Sar Dard Ka ilaj Urdu Headache Treatment Hindi Sar Dard Ka Gharelu ilaj Totka Sar Bhari Hona

  Lal Gulab      

Sar Dard Ka ilaj Urdu Headache Treatment In Hindi

Sar Dard Ka Gharelu ilaj: Science ki taraki se hamain ab ye maloom hocukha ke sanfi khasosiyat jinyaat ke baais sar dard ki shikayat hosakti hai, wohain baaz aukat kisi na makool rawaiya bhi sar dard ka sabab ban sakta hai. sar dard ke baaz asbab ke zimedar aap khud bhi hosakte hain aur is hawale se achi bat ye hai ke ap khud hi ise door bhi karsakte hain. aiye dekhain ke wo posheeda wajoo kia hain jin se aap ka sar dard main mubtala hosakta hai.

Dard Door Karne Wali Medicines: Jin dawaon ko aap sar ka dard khatam karne ke liye istamal karte hain baaz aukat wohi sar dard ka baais ban jati hain. jab aap ke pathe dukhne lagte hain ya sar main dard hota hai to is se nijat ke liye isprin, Ai burophen ya aisita amino phain istamal karte hain aur ye istamal bar bar hota hai. mahairen ke mutabik agar ye dawain bohat zayada aur lagatar istamal ki jain to in se dard lot kar ata rahta hai . yun samjh lain ke aap ka jism in dawaon ka aadi ban jata hai aur jab aap inhain istamal na karain to dard ka ehsas baidar hone lagta hai. jo log adhe sar ke dard ya dard migraine ke mareez hote hain, in main in dawaon ke aadi hone ka zayada imkan hota hai.

Zehni Dabao Mein Kami Karna: Jo log taweel arse tak zehni tanao ka shikar rahte hain, in main sar dard ki shikayat aksar dekhi jati hai. ye shikayat zayada tar khawateen ko hoti hai jin ka gharailo mahol zehni tor par sazgar nahin hota.wo log jin par bardast se zayada bojh daal dia jata hai aur zehni tor par thaka hua hone ke bawajood  wo kaam karte rehte hain , inki thakawat sar dard ki surat main zahir hoti hai. dafatar main kaam karne wali maaon ko jab ghar main bhi bachon ke shoor sharabe aur shohar ki talkhi  watrash roi se nijat na mile to nateja sar dard ki surat main nikalta hai.

Khoon Mein Ghair Matwazan Shakar: Agar bohat zayada meethi ghizain ya carbohydrates istamal kiye jain aur in ke sath protein wali ghiza na khai jae to is ke nateje main jism main jo chemiyai rad e amal hota hai wo sar dard ke liye bohat sazgar mahol farahim kardaita hai. khoon main shakar ki satah kam hojai to is surat e haal ko hypoglycemia ka name dia jata hai aur ye surat e haal sar dard ka ehsas numaya karne main eham kirdar ada karti hain. mahairen ye kehte hain ke khoon main shakar ki satah ko mustahikam karke is masle par kabu paya jasakta hai aur is ke liye din bhar main aisi ghizain khani chahiyain jin main protein makool mikdar main shamil hon aur iska aghaz nashte se karna chahye. ek aam tajarba hai ke jo log subah nashta na kar ke taleemi idaron ya dafatir ka rukh karte hain wo aksar sardard ki shikayat karte hain.

Bohat Zayada Caffeine: Agar aap ke sar main dard horaha ho to aap ise door karne ka asan tarika ye samajhte hain ke kyun na garma garm coffee pi jae. ye bat durust hai ke coffee se sardard main afaka hosakta hai lekin coffee aitadal main honi chahye. agar aap bohat zayada coffee nosh karainge to natija is ke bar aks bhi nikal sakta hai. mahairen ka ye kehna hai ke zayada se zayada dedh cup coffee ya caffine mile soda mashroob ki ek kain sar dard se nijat dila sakti hai. is se ziyada mikdar sardard ko ubharne ka sabab hogi.

Khushbu Ka Kasrat Istemal:
Lift mein aap ke sath sawar hone wali matar khatoon mumkin nahin baz am khush apne libas se phootne wali khushboo ke baais khud ko kisi star se kum na samajh rahi hon lekin aap keliye wo mujsim baais sar dard hosakti hain. aitariyat, perfumes, lotions, soaps, mom batiyaan garz ye ke koi bhi chez jis main maksoos khushboo istamal ki gai ho sar dard ko ubhar sakti hain. mahairen ko khushboo se illergy wale logo main sardard ki asal waja ab tak maloom nahin hosaki lekin ye maloom hua hai ke jo log adhe sar ke dard main aksar mubtala hote hain in ke liye maksoos khusboo ain azaar ka sabab ban jati hain.

Sar Dard Ubharne Wali Diets: Bohat si aisi ghizain hain jo sar dard ke liye mehmeez ka kaam karti hain khaas tor par in logo ke liye Jo dard shakeeka me mareez hotel hain. mong phali, chocolate aur red vine aam tor se sar dard ko ubharti hain. sharab ko behar hal ghiza ka darja. nahin dia jaskta mahaireen kahte hain ke in ghizaon main thyamine bohat ziyad hoti hai. ye ek amino acid hai jo sar dard ko tehreek daita hai . khane ke liye tin aur dabon main tayar gosht jin main nitrates shamil hote hain wo bhi sardard ko ubharte hain baaz aukat dairy masnooat aur bechari gandum ko bhi is hawale se morod ilzam thehraya jata hai agar aap ko aksar sar dare. ki shikaayat hoti photo check karain me kahen yahi zimedar to nahi.\

Kam Pani Peena: Hosakta hai lunch ya dinner main ap ko khana to yad ho lejin pena bhool gae hon. agar aap ke sar main dard hota rahta hai aur apki jild 20 sal zayada boorhi nazar and lagi hai to samajh lain ke jism ko pani ki as had zarurat hai tibi mahairen ka kehna hai ke jism main pani ki kami ya dehydration ki eham alamat sar sard hai. jo log bohat zayada coffee pete hain aur pani pene ke mamle main kanjoosi karte hain wo bhi aksar sar dard ka rona rote hain.

Mausam Aur Bulandi Ka Safar: Agar ap maidani ilake main rehaish pazeer hon aur  wahan se ap kisi pahari ilake ka rukh karne ke liye bulandi tae karain to sar dard ki shikayat hosakti hai. iska tajarba aksar koh paimaon kobhi hota hai mahireen isi Surat main chlorophyll supply mints ke istmal ka mashwara daite hain ta ke khoon ko ziyada se ziyada oxygen farahim hosake mausam ki   achanak tabdeeli se bhi kuch logon ke sar main dard hota hai.
logoblog

Thanks for reading Sar Dard Ka ilaj Urdu Headache Treatment Hindi Sar Dard Ka Gharelu ilaj Totka Sar Bhari Hona

No comments:

Post a Comment