Moon Information In Urdu Moon History Hindi Chand Ki Malomat Chand Ki Tareekh

  Lal Gulab      

Chand Ki Malomat Moon Information Urdu Chand

Moon History In Urdu Chand hamari zameen ka aik sayarchah hai zameen se koi 2 lack 40000 meel door hai. Is ka qatar 2163 meel hai chaand ke mutaliq ibtidai tehqeeqat Galileo ne 1609 mein kien. Us ne bataya keh chand (moon) hamari zameen ki tarah aik kurah hai us ne is khayal ka bhi izhar kiya keh chand par pahar aur atish fishan paharon ke dahanay mojood hain. Us mein na hawa hai na pani aur in ke na hone ke baes chand par zindagi ke koi asaar nahin paye jatay. Ye baat insan bardar jahazon ke zariye sabit ho chuki hai. Din ke waqt chand par sakht garmi hoti hai aur raat thandi hoti hai aur aisa 1 hour ke andar hota hai.

Chand ka din hamare 15 dinon ke barabar hota hai ye zameen ke gird 29 ya 30 din mein apna aik chakar pura karta hai. Chand ka madar zameen ke gird barh raha hai yani ausat fasla zameen se barh raha hai. Qamri aur Islami maheene isi ke talu aur gharoob se muratab hote hain. Chand hamain raat ko sirf thori roshni hi nahin deta balkeh is ki kashish se samandar mein mad-o-jazar bhi paida hota hai. Science daan wahan se layi gayi mitti se is natijay par pohanche hain keh chaand ki arziyat zameen ki arziyat ke muqable mein zayada sada hai.

Ibtida

Chand ki hiyat ke mutaliq mukhtalif nazriyat hain aik khayal ye hai keh ye aik sayarah tha jo chalte chalte zameen ke qareeb bhatak aya aur zameen ki kashish saqal ne usay apne madar mein daal liya ye nazriyakhasa maqbool raha hai magar scientists ne aitraf kiya hai keh aisa mumkin hone ke liye chand ko aik khaas simtaar se zameen ke qareeb aik khas rastay (trajectory) par ana zaroori ho ga jis ka imkan bohat hi kam hai.

Mojoda door mein science danon ka khayal hai keh 4.6 billion saal pehle aik dumdar sitara zor dar dhamakay se zameen se takraya jis se dumdaar sitara aur zameen ka bohat sa mada tabkheer ho kar zameen se nikal gaya. Ahista ahista ye mada zameen ke madar mein gardish karte hue ikatha ho kar chand ban gaya. Pani aur aise anasar jo asani se ur saktay thay nikal gaye aur baqi ansar chand ka hisa banay is nazriya ki tasdeeq is baat se bhi hoti hai keh chand ki kasafat zameen ki oper wali mitti ki pattiyon ki kasafat ke taqreeban barabar hai, aur us mein loha ki maqdar bohat kam hai kyoun keh dumdar sitare ka ahani hisa zameen mein dhans gaya tha jo zameen ka ahani goda bana.

Chand Ki Taskheer

20 july 1969 ko Neil Armstrong woh pehla insan tha jis ke qadam chand par paray. Chand ki haqeeqat se parda uth chuka hai aam nazriya ye hai keh ye zameen se juda hua hai chand par hawa aur pani nahin aur na hi wahan sabza waghera hai chand par sub se pehle apollo 2 utara gaya tha is ki sarzameen se jo namoonay ikathay kiye gaye un ke mutalia se pata chalta hai keh un mein aksar maqdar mein loha aur dusri bhari dhatain payi jati hain.

Chand Par Colony On Moon

America 2020 tak chand ke janoobi qutb par aik colony ke qayam ka irada rakhta hai nasa ke mutabiq is ka maqsad nazam-e-shamsi ke bare mein daryafton ki gharz se mazeed insan bardar mission rawana karna hai. 1972 ke baad ye kisi insan ko chand ki satah par bheejne ka pehla mansooba hai khalai intizamia nasa ne kaha hai keh ye taweel al mudati mansooba dunya ke 14 khalai adaron ki mushtarka koshishon ka natija hai.

Kahish Saqal

Is ki kashish saqal gravitational force zameen ki nisbat 6 guna kam hai 154 dinon mein suraj is par chamakta hai tou is ka darja hararat 48 °C par pohanch jata hai.

Chand Zameen Se

Zameen se hamain chand ka aik hi rukh nazar ata hai is ki wajah ye hai keh chand ke zameen ke ird gird gardish ka dorania aik hi hai hamain zameen se kisi aik waqt mein chand ka taqreeban 41% hisa nazar ata hai agar chand pura ho magar ye hisa khuch badalta hai aur hum mukhtalif auqat mein chand ka nisf se khuch zayada hisa mulahiza kar sakte hain jo 59% banta hai magar aik waqt mein 41% se zayada nazar nahin aa sakta. Zameen se chand ka fasla (distance) 385000 km hai agar zameen chand aur suraj ke darmiyan ajaye tou juzwi ya mukamal chand grahan lagta hai us waqt chand sayah ya surkhi mael nazar ata hai agar chand se zameen ko dekha jaye tou zameen hamesha asman mein aik hi  jagah nazar ati hai.
logoblog

Thanks for reading Moon Information In Urdu Moon History Hindi Chand Ki Malomat Chand Ki Tareekh

No comments:

Post a Comment