Rajput Urdu History Rajput Caste Hindi Information Rajput Kon Hain

  Lal Gulab      

Rajput Caste History In Hindi Rajput Information

Rajpoot Kon Hain

Rajput History In Urdu - Rajpoot Ki Tarikh: Rajpoot jis ke maina rajaon ke bete ke hain aur apna silsila nasb o yomalai shakhsiyat se jorte hain. Yahi waja hai ke inki ibtada aur asliat ke bare main bohat se nazriyat kaim kiye gae hain. Aishwari parshad ka kahna hai ke wo waidak dor ke chatri hain. Baaz ka kahna hai ke ye saithan aur han hamla awron main se baaz rajpootana main mukeem hogae the aur inhon ne aur gundon aur bharon ke sath barhamni mazhab ko kabool karke foji taqat hasil karli thi. Mister c v vidya ka kahna hai ke pirthi raj rasa ke musnif chandar barae ne rajpooton ko suraj bansi aur chandar bansi sabit karne se ajiz akar ek nae nazriya ke tahat inko "agni kal" karar dia tha. Yani wo aag ke khandan se hain aur dahshat ne jo qurbani ki aag roshan ki thi. Is se rajpooton ka moras awla paida hua tha. Lekin ab baaz fazil hindon ne is shairana fasane se inkar kia hai aur zayada tar hazrat ka khayal hai ke rajpoot qoum ki ragon main gair mulki khoon. Tadne apni mashoor kitab 'tarikh rajistan' main isi nazriye ki taidki hai ke rajpooton ko wast asia ke sathain kabail ka karibi karar dia hai. James tad ka kahna hai ke ahad qadeem se mahmood ghaznavi ke dor tak bohat si akwam hind par hamla awar hui wo rajpooton ke chatais raj kali main shamil hain. Aham ki bat ye hai inke daiwta in ke shajar o nasb inke qadeem name aur bohat se halat o atwar chain, tatar, mughal, jat aur sathion se bohat zayada mushaba hain. Is liye ba asani andaza hota ke rajpoot aur bala alzikar akwam ek hi nasal se taluk rakhte hain.

Rajpooton Ka Anqa Muslim Alaqon Mein

Satwi sadi eswi main hiyoung tasang ne rajpoot ka kalma istamal nahin kia. Arab hamlon ke zamane 8 se 11 sadi eswi ke hawale se budh prakash likhta hai ke lafz kashtari kam daikhne main ata hai aur rajpoot is islah aam nahin thi. Docter pisaran ke mutabik lafz rajpoot nasli mano main 10 sadi eswi tak istamal nahin hua. Hata ke thakur ki istalah jo muslim morkhain ne apni tahrir main chand bar istamal ki hai ek kabila ke bare main hai. Rae kabila iran main bohat pahle se mojood tha pehle pehal muhammad bin kasin ne rangi (rana)ka khitab ek jat ko ata kia tha. Rawat ka kalma roth ya rot ya rat se bana. Is ka matlab mashraki iran main badshah ke hain. Wazia rahe ke rajpoot ka kalma satwi sadi se pahle kahin dikhai daita hai. Galban is ka qadeem taren talafuz han fatah tor aman ke kar aktaba main milta hai. Is main is ke beton aur betiyon ko raj patar kaha gaya hai. Iska matlab hai is kalma ko lagwi maino main (badshah ki aulad)main istamal kia gaya joke irani kalma das pohar (badshah ka beta) ke mutaradif hai. Das sanskirt main bhi badshah ke maino main ata hai aur pohar sanskirt ke patar ka mutradif hai lekin 7 sadi eswi se iski jaga raja istamal horaha hai. Chunacha jab shankar acharya ke tahat katar barhaman mat ka ahya hua to raja patar ka lafz istamal hua. Kalhana ne raja tarangi main rajpooton waziya andaz main gair mulki, magroor bahadur aur wafadar kaha gaya hai ye mahaz farzi ara nahin hai kisi musalman morakh ne punjab, sindh, balochistan,makran, kiakan, afghanistan, ghazni aur kashmir ki laraion main rajpooton ka zikar nahin kia hai.

Rajputon Ka Arooj

CV Waid ya hishtry maid bol india main likhte hain ke jab budh mazhab ke zair asar hindon main jangi rooh khatam hogai to rajpooton ne moka pakar mulk ke mukhtalif hison par apni hakumatain qaim karli. Bakol asmith ke harsh ki wafat ke bad se musalmano ki amad tak yani andazan 7 sadi eswi se lekar 12 sadi eswi tak ke zamane ko rajpooton ka dor kaha jasakta hai. Musalmano ki amad ke waqt kabul se kamroop tak kashmir se kokan tak ki tamam saltanatain rajpooton ki thi aur in ke chathin raj kali shahi khandan hakumat kar rahe the. Chandar barwe ne is tadad ko pahle pehal bayan kia aur pandit kalyan ne "tarangi raj" main is tadad ki tasdik ki hai. James tad ke bayanat se pata chalta hai ke inki tadad is se kahin zayada hai kyunke bad main namo main ikhtalaf hai. Chathis raj kali main barsageer ka pehla tarikhi khandan morya khandan is main shamil hai lekin is bina par nahin hai balke maiwar ke ek qadeemi khandan ki waja se.

Rajpooton Ke Khasais

Rajpooton ne agar cha ibtada main musalmano ke khilaf kamyab difa kia aur musalmano ko age barhne se roka aur musalmano ke khilaf ye baz aukat mutahid bhi hogae. Khas kar mehmood gaznavi ke khilaf jepal ki sardgi main muhammad gori ke khilaf par thawi raj chohan ki sardgi main aur babar ke khilaf rana sangaki sardgi main magar ye waqti wafak tha jo sirf jang tak mahdod raha aur jang ke bad inke darmiyan wohi nafak, paikar aur jang ka silsila jari raha.

Rajpoot aj bhi apni bahaduri ki waja se yad kiye jate hain. Shujat aur dilawari main hind ki akwam main koi insa paida nahin hua hai. Rajpoot apni zaban ke pake, taig zani ke mahir aur awla kisam ke shahsawar the. Apne aan bachane ke liye jan ki bazi laga daite the. Rajpooton ne apni khobiyon ki badolat kafi arsa 7 sadi eswi ta 12 sadi eswi tak barsageer main hakumat ki aur ek tahzeeb kaim ki. Lekin ye apni bala alzikar buraiyo ki badolat in main taqat ko zawal agaya aur inhain beruni hamla awron ke mukable main paspa hona para. Rajpoot na sirf maidan jang main johar dikhate the balke umda insan aur awla maizban the. Mahman nawaz aur sakhawat ka jazba in main mojood tha. Rajpoot art o adab aur mosiki ke dildah the. Rajpoot musawiri ki apni nafradiyat hoti thi. Yahi waja hai musawiri ka ek school wajood main aya. Har raja ke darbar main ek nagma sara zarur hota tha jo khandani azmat ke geet martab karta tha Inki muwashirati zindagi achi hoti thi. Agar cha in main bachpan main shadi ka rawaj tha lekin awla khandan ki larkian jab jawan hoti thin to apni pasand ki shadi karti thin.

Rajput Womens

Rajpoot aurtein apni pak damni aur azmat par jabaja tor par naz karsakti thin. Sati aur johar ki rasam is jazbe ki tarjumani karti thi. Jab kisi aurat ka shohar marjata to wo apne shohar ke sath aag main jal jana pasand karti thin. Is tarah kisi jang main nakami ke khadshe ke bad rajpoot apni aurton ko katal karke maidan jang main deewana dar kod jaya karte the. (Anwar hashmi tarikh pak o hind 71) ek ajeeb rasam shadi ki thi wo shadi apne kabile ya ham naslon main nahin karte the, balke is ke liye zaruri tha ke shadi jis se ki jati thi in ke darmiyan padri silsila na ho. Rajpoot rana, rao, rawal, raja aur rajan wagera laika istamal karte hain, in tamam kalmat ke maina raj karne wale. Musalmano main se mughalon ne rajpooton ke Jangi jazba se faida uthaya aur rajpooton ko apne lashkar main bharti kasrat se bharti kia. Mughalon ki aksar fatohat rajpooton ki rahin minat thin. Jahangeer ajmeer ke bare main likhta hai ke zarurat parne par yahan se 50 hazar sawar aur 3 lakh piyade ba asani hasil hosakte hain.

Rajput Religion - Rajpoot Ka Mazhab

Rajpooton ka sab se bara dewta suraj tha. Wo iski satish karte aur isko razi rakhne ki koshish karte aur iske naam par ashomaid (ghore ki kurbani) karte the aur isi ke naam par larte the aur jan daite the. Wo ise suriya kahte the.
logoblog

Thanks for reading Rajput Urdu History Rajput Caste Hindi Information Rajput Kon Hain

No comments:

Post a Comment