Khush Rehne Ka Tarika In Urdu Hamesha Khush Rehne Ke Nuskhe Hindi Upay Tips

  Lal Gulab      
Khush Rehne Ka Tarika In Urdu Khush Hone Ke Liye Tips: Zindagi dukhon se bhari pari hai har koi apne masail ka shikar aur khuwahisat ki aisi daldal main phansa hua hai ke ise maloom hi nahin ke khush bhi raha jasakta hai. Taizi ke is dor ne insan ki khushiyan, sukon, aitminan aur kanat ki dolat chen li hai. Sab meka nazam ka shikar hain aur log manshi andaz main age barh kar zindagi ko jaise taise guzar rahe hain. Aaj ki nasal apne buzurgon se in ke zamane ki babat sawal karen to burhe apne dor ko sunheri karar daite hain. 
Har koi khush rahna chahta hai, pehle se zayada khushal aur pur sakon lekin kaise? Is nukta par tehqeeq karne wale iadare army zone center ke manging directer and riyodail kahte hain khushi ke hasool ke liye ke ham aksar galti par hote hain. Aindriyo ne apne nai kitab "az khud khushiya kaise" main isi raz ka mozu bataya hai. Aindriyo ne apne karain ke samne ek sawal rakh dia ke haqiqi aur sachi khushi hai kya? Jis ke hasool ke liye har koi pareshan dikhai de raha hai. Ye haqiqi aur sachi khushiyan kyun kar naseeb hosakti hain aindriyo ne khayal main khushi depression ya iztarabi kaifiyat kisi khas model ka name nahin hai jise musbat aur apni tabiyat ke ain mutabik rakha jasake. Ye to hamare jazbat ki kos kazah ke rang hain in rangon mai se ek bhi colour nikal dia jae kos kazah adhuri rah jaegi. Dukh hai to khushi ka ehsas hosakta hai, aztarab hoga to pur sakon zindagi ki tarif samjh main aegi chezon ke kho jane ka ehsas hi inhain mehfuz karne par uksata hai sawal ye paida hota hai kya k insan khush hone ki khuwaish ko dabale? Koi to rasta hoga jo dukh aur dard ko jor kar insan ke liye asani paida karde aur zindagi ko sehal banade. Aindrio ke khayal ke mutabik iska ek hi jawab hai aur wo hai kanat.
Kanat: Lughat mein kanat zarurat ki chezon ki kam mikdar par guzara karne aur kisi shakhs ko milne wali cheez par razi hone ko kaha jata hai. Baaz aukat lafaz kanat mutalik razamandi ke liye istamal hua hai. Kanat aur bakhal ke darmiyan farak ke bare main kabil bayan hai ke: kanat aksar insan ke infiradi ikhlaq main ata hai aur ye zindagi ke imkanat se behtar istafada aur ikhrajat main ziyadti hai ijtanab karne aur khuda ki naimaton par razamandi se mutalik hai agar cha kam hi hon jabke bakhal ijtamai ikhlaq se mutalik hai jab insan ko dusron ki madad karni chahye aur muwashira ki zarurat ke silsile main apni mali aur aitabari wasail se istafada karna chahye aur is waqt bakhal se kam lekar kharch na kare. Kanat insan ki zehniyat, buzurgi, takwa aur tahmul ki awla zarfi ki alamat hai jabke bakhal ek sifat razila hai jo insan ke nafs, ehsas kamtari aur khud khuwai ki alamat hai.

Is silsile main insan 4 hison main takseem hote hain:
  1. Khud bhi khate hain aur dusron ko bhi daite hain inhain ehal ikhlaq kahte hain.
  2. Khud nahin khate lekin dusron ko khilate hain inhain ehal isar kahte hain.
  3. Khud khate hain lekin dusron ko nahin khilate inhain bakhel kaha jata hai.
  4. Khud nahin khate aur dusron ko nahin khilate inhan zalil aur kanjoos kaha jata hai.
Insan apne maal se na apne liye istafada kar sakta hai aur na dusron ko de sakta hai ye intehai past, zalil taren aur bad taren bakhal hai kyunke bakheel insan sirf dusron ko nahin daita lekin apne mal se apne liye istafada karta hai. Sab se behtar halat ye hai ke insan kanat ki riyat karte hue khud bhi apne mal se zaruri had tak istafada kare aur dusron ke liye bhi itafak kare aur inko apne mal se istafada karne main sharik kare aur muwashire ke mohtajon ke sath hamdardi kare.

Zilat o Khuwari: Jo shakhs khuda ki taraf se iske liye mukarar kiye hue rizk par kanah na ho wo logo ke mal par lalch ki nazar rakhta hai aur iske natije main inki taraf dast sawal daraz karta hai aur ye bazat khud zilat o khuwari ka sabab ban jata hai. Lalch ke nataij main ek musalsal pareshani hai. Is bina par insan ko hamesha apni zindagi main aitadal aur miyana wari ko hath se nahin jane daina chahye aur kanat ko apna shewa ilam banana chahye ke agar aisa na kare to is kabhi sadat aur khush bakhti nahin milegi. Sakoon ka ye matlab nahin ke jis jaga ap maujood hain wahan koi shor o gul na ho, koi mushkil aur koi sakht kam na ho. Sakoon ka matlab in tamam chezon ke darmiyan maujood hone ke bawajood dili tor par mutmain rahna hai.

Nakam Hone Par Kya Karain

Nakami par apke pas kia jawaz rah jata hai kya ye nakami apki zindagi ki khushiyan cheen legi. Zindagi be rang hojaegi aur jene ka koi maksad hi nahin hoga ap kya jawab daite hain is surat hal ka? Ain main apko btata hon ke zindagi kese khush raha jasakta hai. Kanat is depression ka behtren ilaj hai kanat ki dolat se apke liye khushyu ka hasol mumkin hai. Aindrio ke is istadlal ke hak main is kahan par gor karen ek shakhs jiske dono paon nahin aur mayoosi main ghar betha apni zindagi ko koos raha tha ke iske samne se ek rerhi guzri jis par ek aisa admi leta hua tha jiske paon ke sath sath hath bhi nahin the wo sirf apne dhar ke sahare zindagi guzar raha tha. Is shakhs ka sara depresion khatam hua isne ye socha ke agar paon nahin to Qudrat ne hathon se to nawaza hai, in hathon se madad se kam kia jasakta hai apni zindagi ke aidaf mukarar karke pur sakon zindagi guzari jasakti hai yahi kanat hai apne se badtar ko dekhain to shukar aur sabar ke sath sath kanat ki dolat ki sarfarazi naseeb hui.

Ab yahan sawal paida hota hai ke kanat ko kese barhaya jasakta hai. Aindrio wel kahte hain ke farz karen apko ek nai gari ki khuwaish hai ya ap apne jiwan sathi ki talash main apne ideal ko zehan main rakh kar nikalte hain aur ap kai mahino ya yahan tak ke salon tak na kami rahti hai apke khuwabon ki shahzadi ya shahzada nahin mil pata to kya zindagi khatam hojaegi? Aindrio apni kitab main likhte hain ke ap apne muhabbat karne wale logo ki ek fahrist banain aur apne in piyaron ki muhabbat ke aiwaz khiraj tahsen paish karne ka ek tarika hai ke rozana inke bare main apni rae taskar aur muhabbat ke jazbat sikhain inki achaiyon ka tajarba karke apni zaat ko kasuti par rakhain jo natija niklega ise apni zindagi par lagu karain chand dino main khush gawar tabdeeliyan apko muntazir milengi.

Aapki zindagi pur sakoon hojaigi. Ek roz jab ham ek pur hangama aur masroof sarak par se guzar rahe the to mere dost ne jo mere sath car main bethue hue the sarak ke ain darmiyan main bethi hui ek gae ki taraf ishara kia jo apne aitaraf ke shor o gul aur halchal se beniyaz asudgi se jagali main masruf thi. Main ne gae ki taraf dekha to hairani hui ke ye gae cars ke haron, scoter ki brakes ki awazon aur cycle sawaron ki takar ke bawajood be parwah kyun bethi hui hai. " gae pareshan kyun nahin hai?" main ne hairat se pucha "yahi to zehani sukoon hai" mere dost ne jawab dia. Sakoon ka ye matlab nahin ke jis jaga ap mojood hon waha koi shor o gul na ho, koi mushkil na ho aur koi sakht kam na ho. Sakoon ka matlab in tamam chezon ke darmiyan maujood hone ke bawajood dili tor par mutmain aur pur sakoon rahta hai. Yahi zehni sakon ke asal maina hain tanao se pak zindagi hi pur sakoon hai.

Tanao se khulasi ka hal hai soch wechar aur gehre sans lene ka amal apko tanao se nikal bahir lejaega. Farz karen ap dusri nokri karte hain waldain bukhar main mubtala hain ya ap apne bachon ke sakon aur inki report lene nahin jasakte. Waqt ki kami are ati hai jis se depression ka samna hai. Is surat hal main kya kaha jasakta hai. Mehaz 5 minute keliye sab kuch chor dain. Lambi sans lain aur apni zarurat ki routine par gor farmain apne waqt aur roz marah ki routine ko ham ahang karen phir dekhain waldain ki ayadat o khabar geri ke ilawa bachon ke school jane ke liye kaise waqt nikalta hai. Har shakhs tanao se pak zindagi ka khuwaish mand hai lekin ye ek haqiqat hai ke tanao aur depression se pak zindagi ek dastan hi hosakti hai. Depression aur tention ka hona zindagi ke liye zaruri hai ye apko zindgi main age barhne par mail karta hai. Asal bat to ye hai ke ye tanao aur depression apke liye mustakbil ka lahae amal tayar karne main madad mawan sabit hota hai.

Khushi Ke Liye Achi Sehat Zaroori Hai

Khushi ke liye achi sehat aur achi sehat keliye warzish bohat zaruri hai. Sehat mand afrad warzish karke apni sehat mazid behtar aur mustahikam karte hain aur kharab sehat wale bhi sojh bojh aur aitadal ke sath mukhtalif warzishon ke zariye se apni khoi hui sehat bahal kar sakte hain. Serving yoga warzish hai. Iske lafzi maina "pure jism ki warzish"ke hain. Chonke is main kandhon ke bal jism ko buland kia jata hai ise kandhon ki warzish bhi kahte hain is warzish ka shumar yoga ka awla aur behtreen warzish ke tor par hota hai balke iske mahreen aur tahkik se bhi yahi sabit hua hai ke sarain ke mukable main bohat zayada mufeed hai.
logoblog

Thanks for reading Khush Rehne Ka Tarika In Urdu Hamesha Khush Rehne Ke Nuskhe Hindi Upay Tips

No comments:

Post a Comment