Sharbat Banane Ka Tarika Urdu Recipe Sandal Ka Sharbat Benefits Sharbat Ke Faide

  Lal Gulab      

Sandal Ka Sharbat Recipe Urdu Benefits Sharbat Banane Ka Tarika

Garam Mausam Ki Hidat Kam Karne Ke Liye Thande Meethay Sharbat Ghar Par Tayar Karain

Masnui aur ghair mayari ajza se tayar karda sharbat faide ki bajaye ulta nuqsan karte hain tou kyoun na ghar par hi taza mausmi phalon se khalos sharbat tayar kar ke garmi ka muqabla kiya jaye?
June aur July ki tapti dopehar mein garam hawaon ke thapeeron ke darmiyan mausam ki shidat se weram sarkon aur galiyon ke kisi saya dar konay mein logon ka aik hujoom aap ko door se hi nazar anay lage tou samajh lain keh ye kisi thanday mashroob baichne wale ka theela hai jisay logon ne charon taraf se gheera hua hai. Mulk ka koi bhi chota bara shehar ho thande mashroob ke ye theelay har jagah nazar ajatay hain jahan aam tor par shakanjbeen, chati ki lassi, ju ke sattu, anjbar, elaichi, sandal ka sharbat farokht hote hain. Agarcheh bazaar mein sale kiye jane wale ye awami mashroobat na sirf logon ki aik kaseer tadad ke rozgar ka zariya hain balkeh beshumar log un se apni pyas bhujate hain lekin un ki tayari se lay kar gahak tak baichne ke amal mein safai suthrai ka fuqdan hota hai. In tamam sharbaton ki tayari mein bunyadi juz o pani hai jo beh haal saaf aur ubala hua nahin hota aur pait ki bimariyan paida karne ka paish kheema ban sakta hai maslan istemal shuda glass baar baar aik hi balti mein dhoye jate hain aur gahakon ko paish kar diye jate hain jo bilkhasoos hepatitis jesi khatarnak bimari pheelane ka baes bante hain tou kyoun na mausami phalon se intihai khush khush zaiqa aur khalis mashroob ghar par hi tayar kiye jayain.
Ju ki afadiat aur ghazaiyat se kon waqif nahin. Mausam-e-sarma mein agar sabat ju ko pees kar sattu bana liye jayien tou ye shadeed garmi ke dinon mein intihai farhat bakhsh samjhe jatay hain.

Sharbat Sandal Recipe In Urdu Sandal Sharbat Banane Ka Tarika In Hindi

Isay sandal ke darakht ki lakdi ke burade se banaya jata hai kyounkeh sandal ki taseer sard aur khushk hoti hai is liye ye din aur dimagh ko tazgi deta hai, meda aur gigar ko taqat dene ke ilawa khoon bhi saaf rakhta hai.

Cheezain
Safaid sandal ka burada 70 gram
Ruh Kewra ---- Aik choti sheeshi
Cheeni --- 750 gram
Gulab Ka Arq --- 750 gram

Sandal Sharbat Preparation Method - How To Make Sharbat-e-Sandal Ka Tareeqa

Sub se pehle sandal ka burada achi tarah saaf kar ke gulab ke arq mein daal dain aur 24 ghantay tak bhigo dain ab unhain kisi bartan mein daal kar pakne ke liye rakh dain. Jub arq gulab khush hone ke baad adha reh jaye tou woh bartan cholhay se utar lain aur kisi kapre mein chan kar us mein cheeni shamil kar dain. Ab dobara us mehlool ko halki anch par rakh kar is qadar pakayein keh aik tar ho jaye. Ab cholhay se utar kar thanda karne ke baad us mein ruh kewra daal kar panch minute tak para rehnay dain (aap chahain tou ruh kewra shamil na karain). Is ke baad sheeshay ya cheeni ki bottle ko garam pani se sahi tarah clean karne ke baad tayar sharbat daal kar dhakan achi tarah band kar dain. Sandal ka sharbat khalis aur umdah tayar hai jo na sirf garmi door karta hai balkeh khoon ko bhi saaf karta hai is wajah se sandal sharbat ke faide hasil zaroor karain.
logoblog

Thanks for reading Sharbat Banane Ka Tarika Urdu Recipe Sandal Ka Sharbat Benefits Sharbat Ke Faide

No comments:

Post a Comment