Talba Aur Siyasat Essay In Urdu Students And Politics Hindi Essay

  Lal Gulab      

Talba Aur Siyasat Essay In Urdu Students And Politics Hindi Essay

Siasat Ki Tareef

Mulki mamlat, hukumat ke nasheeb-o-faraz, jahandari aur ain-o-qawaneen ko urf-e-aam mein aiasat kehte hain. Jis tarah insani sharaf ki takmeel ke liye har ilam ka janna zaruri hai, is tarah ilmi aur nazri hasiyat se siyasat ke ramooz se agha hona aur mulk o milat ki bhalai ke liye siyasat main amli tor par hisa laina koi buri bat nahin hai lekin is maksad ke liye fikar o nazar ki pukhtgi aur azmoda kari sharaid awalain hai.

Hejaan Aur Josh Ka Zamana

Jawani ka ibtadai dor zehan ki pukhtegi aur zok ki nar sai ke ilawa haijan aur josh ka zamana hota hai.siyasat main hisa laine ke liye jis fikri pukhtegi, motawazan dil o dimag aur durust rai ki zarurt hoti hai. wo talba main napaid hoti hai. aise na tajarba kar talib ilam jis ka zehan narsa, ilam tashna takmeel aur rai na pukhta aur hayat insani ke roshan aur tarekh pehlon se katai nabald hote hain. agar shomai kismat se siyasat main hisa laikar ek puri qoum ki zamam qayadat apne hath main laine ki koshish karte hain to wo kisi waqt bhi apne tajarba ki khamiyon aur be tadbeeron ke bais insano ki ek bari jamat ko tabahi ke jahanam main dhakail sakte hain.

Hosh Ki Kami

Aqal o josh ek aisi qowat hai jo hosh ko had aitadal se tajawiz nahin karne daiti. jazba ke shidat aur hosh ki kami ke sabab talba ki aksar taihrikain nakam hojati hain josh ki misal ek sar pat aur be lagam ghore ki si hai zahir hai ke aisa ghora bark raftar to zaror hoga. lekin is se kisi matain uper bhagne ki tawaka rakhna abas hai isi tarah insan ka ho josh jo hosh ke taba na ho aksar aukat is ke liye mehlak sabit hota hai.

Zehni Salahiyaton Ki Nashunuma Ka Zamana

Talib ilmi ka zamana insan ki zehni salahiyaton ki nasho numa pane, nikharne aur sanwarne ka zamana hai. is dor main koi aisa mashgala jo talba ko in ke maqsad se dor lai jata hai koi aisi hangami zimedari jo taleem jaise awla maqsad main hail hona sirf talba ke zati mafad ke liye balke qoum ke mustakbil ke liye bhi nihayat zar rasal sabit hoti hai bachon ki taleem o tarbiyat main jo zehni awamil kar farma hote hain. inhain agar hasool ilam se hata kar kisi aur kam ki taraf lagadia jai to wo tamam umar apni kawashion ke liye koi nisb ul ain nahin karsakte. kisi nisb ul ain ke tain ke bagair jaisi zindagi wo guzarain ge is ka Allah hi malik hai. Jo mashagil talba ki taleemi taraqi aur paish qadmi se sadra hote hain in mein se siyasat ka mashgala nataij ke aitabar se sab se zayada tabah'kun hai.

Tarikh Bar-e-Sagheer

Bar-e-sagheer pak o hind ki tarikh shahid hai ke qoum ke jo nonihal zehni na pukhtegi ke is dor main hi amli siyasat ke hangama zad main kod parte hain wo ilam o fan ki azmaton se hamesha hamesha ke liye mehroom hojate hain aur siyasi hasiyat se bhi kisi azeem makam par faiz nahin hosakte.

Quaid-e-Azam Ne Farmaya

Quaid e Azam ne qayam pakistan ke baad aik moqa par peshawar university ke talbat se khitab karte hue farmaya.
"Azizan e milat ! aap ko talib ilam ki hasiyat se apne kam ki takmeel karni chahye siyasi hangama araiyon se dor rahna chahye. ehsas zimedari aur nazam o zabat ke sath thoos taleem ke hasool main mansilk rah kar apni manzil ki taraf gamzan rahna chahye."
Aik moqa par 1947 main dhaka university ke talba se khitab karte hue farmaya.
"Jin talib ilmo ne apni taleem abhi tak mukamal nahin ki inhain khardar siyasat se dor rahna chahye. is sasti shohrat ke bhoke leaders ke hathon main kath putli nahin banna chahye. aap mulk ka sarmaya hain parh likh kar mulk ke sarmaya main izafa karain sirf taleem ki takmeel hi se aap apne mulk ke iktasadi muwashirati aur samaji masail hal karne main mamdo mawan sabit hosakainge. khokhli narobazi se dor rah kar taleem hasil kijiye."

Qaum Ki Qayadat Bachon Ka Kheel Nahin

Talib ilam ki zehni salahiyaton qoum ki mukadas amanatain hain is amanat main kise kism ki khayanat bhi rawa nahin honi chahye. is amanat ka haq sirf isi surat main ada hosakta hai ke talba taleem ke doran nihayat diyanat dari ke sath hasool ilam main koshan rahain aur farig ul taihseel hokar apni zehni salahiyaton ko mulk ke mufad ki khatir wakaf kardain. In haqaeeq ki roshni main ye bat waziya hojati hai. ke talba ko in saholaton se pura faida uthana chahye jo hakumat aur mawashire ne in ke liye mohiya ki hain. talba ka awaleen farz ye hai ke farig ul taihseel hokar mulk o milat ki tameer o taraki ke liye jan ki bazi lagadain aur jo umeedain qoum ne in se wabasta kar rakhi hain inki takmeel karke ane wali naslon ke liye aisi rah amal matain karain jo sadiyon tak bakae dawam ke noor se jagmagati rahain.
logoblog

Thanks for reading Talba Aur Siyasat Essay In Urdu Students And Politics Hindi Essay

No comments:

Post a Comment