Mooli Ke Faide Urdu Radish Benefits Hindi Mooli Muli Ke Fayde

  Lal Gulab      

Mooli Ke Faide In Urdu

Mooli Se ilaj Mehange Amraz Ka Mooli Benefits In Urdu: Yarkan ke marizon ke liye to ye be had faida mand sabzi hai, is ke sath gur khane se ye jald hazam hojati hai. Jigar aur tali ke amraz ke liye behad mufid hai. Peshab ka jal kar ana ya ruk ruk kar ana, mooli khane se thek hojata hai. Mooli ko zayada tar kacha khaya jata hai magar paka kar khane se ye aur bhi laziz ban jati hai is ki do kismain mashoor hain, safaid mud wali aur sabz mud wali ye lambi aur shaljam ki manid gol hoti hai china ki mooli ko harsi raddish kaha jata hai maidano main ye september se november tak aur pahari ilakon main october ta january tak hoti hai.

Mooli ke tibi khawas aur ilaj gurde aur masane mein pathri ya rait ane mein is ka istamal akseer azam hai is ka matwatir istamal in amraz ka shafi ilaj hai khud dair se hazam hoti hai magar dusri ghizaon ko fori hazam kardeti hai aur bawaser ke marizon ke liye mooli aur is ke paton ka ras be Had mufid hai jo jalan aur kharish bhi khatam kardeta hai. Kharabi jigar main ye behad mufid hai. Yarkan ke marizon ke liye to ye be had faida mand sabzi hai is ke sath gur khane se ye jald hazam hojati hai. Jigar aur tali ke amraz ke liye behad mufid hai. Peshab ka jal kar ana ya ruk ruk kar ana, mooli khane se thek hojata hai, yarkan wale mooli ka ras khand main mila kar piyain afaka hoga.

Mooli khali meda khane se nuksan hota hai mooli ka namak danton par lagne se piyoria aur dandon ke amraz dor hojate hain mooli ka ras tilon ke tail main dal kar pakain jab sirf tail rah jae to ise bottle main dal lain, ye kano ke amraz ka shahi ilaj hai. Dus tola mooli ka pani namak main mila kar pene se bhari hui tali durust hojati hai. Mooli ka ras bichu par dalen to wo marjaega aur jahan bichu ne dang mara ho waha roi se mooli ka pani lagain zehar ka asar zail hojaega.Hathon par mal lain to bichu dang na maar sakain ge Ganj par rozana mooli ka ras ragarne se wahan bal ug ate hain. Mooli ke beejon ka ras bakri ke doodh main mila kar lagane se khanazer ki galtiyan door ho jati hain.

Mutwatir khane se masane ki pathri khatam ho jati hai mooli ka achar bhi ek achi cheez hai, mooli ke tukre kaat lain aur martabaan mein daal kar rakh lain umda aur laziz achar banega ye achar khane se tali, bawaser, ruka hua peshab ki takalif dor hojati hain. Mooli ka ras nikal kar ise aag par garam karen aur garha ho jaye to dhoop mein rakh kar isay sukha lain. Ise khane se sakht se sakht dard ko aram ajata hai aur ruka peshab jari hojata hai. Mooli ka namak bohat se amraz ka ilaj hai, sakht bari bari mooliyan le lain inhain kat lain aur barik karke dhoop main sukhalain, khushk hone par inhain jalain jab rakh ban jae ise pani main dal dain aur do char din pari rahne den pani main namak ajaega aur rakh neche beth jae gi. Pani nathar lain ise aag par paka kar khushk kar lain neeche jo hoga usay khurch kar sheeshi mein bhar lain ye mooli ka namak ho ga. Mooli ke namak ke mandarja zail fawaid hain: shahad main mila kar ek ek tola namak mooli khane se dama dor hojata hai. Chach ke sath ek masha mooli ka namaz roz khane se jigar ke sab amraz dor hojate hen aur yarkan khatam hojata hai. Mooli ka ek masha namak garam pani se khane se nazla zukam ko aram ajata hai. Namak mooli char guna shahad main mila lain iski ek silai ankh main lagane se ashoob chasham ko aram ajata hai. Chutki bhar mooli ka namak naswar bana kar songh lain, dimag ke keron, nazla aur zukam ke liye mufid hai.

Cheeni mila kar mooli ka namak nasf se ek masha tak khane se purani khansi ko aram ajata hai. Namak mooli ek masha badhazmi ke liye garm pani ke sath dena zaruri hai. Peshab ruk ruk kar ajata ho ya jal kar ata ho to is ke liye thande pani se mooli ka namak den. Masana ki pathri dard garda aur rait ane par bhi ye namak akseer ka kam karta hai. Mooli ka ras main rasonat ko do guna pani ho to hal karen, naram ag par ise pakain aur phir chane ke barabar goliyan banalain do, teen goliyan subha aur sham khane se bawaseer khatam ho jayegi.
logoblog

Thanks for reading Mooli Ke Faide Urdu Radish Benefits Hindi Mooli Muli Ke Fayde

No comments:

Post a Comment