Mong Phali Ke Faide Urdu Peanut Benefits Moongphali Fayde Hindi Mungfali

  Lal Gulab      

Mong Phali Ke Faide Urdu Moongphali Health Benefits

Karaen! Umeed hai ke aap sab log khariyat se hon ge dosto aaj main ne sardi ke hawale se aap ke liye moong phali ke fawaid par mukhtasir mazmoon likhne ka irada kia hai. Ta ke aap sardiyon mein moong phali to khate hi hain is ke fawaid ko bhi jan jain main umeed karta hon ke aap is mazmoon ko zaroor pasand karen ge chalen apne mazmoon ki taraf barhte hain.

Karain! Sardi ka mausam shuru hochuka hai aur log sardi ke mausam se bachne ke liye jahan garam kapron ka istamal karte hain wohi par tarah tarah ke pakwan aur mewa jat ka istamal bhi karte hain ta ke sardi ki shidat se bacha ja sake. Aaj main apke samne inhi mewa jaat mein se aik mewa jise hum moong phali ke naam se jante hain is ke fawaid ka zikar karunga. Moongphali sardiyon main istamal kia jane wala sab se zayada pasandida mewa hai aur ise har umar ke khawateen o hazrat pasand karte hain. Moongphali zaika ke lehaz se bhi Munfarid hai. Moong phali ko garibon ka badam bhi kaha jata hai. Mungfali kisi bhi mausam main khai jasakti hai. Lekin khas tor par sardiyon main suraj ke garob hote hi log isko khana pasand karte hain is ko sardi main khane ka apna alag maza hai. Moong phali ek phali dar poda hai lekin is ka shumar mewa jat main hi hota hai.

Moong phali khane ke ilawa is ka tail bhi nikala jata hai jo mukhtalif khano, double roti, cake aur adwiyat wagera main shamil kia jata hai. Moongfhali ko log kacha, bhon kar aur ubal kar istamal karte hain iske ilawa is ko mukhtalif pakwano main shamil karke zaika dar pakwan banae jate hain. Khas tor par meethe pakwano main moong phali ka istamal bohat zayada kia jata hai. Is ke ilawa is ke beshumar tibi fawaid bhi hain jinka zikar main age chal ke karunga.

Doston! Moong phali ko zayada pakaya na jaye is se is mein maujood chemyai made zaya hojaenge. Moong phali tamam mewa Jat main sab se sasta mewa hai jise ameer o gareb ba asani kharid sakta hai. Moong phali akhrot ka mutabadal hai jo akhrot na khared sakte hon wo moong phali kharid kar akhrot wale tamam ajza ka faida utha sakte hain. Agar tibi lehaz se dekha jae to moong phali main mandar ja zail khasosiyat hain:

Peanut Benefits In Urdu Mungfali

  • Moong phali duble aur kamzor afrad ke liye mufid hai.
  • Diabetes type 2 mein moong phali ka istamal faida mand hai.
  • Moong phali ke istamal se insuline ki satah barkarar rahti hai.
  • Peanut main maujood folad khoon ke naye khaliye banane main madadgar hai.
  • Body builder is se bharpur faida le sakte hain.
  • Kharish hone ki surat main moong phali ka istamal na kiya jaye.
  • Cancer mein mehfuz rakhne main hamari madad karti hai.
  • Kachi moong phali ki bajaye hamesha bhuni hui moong phali khai jaye.
  • Muthi bhar moong phali kafi hoti hai lekin agar zayada khalete hain to ap ka wazan nahin bharega.
  • Moong phali main maujood vitamins hadiyon aur danton ko mazbut banate hain.
  • Moong phali made aur lungs ke liye faida mand hai dono aza ke liye takat ka zariya hai.
  • Moong phali main aise anti oxidant pae jate hain jo ghizai lehaz se saib, chakandari aur gajar se zayada hai.
  • Agar aap ke baal gir rahe hain to moong phali ka istamal zarur karen.
  • Hamla khawateen moong phali khane se parhaiz karen allergy hone ka khatra hota hai.
logoblog

Thanks for reading Mong Phali Ke Faide Urdu Peanut Benefits Moongphali Fayde Hindi Mungfali

No comments:

Post a Comment