Diamond Information Urdu Diamond History Diamond Hindi Heera Ki Tarikh Maloomat Hira

  Lal Gulab      

Hindi Diamond Information In Urdu Heera Ki Maloomat

Diamond Knowledge: Madniyat ki zuban mein heeray se murad carbon ki aik shakal hai Heera qudrati tor par intihai buland darja hararat aur intihai zayada dabao ke natijay mein zameen ki satah se 140 ta 190 km nechay bante hain. Atish fishan ke phatnay ke waqt laway ki harkat se hiray satah zameen ke qareeb ajatay hain. Heeron ko masnoi tor par intihai buland darja hararat aur intihai zayada dabao ke teht bhi banaya ja sakta hai jo asal amal ki naqali hoti hai is ke ilawa bohat sari degar takneekain bhi istemal ki jati hain.

Diamond History In Urdu Diamond Ki Tareekh

Tarikh batati hai ke heeray ke baray mein kaha jata hai keh sub se pehle in ko hindustan mein nikala aur pehchana gya. Hindustan mein heeron ke mutaliq kam az kam 300 saal se lay kar 56000 saal qabal tak insan janta tha. Aaj heeron ka sub se zayada istemal bator jewellery kiya jata hai. In ki chamak damak ki wajah se in ki ahmiyat barh jati hai. Mahireen ke nazdeek heeray ki 4 bunyadi khasoosiyat is ki ahmiyat ya is ki qeemat ka taeen karti hain ye 4 khasosiyat qeerat katai rang aur shafafiat hain.

Colour

Aam tor par heeron ko bilkul shafaf hona chahiye taham khuch malawaton ki wajah se heera mukhtalif rang ka ho sakta hai taham hera ki sakht khuch aisi hoti hai keh un mein mehz nazar saaz yani nitrogen ki hi milawat ho sakti hai

Shanakht - Identify

Hira hararati mosal ki salahiyat se jancha ja sakta hai Hira sheeshay ko kaat sakta hai heeray se heere ko ragarne se aik ya donon hi heeron par kharash asakti hai. Diamond ki katai intihai nafasat se ki jati hai aur is ki satah intihai hamwar aur kinara intihai tez hota hai.

Paidawar

Har saal 26000 kilo wazan ke barabar diamonds nikale jate hain in ki qeemat taqreeban 9 arab dollar hoti hai is ke ilawa aik lack kilo heeray artifical tor par banaye jate hain. Heeron ki taqreeban nisf maqdar wasti aur janoobi africa se nikalti hai is ke ilawa Canadal, America aur Australia se bhi heeray nikalte hain.
logoblog

Thanks for reading Diamond Information Urdu Diamond History Diamond Hindi Heera Ki Tarikh Maloomat Hira

No comments:

Post a Comment