Wazan Kam Karne Ka Tarika In Urdu Wazan Kaise Kam Kare In Hindi Ghareelu Nuskhe

  Lal Gulab      

Wazan Kam Karne Ka Tarika In Urdu

Kaise Kam Kare In Hindi Ghareelu Nuskhe: Wazan ghatana asan nahin, bilkhasoos is surat main ke jub aap ke samne roz roz naye tarikay samne arahe hon keh ye khain..... wo na khayain ye food supplement lain wo na lain aur kisi exercise par amal karain waghera. Par haqeeqat ye hai ke wazan ghatane ke zaman main pehle yahi sadah tareen asool kargar sabit hota hai ke " kam khain aur excercise zayada karain!" taham is main koi shaq nahin ke wazan ghatane ka dorust lai amal daryaft karna asan nahin. Kyun ke har fard ke jismani takaze is silsile main dusre se mukhtalif hote hain, zair nazar satoor main apki rahnomai ke liye chand tarkibain paish hain, jin par amal karna har ek ke liye sood mand rahega. Wazan kam karne ke zaman main mukhtalif mahairen ghizaiyat ki rai ka nichor ye hai ke agar tamam tar tadabair aur khane pene main ehtiyat ke bawajood apka wazan matloba raftar se kam nahin ho raha ya kam, hote hote ek makam par thehir jata hai to apne tarike kar main tabdeeli lain aur apne tarz zindgi par nai sire se ek nazar dalain. Kyun ke amoman aisa hota hai ke koi mamoli si adat bhi aap ki kamyabi ki rah main rokawat ban jati hai. Mahaireen ki ara ki roshni main cha tarkibain aisi hain jinhain azmane se aap ka wazan ghatane ka program, bagair kisi rokawat ke kamyabi ke sath rawan dawan rah sakta hai.

Roz Wazan Check Karna Zaroori Nahin:
Wazan ghatane ke amal ko hindson aur adad se mashroot na karain. Wazan batane wali machine in tabdeeliyon ka pata nahin laga sakti jo aap ke jism main wako pazeer ho rahi hain. Rozana wazan check karne se aap ko mayosi ka samna hosakta hai. Kyun ke is mamle main mukhtalif wajohat ke tehat onch naich ah sakti hai. Lehaza iski bajai apne kapron ki fitting par nazar rakhain aur is bat par tawaja markoz rakhain ke aap majmoi tor se apne aap ko kaisa mehsoos kar rahi hain.

Media Ke Mashwaron Par Zayada Tawaja Na Dain: Media par rozana subha o sham ke nashar hone wale mukhtalif shows main wazan ghatane ke liye nit nai mashware aur tajaweez paish ki jati hain. Lekin ye sab ki sab batain amomi hoti hain jo bilkhasoos aap ke liye nahin balke sab ke liye hoti hain aur zayada tar tajaweez tajarbe ki bajai mehaz moshaidat par mabni hoti hain. Lehaza agar aap in sab mashwaron aur tajaweez par dhayan daingi to aap ki in koshishon par manfi asar parega, jin par aap wazan ghatane ke liye amal paira hain. Lehaza jab aap fone kam karne ke liye kisi plane par amal kar rahi hon to media se dor rahain to behtar hai. Is ki bajai apni tawaja in baton  par markooz rakhain jin ke bare main aap ne khud azmaya ho ke wo aap ki sehat ke liye mufeed hain.

Apni Wardrobe Se Madad Lain: Naye libas kisi bhi khatoon ke liye intehai pur kashish hote hain. Lekin agar aap ka koi pasandeda malboos kharidne ke kuch hi roz bad tang hojai to aap achi khasi depressed aur udas hojati hain. Lekin agar aap wazan ghatane ke mamle main sanjeeda hain to udasi aur mayosi ko dil main jaga daine ki bajae inhi malbosat ko apni umeed ka markaz banain jo aap ko tang hochuke hain, apne dil main tai karlain ke aap jald hi ye malbosat is tarah zaib tan karaingi ke ye aap par bilkul fit nazar ain. Is ke ilawa agar aap ne mayoos hokar apne liye ek ya do bare size ke dress kharid liye hain to inhain apne ward rob main jaga na dain .. Balke dil kara karke inhain kisi aur ko baksh dain. Is tarah aap kamyabi ke sath apna maksad par qaim rah paingi.

Apna Khayal Rakhain:
khane pene ke silsile main parhaiz se kaam laine ka matlab ye nahin ke ab aap ke liye zindagi ki ranginiyan aur dilchaspiyan khatam hogai hain. Apne aap ko khush rakhne aur zindagi se lutuf uthane ke aur bhi bohat se tarike hain. Lehaza sehat mand tarz zindagi ke asoolon par qaim rahte hue apna khayal rakhain aur mahine main kam az kam ek bar mani cure, padicure aur massage wagera ka lutuf uthain. Is tarah aap apne maksad par dil jami ke sath qaim rah paingi jo zahir hai ke wazan ghatane ke siwa kuch r nahin.

Ahista Ahista Tabdeeliyan Layain: Wazan ghatane ke plane par amal shuru karain to ek dam apne uper jabar na karain, warna ye aap ke liye bojh ban jaiga aur jald hi aap is se ghabra jaingi. Is ki bajai apne weiht loss plane ko chote chote hison main takseem karlain aur ek ek kar ke in par amal karain. Misal ke tor par sab se pehle ye karain ke lift ki bajai seriyon ka istamal karain. Balke kabhi kabhar bila zarurat bhi do ek bar seriyan charne aur utarne ki mashk par amal karlia karain. Lunch ke sath ya sham main french fries khane ke aadi hain to is ki bajai salad khana shuru kardain. Isi tarah rafta rafta apne khane pene ke mamol main tabdeeliyan lain aur thora thora karke hi warzish ke mamol main izafa karain.

Apni Tasweerain Leti Rahain:
Sehat mand tarz zindagi ko apnane ke bad waqtan fa waqtan apni tasweerain laiti rahain, take apne aap main ronma hone wali tabdeeliyon se agha rah sakain. Tasweeron ka mawazna karte rahne se is bat ka andaza baihtar tarike se ho pata hai ke aap ne kab kitna wazan ghataya aur Kis tasweer main aap kaisi dikhai de rahi thin. Ye tasweerain wazan ghatane ke zaman main aap ke liye tahrik ka sabab ban nagi. Jab aap daikhain gi ke sehat mand life style apnane ke bad aap ki shaksiyat main masbat tabdeeliyan ai hain aur aap pehle se achi dikhai daine lagi hain to yakenan aap is sehat mand life style par shok se kaim rah paingi, in tasweeron par sahaliyon aur azizon ke musbat tabsare bhi aap ke madadgar sabit honge. Taham wazan ghatane ke is sare tarika kaar ke doran ye bat zehan main rakhna eham hai ke aap ain wohi tarike ikhtiar karke kamyabi hasil nahin kar saktin jo kisi dosri khatoon ne wazan ghatane ke liye apnae hon aur is main kamyab rahi hon. Aap chonke ek alag shakhsiyat hain, is liye hosakta hai ke aap ke liye kuch alag tadbirain kargar sabit hon. So apni zahanat ko kam main late hue aise tarike apnain jo aap ki shakhsiyat aur mizaj ke lehaz se wazan ghatane ke zaman main kargar nazar ayain.
logoblog

Thanks for reading Wazan Kam Karne Ka Tarika In Urdu Wazan Kaise Kam Kare In Hindi Ghareelu Nuskhe

No comments:

Post a Comment