Birthday Decoration Urdu Birthday Party Ideas In Hindi Birthday Themes Tips

  Lal Gulab      

Happy Birthday Party Ideas In Urdu Birthday Ki Decoration Tips

Hina ki beti aik saal ki hogai thi Hina ne us ki pehli salgirah ke liye bohat pehle se planning karna shuru kar di thi. Is silsilay mein woh dusre logon se bhi rabtay mein thi, khaas tor par aise logon se jo party decoration ki khidmat farahim kartay hain is tarah isne bhi apni ek janne wali ke tosat se apni beti ki salgirah ke moke par event management company ki khidmat hasil karli. Is company ke logo ne ek table aur dewar sajai aur isko sajane ke liye achi khasi rakam li. Hina ne is party decorator ke kam ko achi tarah daikh. Is ne is doran ye bhi jan lia ke decoration main istamal hone wala saman market main ba asani saste damo mil jata hai. Sajawat ka ye kam itna bhi mushkil nahin hai jitna ke samjha jata hai. Chonke isko pehle is bare main aghai nahin thi, is liye isne apni beti ki pehli salgirah ke moke par event managment ko higher na karne ki surat main bach jayenge.

Birthday Party Themes Tips: Ghar main sajawat ka moqa saal main kai martaba ahsakta hai. Kisi ki birthday ho ya shadi ki salgirah, garz ye ke thori bohat sajawat in mowake par zarur ki jati hai. Hina ne even decorater ko sajate waqt daikha aur is se bohat si chezain sikhi. In main se khuch techniques yahan batai jarahi hain, khawateen inko azma kar kam kharch main bohat achi party decoration khud hi kar sakti hain aur apne paise bacha sakti hain. Sab se pehle apko gubaron ki zarurat hogi. Gubare aisi chez hain jo aksar log sajawat keliye zarur istamal karte hain pehle apko gubaron se ek phool banane ki tarkib batai jarahi hai is tarkib ko azma kar gubaron ke char panch phool ap tayar karlain. Koshish karen ke jo bhi gubare kharidain wo golai main na ho balke ande ki tarah baidwi hon.

Yahan par gulabi aur pele gubaron ka istamal kia ja raha hai ap kisi dusre rang ke gubare bhi istamal kar sakti hain. Aik aik kar ke 5 gulabi gubaron ko phailain, sath hi do pehle gubaron ko bhi phula kar rakh lain. Ab pehle do gulabi gubaron ko uper wale hise se ek dusre ki nat laga kar jorlain phir 3 gubaron ko alag ganth bandh lain. Ab 3 aur do gubare jo alag alag maujood hain inko uper ke hise se ganth bandh dain. Is tarah 5 gubaron se ek phool sa ban jaega is waqt baki do pele gubare bachainge in pele gubaron ko phool ke bech main is tarah se nat laga dain ke ek pela gubara age ki taraf aur dusra peche ki taraf ho, is tarah daikhne main dono taraf se phool bana hua nazar aega. Isi tarah baki gubaron ko phula kar 4 se 5 ya hasb zarurat gubaron ke phool tayar karlain agar chahen to in phoolon ke peche kirap paper ko double fold karke gubaron se bandh dain is tarah lagega ke jaise phoolon ki tahni ho. Ab jis jaga decoration karni hai pehle is deewar par banae gaye in phoolon ko golai ya apni marzi ke mutabik laga lain aur tap se chipkadain darmiyan main bazar main milne wali "salgirah mubarak" ki pati laga dain. Ye pati ghar main bhi tayar ki jasakti hai is ke liye apko apni marzi ke do colours ki card sheet ki zarurat hogi. Is card sheet ke gol 13 adad chote aur 13 adad bare circles kat lain. Har bare circle ke darmiyan main chote wala circle glu ki madad se lagadain. Aur is par angraizi hurf tahji se happy birthday ya phir apni warsiri likh dain. Ab in circles ko kisi dori ya rasi par munasib fasle se tube wale glu ki madad se chipkadain.

Table par balloons ke rang ki munasbat se table covers char ha dain. Darmiyan main takrib keliye mangwaya ya banaya jane wala cake rakhain. Table ke uper do taraf ghar main maujood lamp ya candle stand rakhain. Aur sath hi ghar walon ki taraf se diye jane wale gifts rakh dain table ke age peche mazeed gubare phula kar rakhdain agar batai jane wali setting ke ilawa apke dimag main koi aur idea bhi ah raha hai to ap wo bhi azma sakti hain. Is tarah ghar main hi ek asan si party decoration ap khud kar sakti hain aur apne paise bacha sakti hain.
logoblog

Thanks for reading Birthday Decoration Urdu Birthday Party Ideas In Hindi Birthday Themes Tips

No comments:

Post a Comment