Mera Pehla Roza Urdu Essay My First Fast In Ramadan Bachon Ka Roza

  Lal Gulab      

Mera Pehla Roza Urdu Essay My First Fast In Ramadan

Kehte hain ke paidaish ke baad 3 ya 4 baras tak ki yadain umar barhne ke sath sath zehan se maho hona shuru hojati hain. Allah jane is main kitni sadakat hai. Mere zehan main bhi bachpan ki yadon ka ek jar sa bicha hua hai. Kuch yadain to is kadar taqatwar hain ke aisa mehsus hota hai ke main ab wohi maujood hon. Wohi sehan hai. Wohi charpai hai aur meri walda bethi hui hain ya ghar ka baramda hai aur main 3 paiyon wali cycle chalae yahan waha ghoomta phir raha hon jabke baz yadain is qadar dhundli hochuki hain ke mjhe khud shak hai ke ye yadain meri hain bhi ya nahin. Pehle roze ke bare main bathera zehan par zor dia ke khuch yaad ajaye lekin majal hai ke us waqt se khuch nikal kar ankhon ke samne aya ho.

Phir lashaoor ki madad hasil karne ki koshish ki to us ne khuch yadain mere samne rakhien keh main 4 baras ka tha jab aik muhtaram ustani ne mujhe likhna parhna sikhaya main un ka ehsan mand hon ke aaj un ki wajah se sainkron log mujhe parhte hain aur woh meri mohsin hain. 5 baras ka hua to walid sahab hath pakar kar legae aur school ke principle ke samne lakar betha dia. Inko jab pata chala ke meri ustani sahiba kon hain to in ki zaban se jo alfaz nikle wo the "yahan bhi wohi isko parhaingi" aur yu principle ke kamre se lekar jamat main dakhil hone tak, school ka wo hal kamra jahan se guzar kar jamat main jate the aur wo jamat jahan surkh rang ka furniture maujood tha mjhe sab yad hai lekin pehla roza kab rakha tha? Sawal wohi ka wohi hai. Galban 7 ya 8 baras ka tha jab shokia roza rakhne ki farmaish ki.

Walid sahab ne yad dehani karwai ke roza rakhna hai to torna bilkul nahin gunah hota hai. Sardiyon ke din thay aur shoq sar par sawar tha is liye pehla roza to guzar gaya aur pata bhi nahin chala. Ghar main amuman ye pucha jata tha ke "roza rakha hai?" jawab han mein phir agla sawal pucha jata tha. "kaha rakha?" aur hamara jawab kabhi ye ke "Daraz main rakha hai" ya kabhi ye ke "peti main rakha hai" aur walda aksar behlane ko kehti thi ke jao bhag kar jao aur dekh kar aao ke roza wahan abi tak rakha bhi hai ya nahin. Shuru ke roze to khair se bare ache guzre lekin jab ilm hua ke ye karoobar tou mahina chalna hai to shok ahista ahista bethta gaya. Sardiyon main garmiyon wali piyas lagne lagi aur ham thande pani ki kuli karne ke bahane 2 - 4 ghont pani ke wese hi halak se utaar jatay thay ke kis ko pata chalna hai? Aur yun roze main kafi aasra ho jata tha. Sehri mein uthna bhi us waqt ek advanture se kam nahin tha. Roz uthna, nafal parhne phir sehri khani aur is ke baad ek Para mukamal karke namaz ka intezar karna ya imtehan ke dino main school jane tak kitabain lekar bethe rahna wo ek waqt tha jo guzar gaya, ab is waqt ko yaad kar sakte Hain ya in logon ko jo is waqt sath the jinki wajah se 5 waqt ki namaz beshak dande ke dar se hi lekin parhi jati thi jo har ramzan main Quran Majeed ke khatam ke bais bante the Allah un ke darjat buland farmae Aameen phir aftari ka waqt bhi aisa hi hota tha is kadar khushi ke bais jaise koi khazana hath lagne wala ho khas kar akhri kuch minute to aise hi hua karte the.
Zameen par chatai bicha kar sab ne bethna, iftar se kabal dua karni aur walid sahab khasosi tor par iftari ki dua yad karwate aur khajoor khane se kabal sab ko sarkari tor par hukam tha ke iftari ki dua ba awaz buland parhi jae aur phir khazana mil hi jata tha. Mukhtalif kism ke khane jo sirf ramzan ki barkat se pura mahina dastar khuwan par maujood hote the. Bhala aisi ayashiyan ramzan ke bagair milti hain? Mahina guzarte aj kal to pata nahin chalta abi kal hi pehla roza tha aj 18 guzar chuke hen lekin maloom nahin kia tabdeel hogaya hai. Bare hone se farak para ya hamari priorities badal gain ke ab Eid ke liye wo sari sari rat khushi main jagna naseeb nahin hota. Bachpan yad karen to mujhe achi tarah yad hai mufti munib ur rahman ke ilan ki dair thi aur nendain ur jati thi ke subha Eid hai. Intezar mushkil hota tha ke kisi tor subha hojae aur Eid dekh sakain.
logoblog

Thanks for reading Mera Pehla Roza Urdu Essay My First Fast In Ramadan Bachon Ka Roza

No comments:

Post a Comment