Ameer Taimoor Urdu History Timur Lang Hindi History Amir Taimur Information

  Lal Gulab      

Biography Ameer Taimoor Urdu History Timur Lang Hindi Amir Taimur Information In Urdu

Ameer Taimur jo (Taimoor Lang) ke naam se bhi mashoor hai (born 1336 death 1405) Taimoori saltanat ka bani aur aik tareekh alam ka azeem jangju hukamran tha. Taimur ke ustad ka naam Ail Baig tha kaha jata hai keh ustad Ali Baig apne talib ilmon ko sabaq yaad karane ke liye danday ka istemal kartay thay lekin unhon ne kabhi bhi taimur ko nahin mara kyoun keh Taimoor apna sabaq hamesha yaad kar laita tha. Aik din Ali Baig ne taimur ke walid (father) ko bula kar kaha keh is bache ki qadar jaan ye na sirf zaheen aur dusre bachon se bohat age hai balkeh is mein na qabil yaqeen salahiyatain hain. Taimur ne 3 saal mein Quran hifz kar liya tha sirf 10 year ki umar mein woh Quran hafiz ban chuka tha.

Temur aik turk qabeelay se taluq rakhta tha jis ka Changez Khan ke khandan se qareebi taluq tha. Temoor ka taluq Samarkand se tha us ke walid mamooli darjay ke zameendar thay. Taimoor darya-e-jehoon ke shumali kinare par waqia shehar mein 1336 ko paida hua. Ye alaqa us waqt chughtai saltanat mein shamil tha jo zawal ke manazir tay kar rahi thi. Chughtai hukamran bay bas ho chukay thay aur har jagah mangol aur turk sardar iqtidar hasil karne ke liye aik dusre se lar rahe thay.

Takht nasheen hone ke baad us ne sahib Quran ka laqb ikhtyar kiya (ilm najoom ki ru se sahib Quran woh shakhs kehlata hai jin ki paidaesh ke waqt zohra aur mushtari ya zohal aur mushtari aik hi burj mein hon aisa shakhs iqbal mand bahadar samjha jata hai apne door ka azeem tareen hukamran.)

Taimoor ne apni zindagi mein 42 mulk fatah kiye woh dunya ke chand nadar logon mein bhi shamil hota hai taimur ki aik khas baat ye thi keh woh aik waqt mein apne donon hathon se kaam lay sakta tha. Woh aik haath mein talwar uthata tha aur dusre hath mein kulhara.

Fatuhaat

Takht nasheen hone ke baad taimoor ne un tamam alaqon aur mulkon par qabza karna apna haq aur maqsad samjha jin par changhez khan ki aulad hukumat karti thi. Is gharz se us ne fatuhat aur lashkar kushi ke aise silsile ka aghaz kiya jo us ki moot tak puray 37 saal jari raha. Taimoor ke ibtidai chand saal chugtai saltanat ke baqi manda hison par qabza karne mein masroof ho gaye. Woh 776 mein kashghar aur 781 mein khawarzim par qabaz ho gaya is ke baad us ne kharasan ka rukh kiya. 1381 bamutabiq 783 hijri mein harat ke khandan ko itat par majboor kiya. Aglay saak nishapur aur 785 mein qandhar aur seestan par qabza kiya. 13856 mein us ne Iran ki meham ka aghaz kiya.

Hindustan Par Hamla

1398 mein Ameer Taimoor (Amir Taimur) hindustan ko fatah karne ke iraday se rawana hua. Multan aur Dipalpur se hota hua december 1398 mein Delhi pohancha. Dehli ko fatah karne aur wahan qatal aam karne ke baad woh Merith gaya aur wahan darya-e-jamna ki balai wadi mein hinduon ke muqaddus muqam haridwar mein logon ka ye samajh kar qatal aam kiya keh kafiron ko maar kar sawab kamaya ja raha hai. Us jagah Taimur ko apni saltanat ki maghribi sarhadon se tashweeshnak khabrain milien ke us ke khilaf mahaz banaya ja raha tha is wajah se timur lang foran samarkand wapas agaya.

Sham Par Fatah

1399 mein taimoor samarkand se apni akhri aur taweel tareen meham par rawana hua. Tabrez pohanch kar us ne sultan misr ke paas safeer bheejay jin ko qatal kar diya gaya tha chunanchay taimoor sultan misar ki sarkobi ke liye rawana hua.

Inteqal

Samarkand wapas anay ke baad taimoor ne cheen par hamle ki tayaryan shuru kar dien. Cheen mein aik zamane mein changez khan ki aulad ke qabze mein reh chuka tha is liye taimur us par bhi apna haq samajhta tha. Is ke ilawa taimoor kafaran cheen ke khilaf jahad kar ke us khoon rezi ki talafi karna chahta tha jis ka shikar ab sirf Musalman hue thay. Sardiyan shabab par thien aur taimoor burha tha tab 18 feb 1405 ko us is dunya se chala gaya.
logoblog

Thanks for reading Ameer Taimoor Urdu History Timur Lang Hindi History Amir Taimur Information

No comments:

Post a Comment