Taj Mahal History Urdu Taj Mahal Information Taj Mahal Kahani Hindi Story

  Lal Gulab      
Taj Mahal History Urdu: Taj Mahal Ki Kahani In Hindi: Bharat ka naam sunain to sab se pehla khayal taj mehal ka ata hai is ke minar maihrab aur wanila yani makhrooti gumbad apne daikhne wale sehar angaiz kar dete hain ek aisa jadu bhara manzar ke siyah duniya hi bhool jain. ye ajooba apni banawat main kahin bhi jhot bolta nazar nahi ata. is ke charon taraf ishq raksan hai aur shah jahan ki saroor rooh logon ke tasorat daikh kar chaar so sal kabal tameer hone wale is shahkar par fakhar mehsoos kar rahi hai. younisko ne taj mahal ko duniya ka sab se ameer warsa karardia hai. aur noble of india to ise "waqt ke gal par lurhakta ansoo" karar dia hai. taj mahal ke hawale se jaded tehkek ne ye sabit kia hai ke ye darya e jamna main tairta hua ek pur asar shahkar tha jo ahista ahista doob raha hai. aj bhi taj mahal main ek shandar masjid hai jis main log juma ki nimaz ada karne door daraz se ate hain aur yahan tak puhnchne ke liye darya e jamna main khasosi kashtiyan bhi istamal karte hain. is bare main bohat kuch likha aur kaha gaya. yahan ham chand haqaiq par bat karte hain jo mohabbat ki is nishani yani taj mahal se mansoob hain.

1: Mardana Bartari Ki Jhalak

shah jahan ki mout ke bad inhain taj mahal main mamtaz mahal ke makbare main hi dafna dia gaya. ye makbara shah jahan ki mohabbat ki nishani tha jis ke pur shakwa minar aaj bhi is mohabbat ki yad dilate hain. jo sadiyan pehle barsageer ki raj dhani main panpi thi. ye kahani romio juliet ki kahani se mukhtalif na thi lekin mohabbat ki is dastan main ye nukta waziya tor par samne aya ke yahan bhi mardana bartari waziya  hai. is mahal ko geomatry ke muslima asoolon ke mutabik taneer karwaya tha lekin mahal main wakiya makbaron ke minar ka size mukhtalif hai. shah jahan ke makbare ke minar mamtaz mahal ke makbare se zayada buland hai. hosakta hai aisa mardana bartari ko waziya karne keliye kia gaya hai.

2: Maqbara Hai Ke mandir

Professor balraj madhok, adak aur ke narindar jaise khud sakhta morakh duniya ki is baimisal imarat ko shah jahan aur mamtaz mahal ki lafani mohabbat ki nishani nahin samjhte balke in ka dawa hai ke ye imarat rajpoot raja parmardyo ka mahal ya shiv mandir tha jis par mughal shahenshah ne kabza karke apni malka ka makbara main tabdeel kardia. halanka duniya janti hai ke agrah main darya e jamna ke kinare nafees sang mar mar se tameer ye roza apni mohabbat ki nishani ke tor par 5 mughal hukumran shahjahan ne tameer karaya tha, farsi zaban main aisi tarikhon ki kami nahin jis main is imarat ki tafseeli kaifiyat aur banane walon ke naam tak darj hain. Us zaman main adalat ne is istadal ko mustarid kardia. in ke ilawa kisi aur ki ye jurat na hosaki ke wo taj mahal ko ishq o mohabbat pariyon jino ji kshani karar de. wo kaihte hain ke ye koi so pachas sal ki kahani nahin yahan Hinduon ka mandir hota tha Lenin mughal door main kuch musalman hukumrano ne apne azizon ko yahan dafnaya tha is liye WO dawaidar hogai. humayu akbar aur safdar jang ko bhi aisi hi imaraton main dafan kia gaya tha. sawal ye paida hota hai ke agar ye shiva ka mandir tha to is ke dawa aur arbon hinduon main se Sirf chand log hi ye awaz kyun buland kar rahe hain hosakta hai inki waja sirf sasti shohrat ka hasool ho? kia wo aisa karke ane wali naslon ko gumrah karna chahte hain?

3: Satoon Ke Raaz

Taj mehal ke chaar minar hain chaaron ke charon mahal ki bunyad se uthae gae hain aur aisa zilzile ke mamkina nuksanat se bachne ke liye kia gaya. agar kabhi aisa ho bhi jai to sirf minar hi girega aur baki imarat mehfooz rahegi ye bat raz ki hai ke siyah har tarf se charon minaron ko ek hi zawiye se daikh sakte hain is waqt ke mahir tameerat ne iski tameer main faisha goras ka farmula apnaya aur tawazun ke tamam riyazati farmulon se istafada kia.

4: Farzi Kahaniyan

Taj mahal ke sath bhi bohat si farzi kahaniyan juri hui hain kuch logon ka khayal hai ke shah jahan darya e jamna par ek  siyah taj mahal bhi banwana chahte the . shah jahan me apni khuwaish ka izhar apne maihreen tameeratke se kia hai ke taj mahal mukable main is tarz ka siyah taj mahal bhi banaya jai. lekin ye bail mundhe na charh saki aur aurangzaib alamgeer ne is mansobe ko are hathon lia aur apne baap ko qaid karke hindustan awam ke paise ko mazaron makbaron par kharch karne se bachaya. aj bhi darya e jamna ke kinare is kale mahal ki nishan daikhe jate hain ek aur kahani bhi hamesha gardish main rahi ke shah jahan ne in tamam mamaron ke hath kalam karwadiye  jinhon ne ye shahkar banaya tha. is ki waja ye batai jati rahi hai ke is shahkar ki nakal na ki jasake.

5: Mehal Ke Badalte Rang

mahireen ke mutabik taj mahal ko ajooba banane ki ek dalil ye hai ke Sara din is ke rang badalte rahte hain aur badalte rangon ko ye khasiyat khawateen ke mood ki akasi karti hain khaas tor par malka mamtaz mahal ke mizaj ki. subha ke waqt is mahal ke gulabi shade main daikha jasakta hai jabke sham ko dodiya safaid aur chandni rat ko sonhari dikhai daita hai.

6: Kitna Sarmaya Charch Hua

is shahkar ki tameer par 320 million bharti rupees kharach hue the ustad Ahmad Lahore ki sarbarahi main 22 hazar mazdoron ne din rat iski tameer main hisa lia.is tameer ka sara credit ustad ahmed lahori ko jata hai in mazdoron main har tarah ke karigar bhi shamil the ek hazar se zaid hathiyon ne building material ko lane laijane ka fariza saranjam dia.

7: Sang-e-Mar Mar Aur Maqbara

Taj mahal main khalistan safaid pathar yani sang e mar mar istamal hua hai is zaman main China, Arab, Afghanistan aur srilanka she mukhtalif rangon ke keemti pathar mangai gae jin main takriban 30 tarah ke patharon ko istamal main laya gaya hai. in patharon ki qadar o qeemat ka andaza is bat se lagain ke angraiz raj main barsagir se baish qeemat patharon ko ukhar kar bartania le jaya gaya. taj mahal ki khobsurti ka faba iska makbara hai jise piyaz ki shakal ka banaya gaya. khobsurat khatati main Allah pak ke 99 name ko bhi kunda karwaya hai taj mahal ki majmoi bulandi 171 meter hai.

8: 22 Saal Mein Mukamal Hua

Taj mahal jise mahlon ka taj kaha jata hai iski tameer main 22 baras lage ye shandar ajoba islami , irani aur hindustani fan tameer ka jeeta jagta sabot hai.

9: Mohabbat Ka Khulasa

Arjumand bano baigam bohat hassen o jameel khatoon thi. shah jahan inki mohabbat main giraftar hoe aur phir shadi karli. wo shah jahan ki 3 biwi thi. inhain mamtaz mahal ka khitab dia gaya jo ke hindi zaban se lia gaya jis ka matlab ye hai ke "mehlon ka jadu" mamtaz mahal apne 14 bache ko janam daite hue jan se hath dho baithin. ye sanha shah jahan keliye is kafar shaded tha ke chand hi maheno main in ke bal aur darhi safaid hogai.

10: Siyahat

duniya ke 7 ajaib main se ek ajooba taj mahal hai yahan ek million se zaid logon ne yahan ka rukh kia tha. ise agre ka bridge bhi kaha jata hai taj mahal main dakhle ki ticket ki sharah makami logon ke liye sasti hai jabke gair mulkiyon ko ye saholat nahin hai. is se karoron ka zar mabadila kamaya jata hai in tamam gariyon par yahan pabandi aid hai jo awargi ka bais hon.

Taj Mahal Ko Darpaish Khatrat

Duniya ki khobsurat ajooba rozgar aur mohabbat ki nishani taj mahal aj kal matad khatrat se do chaar hai. noida se agra tak nai tameer jamna express way jo 165 kilo meter taweel hai aur delhi se agrah ki masafat kam karne keliye ise 12 hazar crore rupees se tameer kia gaya hai is par gariyon ke betahasha chalne ka kharab asar taj mahal par martab hone laga hai dosra khatra ye hai ke hindustan ki azeem wirasaton ki ayain ye imarat 3 inch ya 80 milli meter zameen main dhas gai hai 3 bara khatra ye hai ke duniya ke azeem shahkaron main shumar taj mahal taizi ke sath apni ronak kho raha hai kyun ke mahol ki aludgi ke asrat is ke husun ke liye khatra ban gae hain ek committee isi khatra ka jaiza laine keliye tashkeel di gai thi jis ke mashwara par agrah ki 200 foundriyon ko hathras road par muntakil kardia gaya lekin mathra ka tail karkhana phir bhi is ke liye zehernak dhoan lagta raha aur is arsa main rafaizi ki salahiyat bhi barhaigai isi tarah amad o raft ki gariyon se nikalne wala dhoan majmooi par taj mahal ki safaid dewaron ko maila banati rahi lagta hai jaise taj mahal ke husun ko gaihan lag raha ho aur wo din door nahin jab awla fankari ka namona ye imarat siyahon ke liye apni kadhish kho degi 5 sal kabal ye khabar bhi mili thi ke asar qadeem se mutalikakwam mutahada ke zaili idare younisko mahal ko almi satah ki yadgar imarton ki fehrist se karij karne par gor kar raha hai aur iski waja ye batai gai ke almi shohrat ki hamil is yadgar ki daikh bhal ke kaam se wo mutmain nahin.
logoblog

Thanks for reading Taj Mahal History Urdu Taj Mahal Information Taj Mahal Kahani Hindi Story

No comments:

Post a Comment