Norway History In Urdu Norway Information Hindi Norway Country Ki Tarikh Aur Culture

  Lal Gulab      

Norway History In Urdu - Norway Ki Tarikh

Pathar Ka Zamana

Aaj se 18000 saal pehle yahan ka pura alaqa sirf barf se dhaka hua tha jo keh glacier ki surat mein tha. 10000 saal qabal maseh mein darja hararat mein tabdeeli ki wajah se barf pighalna shuru hoi is tarah Norway ka sahil barf se azad ho gaya.

Is ke baad yahan logon ne basna shuru kiya jo keh janwaron ka shikar aur mahi geeri se guzara karte thay. Ahista ahista unhon ne patharon, darakhton, janwaron ki hadiyon aur khaal se hathyar banana shuru kiye woh log gharon aur khaal ke bane hue kheemon mein rehte thay.
Waqt ke sath sath darja hararat mein mazeed tabdeeli ati rahi bohat se log yahan akar abad hone lage taqreeban 6000 qabal maseh tak sahil aur paharon par kafi abadi barh gayi tarikh mein is ka pata nahin milta keh ye log kahan kahan se aye lekin andaza yehi lagaya jata hai keh ye log janoob ki taraf se ya maghribi jazeeron se aye thay aur ye log shumal ki taraf Rus ke rastay se bhi aye hon ge.

Naya Pathar Ka Zamana: (1800 - 4000 Qabal Masih)

Purane pathar ke zamane ke baad ko naya pathar ka zamana kaha jata hai aur ye zamana taqreeban 1800 se 4000 qabal masih tak raha sub se bara farq jo un 2 pathar ke zamane mein tha woh yehi tha keh naye pathar ke zamane mein kheeti bari ka aghaz hua jo keh mukhtalif anaj, ghala ki surat mein tha (gandum, jo aur bajra waghera) logon ne us zamane mein gharon mein gaye aur bheeron ko bhi palna shuru kiya.  Kheeti bari ka tareeqa janoob ki taraf se aye hue logon ne yahan pheela diya tha. Kheeti bari ki wajah se logon ne musalsal rehna shuru kar diya. 2000 qabal masih tak shikar aur mahi geeri sub se bara peesha tha. Jis ka andaza humain patharon par janwaron ki tasweeron se hota hai jo woh log patharon waghera par banate thay. Us door ke akhir tak kheeti bari ke paishay ne bohat ahmiyat hasil kar li thi.

Dhaton Ka Zamana (1800 Qabal Masih)

1800 se 500 qabal masih tak ke zamane ko dhaton ka zamana kaha jata hai us zamane ke ameer logon ne kansi se hathyar aur zevraat banane shuru kiye lekin tab tak kafi log pathron, hadiyon aur darakhton se hi hathyar waghera banate thay.

Norway Ki Tareekh

1380 mein Norway aur Denmark aik hi mulk ban gaya tha aur us mulk ki hukumat hone ki wajah se hi Norway peechay reh gaya tha Norway mein bhi wohi qanoon thay jo Denmark mein banaye gaye donon mulkon ki tareekh apas mein gehra taluq rakhti hai is bare mein zadeed parhain Denmark ke bare mein batai hoi maloomat mein.
logoblog

Thanks for reading Norway History In Urdu Norway Information Hindi Norway Country Ki Tarikh Aur Culture

No comments:

Post a Comment