Unforgettable Incident Urdu Essay Aik Naqabil e Faramosh Waqia Meri Zindagi Ka

  Lal Gulab      

Aik Naqabil e Faramosh Waqia Essay In Urdu Aik Yadgar Waqia Meri Zindagi Ka

Unforgettable Incident Of My Life: Is se pehle keh main apni zindagi ke aik sache na qabil faramosh yadgar waqia ko aap ko gosh guzaar kar doun behtar ho ga keh khuch apne bare mein aap ko bata doun aur khuch apne mohsin ke bare mein bhi kahon mere walid fazal din jhehlum se naqal makani kar ke sindh mein abad ho gye unhon ne Memon Goth mein raes haji nabi bakhsh ke kheeton mein kari ka kaam karte hain woh mere taleem ke sakht khilaf thay un ka khayal tha keh agar main taleem hasil kar laita tou apna abai peesha chhor deta aur ho sakta hai keh khud un se door kahin aur chala jata aur Karachi mein mulazmat kar laita ya Lahore chala jata ye mehz un ke shubhat par mabni khayal tha.

Main raes ke 2 larkon Allah Bakhsh aur Kareem Bakhsh ke sath kheelta tha aur aksar un ke sath raes ke samne jane ka ittefaq bhi ho jata tha. Raes  mere sath bhi usi tarah paish atay thay jis tarah woh apne bachon ke sath salook karte thay raes ke 2 larke goth ke school mein taleem ki gharz se dakhil karaye gye tou mujhe bhi school jane ka shooq hua. Main ne apne walid se zikar kiya tou unhon ne dant diya aur kaha keh kheet mein kaam kar apni auqat pehchan munday chup kar ke baith ja. Main ro para aur bahir nikal gya raes ke larkon ne mujhe rota dekha tou wajah daryaft ki aur main ne sara waqia sunaya raes ke larke mere bare jigri dost thay unhon ne meri khawahish ka zikar raes se kar diya mere walid ki talbi hoi aur raes ne unhain danta aur dusre din raes ke deewan g munshi deen Muhammad ne mujhe school lay ja kar zaroori kaghzat dakhil kar ke dakhla dilwa diya aik hafta baad mere school ke uniform bhi silwa diye gye main raes ke larkon ke sath uthta baithta tha aur unhi ke sath baith kar apna school ka kaam karta tha raes ne hum teenon ke liye aik tutor bhi muqarar kar diya. Hum teenon ko tutor se ye kehte hue mutarif karaya mere teenon bachon ki taleem ka khaas khayal rakha karain.

Master sahib mere walid sahib us waqt mojood thay un ki ankhon se ansoo chalak paray main bacha tha mujhe samajh mein nahin aya keh akhir un ko ronay ki kya zaroorat thi lekin ab main samajh sakta hon ke raes ki anayat ne mere walid ko khushi ke ansu rone par majboor kar diya tha ye mere zindagi ka aik naqabil faramosh waqia ya youn keh lain keh aik yadgar waqia hai. Jisay main kabhi nahin bhula sakta hon kehta hai keh hatam tai mar gya kon kehta hai keh sindhi punjabiyon se nafrat karte hain haji nabi bakhsh jese sindhi tou aisa nahin karte.

Waqt guzarta gya main ne memon goth se middle ka imtehan paas kar ke Allah bakhsh aur Kareem bakhsh ke sath Karachi muntaqil ho gya hum teenon ne pehle matric aur phir I COM aur akhir mein B COM ke imtihanat mein paas ho hue karachi mein sub milne julne wale hum teenon ko aik dusre ka bhai samajhte thay kyoun keh raes ke larke mujhe Khudadad ke bajaye jo mera naam hai Khuda bakhsh kehte thay. Jub hum teenon ke graduate hone par raes haji ne memon goth mein aik jashan ka ahtimam kiya tou bakre zibah hue deegain pakai gayien gaon ke sare log aur sarkari afsaran aur dusre wadere madu hue raes ne sub se pehle mujhe phool pehnaye mubarak baad di aur kaha ke ho mere bache Khuda bakhsh tou A grade mein paas hua aur apne bhaiyon Allah bakhsh aur Kareem bakhsh se zayada imtiyazi kamyabi hasil ki tou mujhe woh din yaad aaya jub mere school mein dakhla ke baad tutor ke muqarar kiye jane wale mere walid ki ankhon se ansu nikal aye thay khushi ke ansu aur aaj main bhi ro para aur main ne jhuk kar raes ke qadam chu liye raes ne mujhe uthaya aur gale laga liya phir raes ne Allah bakhsh aur Kareem bakhsh ko phool pehnaye aur unhain bhi gale lagaya ye din aaj bhi mujhe yaad hai aur taza dam zest yaad rahe ga. Kash mere watan mein aur khas kar sindh mein bohat se nabi bakhsh paida hon Aameen.
Note: Ye mazmoon unforgettable incident essay in urdu ke naam se bhi imtihan mein a sakta hai
logoblog

Thanks for reading Unforgettable Incident Urdu Essay Aik Naqabil e Faramosh Waqia Meri Zindagi Ka

No comments:

Post a Comment