Urdu Drama Ka Irtiqa Drama Ki Tareekh History Drama Ki Tareef Notes

  Lal Gulab      

Urdu Drama Ka Irtiqa:

Naqali: Naqal ka mada insani fitrat mein shamil hai shunashay ibtida-e-umar se hi is ka izhar hone lagta hai. Bacha bachon ya apne se baron ko jo harkat karte dekhta hai khud bhi un ki naqal utarta hai. Agar ghoor se dekhain tou naqal karne ka jazba hi insan ki taraqi ki zamanat hai. Yehi naqal un ki asal hai. Is aitbar se darama insani fitrat ka aur us ke amal ka aina hai.

Dramay Ki Asal:

Drame Ki Asam Unani lafz "Darao" se hai jis ka matlab hai "kar ke dikhana". Goya is lafz mein hi is sanf ki asasi khashoosiyat ajati hai keh baqeed asnaaf adab ke baraks isay amli surat mein sameen ke samne paish kiya jata hai.

Urdu drama ki ibtida ka zikar karne se pehle zaroori maloom hota hai keh is ke anasar tarkeebi par bhi aik sarsari nazar dali jaye. Urdu zuban mein humain 2 qisam ke drama miltay hain. Khuch tarjuma aur khuch taba zad kiye hue dramon mein jin ghair zubanon se madad li gayi hai. Un mein hindustan ki zubanon mein bangla, sarmai aur hindi zubanain shamil hain. Taba zad dramon mein hindu, daleer mala, farsi, aur arabi zubanon ki kahaniyan, hindustan ke purane qisay, makhsoos riwayat aur mojooda dor ke masail aur halaat aur waqiat se madad ki gayi hai.

Urdu Drama Ki Ibtida:

Urdu drama ka aghaz ya ibtida 1853 mein Nawab Wajid Ali ke door mein hoi aur Amanat Lukhnawi ne apni shehra afaaq drama "andar sabha" tasneef kiya. Andar Sabah ka plot us ke ganay, haseen o jameel auraton ka jamghata, zebaesh aur dilchaspi mein izafa karne ke liye shokh aur bharkeelay libad, pur takaluf parday. Gharz un tamam cheezon ne rangeen mizaj logon ko apni taraf kheencha aur bohat jald drama maqbuliat ki bulandiyon par pohanch gya.

Is ki shohrat o maqbuliat ka andaza is amar se lagaya ja sakta hai keh ahar gujrati zubanon ke ilawa hindustan ki baaz aur zubanon mein bhi is ke tarjumay kiye gaye. Phir is ki maqbuliat hindustan se nikal kar europe pohanchi aur is ko german zuban mein bhi dhala gaya. Madari Lal ki "andar sabha" jo Amanat ki "andar sabha" ke baad likhi gayi is darama ki maqbuliat ka khula saboot hai.

Adbi Aur Islahi Daramay:

In dramon ke ilawa urdu zuban mein khuch adbi drama likhe gaye hain jin mein "Shaheed Wafa" aur Qasim o Zohra" mashoor hue.

Urdu Drama Ka Mustaqbil (Future Of Urdu Drama):

Urdu drama ki ehd ba ehd taraqi par aik nazar dalne ke baad ye kaha ja sakta hai keh is ka mustaqbil bohat pur umeed aur roshan hai aur is ki mazeed taraqi ke imkanat hain. Magar dusri taraf hamare yahan stage ki kami, ahl zoq logon ki kami par nazar dali jaye tou kehna parta hai keh urdu drama ki adbi hesiyat kese taraqi karti rahe gi. Tasneefi aitbar se woh agey ki taraf qadam barhata rahe ga. Aala se aala dramay likhe jayien gey magar woh kitabon mein hi mehfooz rahain gey. Ya rasail ke auraq un ke muhafiz honge.
logoblog

Thanks for reading Urdu Drama Ka Irtiqa Drama Ki Tareekh History Drama Ki Tareef Notes

No comments:

Post a Comment