Sahil Samandar Ki Sair Essay Urdu Samandar Ke Kinare Aik Sham Hindi Essay

  Lal Gulab      

Samandar Ke Kinare Aik Sham Urdu Essay Sahil Samandar Ki Sair Hindi Essay Paragraph

Garmiyon ki chuttiyan shuru ho chuki thien mein ne pehle hi haftay mein school ka diya hua ghar ka kaam khatam kar liya tha. Isi liye is taraf se mutmaen aur bay fikar tha. Waqt ki kami na thi chunanchay mujhe tafreeh ki sujhi aur main ne chand doston ke sath hawks bay jane ka programme bana liya. Picnic par jane se aik din pehle hum bazaar gaye aur wahan se khane peenay ki ashya khareedien aur mini bus bhi karaye par li aur apas mein degar zumaidariyan taqseem kar lien. Kisi ne kabab ka zuma tou kisi ne cold drink ka zuma aur kisi ne parathay lanay ka.
nazara samundar par mazmoon samandar ka kinara
Hum jub rawana hue tou subah ke 7 bajay ka waqt tha koi 1 ghanta 30 minute mein hum hawks bay ja pohanchay. Sub se pehle hum ne hut karaye par liya aur saman waghera rakh kar teraki ke shoq mein pani mein utar gaye. Garmi arooj par thi aur hum paseenay mein sharaboor ho gaye thay is liye teraki mein bara maza aaya. Hum apne sath ball bhi lay gaye thay. Is liye water polo khelne mein bara maza aaya. Aik bajay hum sub hut mein wapas aa gaye. Hum tair tair kar khoob thak chukay thay is liye bhook ke maray pait mein chuhay dor rahe thay. Hum ne seer ho kar khana khaya aur khuch dair rait par lait gaye aur gup bazi karne lage. 4 bajay hum ne chai pee phir hum sub kheelne aur seepiyan jama karne pani ke qareeb gaye. Thandi thandi lutf andooz hawayien chal rahi thien. Hum ne phir tairna shuru kar diya. Gharz in mushagal mein din dhal gaya aur lehrain zor zoor se uthnay lagein aisa mehsoos hone laga ke pani ki unchi unchi deewarein sahil ki taraf barh rahi hain aur jese tamashaiyon ke hujoom ko apni lapait mein lay lain gi. Din bhar ka thaka manda aftab ufaq maghrib ki oot mein sar nagon tha. Halki halki khunk hawa tabiyat mein acha ehsas paida kar rahi thi. Aur asman ke kinare shafaq rang bare khubsurat nazar arahe thay. Door tak surkh dhariyan is tarah pheel gayi thien jese aroos shaam rangeen anchal se dhak gayi ho. Hum kafi dair se gharoob aftab ke is ruh parwar nazara se lutf andoz ho rahe thay. Akhir sham ki syahi barhi aur hum sare dost hut mein wapas aa gaye. Aur dastar khawan ke gird baith gaye. Aur khane ki ashya par toot paray. Wegon par sawar ho kar wapas ghar ki taraf rawana hue tou 8 baj chukay thay. Apne apne gharon tak pohanchne mein hum bohat thak chukay thay. Magar us mein aik saroor ka ehsas shamil tha. Sahil samandar par guzri hoi ye sham hamare liye aise jalwon, aisi dil aweezi, dil kashi aur saman farhat rakhti hai keh is ki yaad humain kabhi nahin bhoolti.
logoblog

Thanks for reading Sahil Samandar Ki Sair Essay Urdu Samandar Ke Kinare Aik Sham Hindi Essay

No comments:

Post a Comment