Vatican City History In Urdu Vatican City Information Hindi Vatican City Tourism

  Lal Gulab      
Hindi Vatican City History In Urdu: Vatican shehar rome mein waqia aik khud mukhtar riyasat hai jo charon taraf se deewaron se ghiri hoi hai jis ka raqba 44 hectare hai aur ye dunya ki sub se choti khud mukhtar riyasat kehlati hai. Riyasat ko 1929 mein qaim kiya gya is shehar ko eesaiyon ka mazhabi darul khilafa kaha jata hai.
Vatican City Ki Tareekh: Rome ki bunyad 16th sadi mein rakhi gyi jisay ibtidai maqasad mazhabi aur samajhi thay 19th century mein Italwi hukumat ke phelao se is ke ikhtiyarat kam hone lage. Geography ke lihaz se dunya ka sub se chota shehar kaha jaye tou ghalat nahin. Vatican ko aik behad pur israr nagri samjha jagta hai kaha jata hai ke is ki bohat si rahgdariyan hain aur zameen dooz hison se vatican city ke bohat se khwas bhi shayed waqaf na hon. Aik europe mulk ke woh fauji jo vatican city ki hifazat aur pehra par mamoor hotay hain un ko aik half uthana hota hai ke woh yahan ka koi raaz fash nahin karain gey.

Pakistan Ke Sath Relations: Pakistan ke vatican city ke sath khas taluqat hain is shehar ke liye Pakistan ka aik khas makhsoos safeer hai in ke tabadla khayal mein amooman sub se aham mozu Pakistan mein esaiyon ke sath bartao hota hai. Agar kaha jaye ke vatican shehar dunya ke un puranay aur tarikhi shehron mein se hai jis ki tarikh apne andar bohat se raaz rakhti hai tou bilkul sahi hai. Is shehar mein kafi muqamat aisay hain jahan sayahon ke liye yadgar muqamat hain par aaj ke halaat mein in jese shehron ka visa hasil karna zara mushkil kaam hai.
logoblog

Thanks for reading Vatican City History In Urdu Vatican City Information Hindi Vatican City Tourism

No comments:

Post a Comment