Hazrat Usman Ghani Urdu History Hazrat Usman Ki Shahadat Ka Waqia Hazrat Usman

  Lal Gulab      

Information About Hazrat Usman Ghani Urdu History Hazrat Usman Ka Waqia Kahani

Aap ka naam Usman tha wiladat waqia feel ke 6 saal baad hoi Aap Hazrat Abu Bakr Siddique ki dawat par Musalman hue aur ghazwa badar ke ilawa tamam ghazwat mein shareek rahe. Hazrat Umar R.A ki shahadat ke baad Aap R.A Musalmanon ke teesre khalifa muntakhib hue. Hazrat Usman R.A ki kul amdani ka zariya tijarat tha. Aap har moqa par Musalmanon ki bharpur madad farmatay.

Hazrat Usman R.A ghareebon, yateemon aur bay sahara afrad ke gham khawaar thay aur un ki har waqt madad farmatay. Aap ke door khilafat mein har taraf aman o aman tha Aap R.A ki naram tabiyat ne logon ko bohat aram diya jis se baaz logon ne najaez faida uthaya aur un ke khilaf fitna paida kiya yahudiyon ki sazish ke teht Ibn-e-Saba ne bazahir Islam qabool kiya magar woh Islam se bughz rakhta tha us ne mukhtalif alaqon mein ja ke logon ko Hazrat Usman R.A ke khilaf bharkana shuru kiya aur mann gharat kahaniyan Hazrat Usman R.A ke mutaliq logon ko sunane laga. Khuch log us ki baton mein aa gaye aur din ba din un mein izafa hota chala gaya. Unhon ne un sabaiyon ko samjhanay ki koshish ki magar woh baaz na aye aur Aap se khilafat se dastbardari ka mutalba karne lage. Hazrat Usman ki khilafat ke 12th saal ye log Madina ke gird o nawah mein jama hue Aap ne unhain Masjid Nabwi mein bulaya aur un se wajah puchi jis par unhon ne Aap par mukhtalif qisam ke ilzamat lagaye Aap un ke tamam ilzamat ka jawab detay rahe. Hazrat Ali R.A ne bhi unhain samjhaya magar un ke moqaf mein tagheer paida na hua baaz mein unhon ne Hazrat Usman  ke ghar ko gheeray mein lay liya ahl-e-madina ko dhamki di aur ye ilan kiya keh jo hamare muqablay par nahin aye ga woh amaan mein ho ga.

Mahasray ke doran balwaiyon ne Aap ko masjid mein anay se rok diya degar sahaba ne balwaiyon ke khilaf jang ki ijazat mangi magar Hazrat Usman ne farmaya keh mein ne Rasool Allah SAWW ko farmatay suna hai:
"Musalman ki talwar aik martaba jub Musalman ke khilaf myan se nikli tou kabhi wapas na jaye gi."
Is liye Hazrat Usman ne apne ghulamon se bhi farmaya:
"Jo mere difa mein nahin laray ga, woh azad ho ga."
Hazrat Usman se zayada mazloom kon ho ga jinhon ne apna difa bhi nahin kiya, jub keh 40 din tak un ke ghar ke gird mahasra raha, yahan tak keh unhon ne Hazrat Usman par pani bhi band kar diya. Aap ne akhri khutba diya aur farmaya.
"Yaad rakho agar tum ne mujhe qatal kar diya tou qayamat tak aik sath namaz na parh sako ge na jahad kar sako ge."
Aap ko yaqeen ho gaya tha keh baghi apni shararat ko hatmi shakal de kar hi dam lain ge. Aap ne yaad dilaya keh Aap ne hi Masjid Nabwi ke liye jagah tang hone ki surat mein khita zameen khareeb kar waqaf kiya. Is ke bawajod ye Aap ko Masjid Nabwi mein namaz parhne se roktay aur us kunwain ka pani Aap par band kartay.  40 din ki bhook pyas ke baad Aap mazloomana tor par shaheed hue. ummat mein aaj bhi Aap ko shaheed mazloom ki hesiyat se yaad kiya jata hai.
logoblog

Thanks for reading Hazrat Usman Ghani Urdu History Hazrat Usman Ki Shahadat Ka Waqia Hazrat Usman

No comments:

Post a Comment