Tipu Sultan History In Urdu Essay Tipu Sultan Notes Short Pragraph Story

  Lal Gulab      

Tipu Sultan History In Urdu - Tipu Sultan Essay In Urdu

Tipu Sultan (paisdaesh (born) 10 november 1750 - wafat (death) 4 may 1799) Sultan Haider Ali ke sub se bare farzand, hindustan ke islah o huryat pasand hukamran thay.

Halat e Zindagi

Tipu Sultan ka pura naam Fateh Ali Tipu tha aap bangalore mein 20 november 1750 mein paida hue aap ke walid ne janoobi hind mein 50 saal tak angreezon ko bazoor-e-taqat rokay rakha aur kayi baar angrez afwaj ne shikast khai. Aap ne bartanwi samraj ke khilaf aik mazboot muzahmat faraham ki aur bar-e-sagheer ke logon ko ghair mulki tasalat se azad karne ke liye sanjeeda amli iqdamat kiye. Sultan ne intihai door ras asrat ki hamil fauji islahat nafaz kien, sanat o tijarat ko farogh diya aur intizamia ko az sar nau munazam kiya. Sultan ko is baat se ittefaq tha keh bar-e-sagheer ke logon ka pehla masla bartanwi akhraj hai.

Mysore Ki Ladai - 4th War Of Mysore

Marhaton ne Tipu ki taqat ko apni baqa ke liye khatra samjha aur angreezon se ittehad kar liya. Tipu Sultan ne Turkey aur France se madad hasil karne ki koshish ki magar kamyab na ho sake.

Mysore ki akhri jang ke doran jub srirangapatna ki shikast yaqeeni ho chuki thi tou Tipu Sultan ne mahasra karne wale angreezon ke khilaf bharpur muzahmat ki aur qilay ko band kar diya ghadar sathiyon ne dushman ke liye qilay ka darwaza khool diya aur qilay ke maidan mein zabardast jang chhir gayi barood ke zakhiray mein aag lag jane ke baes mazahmat kamzoor ho gayi us moqa par france ke aik officer ne Tipu ko bhag jane aur apni jaan bachane ka mashwara diya magar tipu razi na hua aur 4 may 1799 ko maidan jang mein dushmanon se larte hue shaheed ho gaye.

Andaz Hukamrani

Tipu Sultan ki zindagi aik sache Musalman ki life thi mazhbi tasab se pak thay yehi wajah thi keh ghair Muslim un ki afwaj aur riyasat mein aala ohdon par faiz thay. Hukamran hone ke bawajod khud ko aam admi samajhte bawazu rehna aur tilawat Quran aap ke mamoolat mein se thay. Zahiri namood o numaesh se parhez bart'tay. Har shahi farman ka aghaz Bismillah se kiya karte thay zameen par khadar bicha kar soya karte thay.

ilm Dost Hukamran

Aap ko mutalia ka kafi shoq tha aur aap ka zati kutab khana bhi tha jis mein books ki tadad 2000 bayan ki jati hai is ke ilawa aap sciency aloom mein dilchaspi rakhte thay aap ko bar-e-sagheer mein rocket sazi ka mojad kaha jata hai.

Sipah Salar

Har jang mein apni fauj ke shana bashana rehte aur apni afwaj ko payada afwaj ke bajaye sawaron aur toop khane ki shakal mein zayada munazam kiya. Asla sazi, fauji nazm-o-nasq aur fauji islahat mein tareekh saaz kaam kiya.

Allama Iqbal Ki Nazar Mein

Allama Iqbal ko Tipu Sultan se khasoosi mohabbat thi 1929 mein aap ne shaheed sultan ke mazar par hazri di aur 3 ghantay baad bahir niklay tou shiddat jazbat se ankhain surkh thien aap ne farmaya.
"Tipu ki azmat ko tarikh kabhi faramosh nah kar sake gi woh mazhab millat aur azadi ke liye akhri dam tak larta raha yahan tak keh is maqsad ki rah mein shaheed ho gaya."
logoblog

Thanks for reading Tipu Sultan History In Urdu Essay Tipu Sultan Notes Short Pragraph Story

No comments:

Post a Comment