Pista History In Urdu Pista Information Pistachio Hindi Pista Ki Tareekh And Production

  Lal Gulab      

Pista History In Urdu Pistachio Information In Urdu

Pista History In Urdu: Pista aik aisa mewa hai jiska na sirf zaika munfarid hai balke ye dekhne mein bhi khushnuma aur intehai nafes sa lagta hai. Gulab ki adh khili nanhi muni kali jaise chilke mein se jhankti piste ki khush rang giri dekhte hi munh mein goya pani ajata hai. Khas tor se jab buhat se namken piste kisi khubsurat si plate mein saje apke samne rakhe hon to ap ek pista utha kar mun mein rakhe bagair reh hi nahin sakte. Phir hota ye hai ke ek pista khane ke bad rokna mushkil hojata hai aur youn dekhte hi dekhte puri plate khali hojati hai. Jadid tehkek btati hai ke bani nooh insan 9000 years se is mazedar mewe se lutf andooz hota chala araha hai. Piste ke shaiqen ke liye yahan iski tarekh ka mukhtasir azkar dilchaspi se khali na hoga.

Pista Ki Tarikh: Shumal mashraki Iraq mein mojood aik alaqa hai jisay jarmo kehte hain wahan kiye jane wale ek archealogical survey ke nateje men maloom hua ke yahan 6750 qabil masih mein bhi pista jangal se tor kar laya aur khaya jata tha. Lehaza east aur Turkey se lekar israel aur Sham mein bhi pista isi zamane se eham ghiza aur zaiqa dar mewe ke tor par maqbol hai. Yahi waja hai ke in ilaqon mein is ke darakht bare paimane par lagae gaye Unan mein pista 4 sadi kabal masih mein Sikandar Azam ki fatuhat ke bad mutarif hue. Phir pehli sadi eswi mein ye badshah tai baires ke dor men italy lae gae. Islam ki ishat, is ke bad salebi jangon ke silsile aur phir sham se samandari tijarat ke bais piston ki makbuliyat mein mazed izafa hua. Lehaza behra room ke sahili ilaqon aur europe mein bhi pista ki kasht ki jane lagi.

Pista Ka Darakht Lagane Ka Tarika: Piste ke darakht ko nashonuma aur afzaesh ke liye tawel, khushk mausam garma darkar hota hai, taham ye thathra dene wali sardi bhi seh sakta hai. Ye darakht do sanfi (Dioecious) hote hen, yani in men nar aur mada dono iksam ke darakht pae jate he. Nar darakht Pollen yani zardana paida karte hen jabke mada darakht phal deta hai. Piste ka taluk kaju ki family se bataya jata hai. Research se ye sabit hua hai ke piste ki asal sarzamen wasti asia hai, jahan ab bhi is darakht shumal mashraki iran, shumal magrabi afghanistan, tarkamanistan, azbakistan, tajkistan aur kargistan ke janglon men pae jate hen. Pakistan ke shumali ilaqe jat men bhi pista paida hota hai lekn iski paidawar buhat kum hoti hai. Yahi waja hai ke pakistan men ziyada tar iran se pista bar amad kia jata hai.

Pista Information In Urdu: Ailen devidson jo "oxford companion to food" nami kitab ke musnif hen, tehrer karte hen ke." piste ke darakht ek sal chor kar fasal dete hen. Ye chota sa dry fruit jab guchon ki shakal men darakht par lagta hai to dekhne men bilkul chote se kisi aam ki manind dikhai deta hai." wo mazed likhte hen ke " pista apna munfarid rangat aur mukhtalif zaike ke sabab hamesha se logo ka pasandeda mewa raha hai. Taham iska shumar ek kisam ki luxury aur taesh men hota hai kyu ke iski qeemat dusre mewon ke mukable men ten se char guna zayada hoti hai. " piston ko zayada tar bhon kar aur namak lagakar bator dry fruit khaya jata hai. Jab ke mukhtalif methe aur namken pakwano ke ilawa deserts men ise uper dal kar bator sajawat ke shamil kia jata hai.

Misal ke tor par hamari methaiyan, halwe, kheer aur zarde ki dishes to iske bagair mukamal hi nahin samjhi jati aur buhat se pulao aise hen jin men dusre mewon ke sath piste bhi shamil kiye jate hen. Yahi nahi balke buhat si eurpeon dishes men bhi piste lazmi juz ki ki hasiyat rakhte hen. Fruit cake aur aise bakery item men sabz piste ki jhalak buhat khushnuma nazar ati hai.

Uses of Pistachio - Pista Ka Istemal: Magrib men piste ke istamal ki sab se aam misal sliced mortadella hai, jo maqbul taren italian dish hai. Yahi nahin balke middle east se lekar shumali africa tak, piston ko methaiyon, icecream, french mechron pestry,pulao aur buhat se biscuits men bhi shamil kia jata hai.

America men go ke piste ke darakht sarkari tor par 1805 men mutarif karwae gae. Lekin is se so sal pehle hi yahan piste ke darakht lagane ki koshishon ka agaz hochuka tha. 1909 men america ki riyasat california ki central valley men cheku ke mukam par hukumat ki janib se ek naya research center qaim kia gaya jaha nai faslon par tehkek ki jati thi. Iske do ashron ke bad 1929 men yaha ke plant specilist wiliam ami white house, iran gae take waha se piste ke behtren bej lasaken. Lehaza wo iran se takreban no kilo mukhtalif iksam ke bej lekar lote jinhen california ki central valley men lagaya gaya.

1930 men research center ke director laid joule ne ye dekhne ke liye field test ka agaz kia ke kon kon se darakht central valley ki ab o hawa se mutabikat hasil karpate hen. Piste ke darakht phal dene men sat se das sal ka arsa lete hen. Behar tor takreban bes sal bad research staf ne dekha ke william white house ke lae hue piste ke bejon se jo ten hazar darakht ugae gye the, in mein ek alag aur mukhtalif type ke bej se ugaya jane wala darakht sab se achi karkirdigi ka muzahira kar raha tha. Is darakht ko "karman" ka name de dia gaya jo iran ke ek shehar ka name hai. Is darakht ke bej karman ke nazdek se hi lae gae the.

1957 men tajarbati tor par ek camar shal bagecha lagaya gaya aur aj california men maujood piste ke tamam camarshal darakht isi ek darakht karman ki phulwari hen! Isi darakht ki badolat aj america piston ka sab se bara exporter mana jata hai aur badam ke bad piste ko yahan kabil qadar mewe ka darja hasil hai. 2010 men california ke bagechon se hasil hone wali piste ki paidawar 240 million kilogram tak puhnch chuki thi. Is tarah america piston ki paidawar ke mamle men iran par sabqat legaya jise sab se zayada piste paida karne wale mulk ka darja hasil tha.

Pistachio Production Worldwide: America ke maheren ka dawa hai ke 2017 tak america men piston ki paidawar barh kar 360 million kilogram tak ja puhnchegi aur is tarha wo global market par cha jaenge. California men paida hone piston ki fasal ka 65 fesad hisa export kia jata hai, jaha men se zayada hisa china aur phir europ export hota hai. China is waqt piste istamal karne wala sab se bara mulk hai jo har sal 77 millon kilo piste kharedta hai. Yahi waja hai ke california ke kashat kar demand ke mutabiq apni paidawar men mazed izafe ki koshish men masroof hen. Taham yahan is bat ka zikar karna bhi zaruri hai ke karman har ek ke nazdek behtren pista nahi hai. Go ke is ki giri khush numa aur size men bari hoti hai jis ka zaika bhi acha hota hai, lekin buhat se afrad itlay shehar sicili men paida hone wale piste "sicilian" ko sab se zaika dar aur khubsurat pista gard wante hen. Jabke kai dusre mumalik se taluk rakhne wale maheren badshahat ka taj turkey ke uzun ya kirmizi ke sar par rakhte hen. Sham ka "red Aleppo" aur Iran ka "mumtaz" bhi behtren iksam men shumar kia jata hai. Lekin chonke kashat karon ki nazar men zaika hi sab kuch nahin. Lehaza in ke nazdek "karman" zayada ehmiyat ka hamil is liye hai ke iska darakht zayada mewa paida karta hai.

Karman nut ki ek aur infiradi khasiyat ye hai ke iska chilka qudarti tor se do hiso men taksem hojata hai, jis ke sabab ise kholna aur khana asan hojata hai. Karman ko sehrai poda kaha jata hai. Research se sabit hua ke ye is waqt achi nashonuma pata hai jab ise aisa pani dia jae jis men hal shuda nimkiyat shamil hon. Piste ke darakht aam tor par sakht jan tasawur kiye jate hen. Ye sardiyon men 10 degre centigrade tak mausam garma men 48 degre centigrade tak ka darja hararat seh lete hen. Albata num aluda fiza aur zayada pani inhen ras nahi ata.
logoblog

Thanks for reading Pista History In Urdu Pista Information Pistachio Hindi Pista Ki Tareekh And Production

No comments:

Post a Comment