamyabi keliye zaruri hai ke wo feed aur parinde ki dekh bhal ke hawale se mahren ki tamam hidayat par amal kare kyunke aksar aukat Choti chezon ko nazar andaz karne se bara nuksan hojata hai aise log jo khud shatar murg farm ke mamlat ko na sambhal sakain inke liye shirkat farm shuru kiye jarahe hain take is shoba main kamyabi ka imkan zayada se zayada ho.

Pakistan ostrich company ka kehna hai ke shutarmurg ki farming shuru karne ka yahi behtren waqt hai aur is inkalabi farming ko shuru karne keliye har pakistani ko apna kirdar ada karna chahye is silsile main bare sarmaya kar chote farms shuru kare aur jo log abhi mazid intezar karna chahte hain wo kam se kam in baish bahao parindo se ibtadai mansuba shuru kar sakte hain zamen aur waqt na rakhne wale shoqeen afrad shirkat farms ka hisa ban sakte hain ya apne gharon, farm house aur dairon wagera par chand bare shatar murg rakh kar is sanat ke firog main apna kirdar ada kar sakte hain. 21 sadi ka gosht shatar murg ka gosht hai. Jabke europi aur magrabi akwam ise sadi ka behtareen gosht Karar de chuki hain. Shatar murg ki paidawari salahiyat ko madnazar rakhte hue ye kaha jaraha hai shatar murg dunya bhar ko khorak mohaiya kar sakte hain. Kyunke shatar murg ka ek jora sirf 12 mah ki kalil mudat main gae ke 30 bachron ke barabar gosht ki paidawar desakta hai.
logoblog

Thanks for reading Ostrich Farming In Pakistan Urdu Shutar Murgh Farming Hindi Ostrich Shutarmurgh

No comments:

Post a Comment