Sulah Hudaibiya History In Urdu Sulah Hudaibiya Information Hudaybiyyah Agreement

  Lal Gulab      
Sulah Hudaibiya History In Urdu: Makkah se aik manzil ke fasle par aik kunwan Hudaibiya ke naam se mashoor hai wahan Madina aur mushrikeen Makkah ke darmiyan march 628 eeswin ko aik muahdah hua jise Sulah Hudaibiya kehte hain. 628 eeswin (6 hijri) mein 1400 Musalmanon ke hamrah Nabi SAWW Madina se Makkah ki taraf Umrah ke irada se rawana hue. Arab ke riwaj ke mutabiq ghair musalah afrad chahe woh dushman kyoun na hon Kaba ki ziyarat kar sakte thay jis mein rasoomat bhi shamil thien. Yehi wajah thi keh Musalman taqreeban ghair musalah thay. Magar Arab ke riwaj ke khilaf mushrikeen Makkah ne Hazrat Khalid Bin Waleed (jo baad mein Musalman ho gaye) ki qayadat mein 200 musalah sawaron ke sath Musalmanon ko Hudaibiya ke muqam par Makkah ke bahir hi rok liya. Rasool SAWW ne Hazrat Usman Ghani R.A ko safeer bana kar Makkah bheeja unhain wahan rok liya gya. Un ke wapas anay mein takheer hoi tou Aap SAWW ne sahaba se baet li jo baet rizwan ke naam se mashoor hai. Is baet mein Musalmanon ne ehd kiya keh woh martay dam tak Hazoor SAWW ka sath nahin chorain gey.

Thori dair baad Hazrat Usman R.A wapas aa gye is baet ki khabar Makkah walon ko hoi aur unhon ne Musalmanon ko jang ke liye tayar paya tou sulah par amada ho gye. Rasool Pak SAWW ne Makkah walon ki sharait qabool farma liya aur Hazrat Ali A.S se ye sulah nama likhwaya gaya. Sulah Hudaibiya tak Musalman intihai taqatwar ho chuke thay magar ye yaad rahe keh us waqt Musalman jang ki tayari ke sath nahin aye thay. Isi liye baaz log chahte thay keh jang zaroor ho. Khud Musalmanon mein aise log thay jin ko muahda ki sharait pasand nahin thien. Maslan agar koi Musalman Makkah ke logon ke paas chala jaye tou usay wapas nahin kiya jaye ga magar koi mushrik Musalman ho kar apne bazurgon ki ijazat ke baghair Madina chala jaye tou usay wapas kiya jaye ga. Magar Nabi Pak SAWW ki danishmandi se sulah ka muahda ho gya. Is ki bunyadi shiq ye thi keh 10 saal tak jang nahin larri jaye gi aur Musalman is saal wapas chale jayain gey aur Umrah ke liye agle saal ayain gey. Chunanchay Musalman wapas Madina aye aur phir 629 eeswien mein Hajj kiya. Is muahda ke bohat ache asrat baramad hue. Muahda (Hudaibiya Agreement) ye tha.

Us saal Musalman jo tadad mein thore aur ghair musalah thay jang se bach gye gye aur us se aglay saal Makkah mein dakhil hue.
logoblog

Thanks for reading Sulah Hudaibiya History In Urdu Sulah Hudaibiya Information Hudaybiyyah Agreement

No comments:

Post a Comment