Qaumi Ittehad Essay In Urdu Qaumi ittehad Waqt Ki Zaroorat Qaumi Ittehad Speech Sindhi

  Lal Gulab      

Qaumi Ittehad Essay In Urdu - Qaumi Ittehad Speech

Ittehad mein bari taqat aur akhuwat hai kisi mulk ki baqa ka inehsar qaumi yakjehti aur  ittefaq par hai. Koi jamat koi mulk koi qaum aqwam-e-alam ki nigah mein izzat o abru aur waqar o ahtram ka muqam nahin pa sakti jab tak keh us ke afrad mein yakjehti aur ham ahangi na ho. Qaumi ittehad ke baghair taraqi aur khush hali ka tasawar bhi aik khaam khayal hai.

Jis tarah mooj ki quwat ka zoor, josh aur talatam darya ke andar hai, darya ke bahir mooj mani nahin rakhti isi tarah fard ki apni koi quwat nahin hoi, fard tanha koi hesiyat nahin rakhta lekin jub woh aik milat mein gum ho jata hai tou bari quwat ban jata hai. Iqbal ne qaumi ittehad aur mili zindagi ki ahmiyat ko aik tameer aur bilkhasoos Islami muashray ke qayam ke liye bohat si jaghon par ujagar kiya hai jesi is sher mein.
Iqbal Musalmanon ki ijtimai ruh ki tasweer ko apne zehan mein rakh kar aik mehdood aur ham ahang zindagi basar karne ki pur zoor appeal karte hain aur jahan kahin Musalmanon ke ittehad ke aansoo parah parah hote dekhte hain tou khoon ke ansu rotay hain. Musalmanon ke intishar ko dekhte hain aur dard-e-qaumi se cheekh uthtay hain aur un ki zuban ki nok par apne pur sooz shair ajatay hain.
Millat Islamia ki rehnumai ke liye Quran PaK ki shakal mein aik mukamal zabta hayat hamare paas hai jo ittehad aur rabt bahmi ka dars deta hai aur aik waziha maqsad hayat paish karta hai. Aik manzil ki nishandehi karta hai. Us manzil tak pohanchne ke liye afrad ko qadam se qadam mila kar dosh badosh gamzan hona zaroori hai agar woh mutehd o mutfiq ho kar barhain tou koi bhi mukhalif quwat un ki rah mein rukawat nahin ban saki. Woh aik aisa taufan banne ki salahiyat rakhte hain jis se daryaon ke dil bhi dehal jayien gey aur jis ke azam aur irada ke agey parbat raai ho kar reh jaye baqol shayer.

Aaj qaumi ittehad waqt ki zaroorat hai humain apas mein ittehad rakhna intihai lazmi hai tabhi hum mulk dushmanon ki sazishon ko nakam kar ke apne mulk ko azeem mulkon ki fehrist mein chamakta damakhta dekh sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Qaumi Ittehad Essay In Urdu Qaumi ittehad Waqt Ki Zaroorat Qaumi Ittehad Speech Sindhi

1 comment: