Pakistani Rasm o Riwaj Urdu Essay Rasm-o-Riwaj Ki Pabandi Tradition of Pakistani Culture

  Lal Gulab      
Pakistan Aur Islami Rasm-o-Riwaj Urdu Essay Tradition of Pakistani Culture

Tradition Definition In Urdu - Tradition of Pakistani Culture: Pakistan barsageer ke musalmanon ke liye wajood main aya jahan musalman apne mazhab aur islami rasam o riwaj ke mutabik zindagi basar kar sakain. Allah Talah ne hamare buzurgon ki qurbaniyon ke sile main hamain ek islami mulk se nawaza. Ham namaz roza zakat aur haj ko pabandi se ada karte hain aur farz samajhte hain lekin ham bahasiyat ek musalman apni islami rasam o riwaj ko nahin apna sake. Hamari zindagi main 3 mawake eham hain ya phir youn keh lain ke in 3 mawaqon par ras-o-riwaj ki pabandi ki jati hai yani shadi, paidaesh aur wafat.

Shadi - Marriage: Aap shadi ki rasam o riwaj ko hi le lain. Shadi ki tamam rasomat hindu rasomat se shuru hoti hain jis main mehndi, mayon, aur chothi ki rasomat main lakhon rupee kharch kiye jate hain jis ki islami muwashire main koi ehmiyat aur hasiyat nahin. Wohi shadi ka lal jora jab ke hamare islami rasam o riwaj ke mutabik larki safaid rang ka jora pehnti hai jab ke hindo riwaj ke mutabik ek baiwah safaid rang ka jora pahnti hai. Kya ham ne ye gor kia hai ke hamare islami rasam o riwaj main dulhan aur dulha ka jora aur hindu muwashire ki dulhan aur dulha ke jore main koi farak hai ham agar hindu dulhan aur dulhe aur muslim dulhan aur dulhe ko ek sath bithain to hamain ye maloom karna bohat mushkil hojai ga ke kon sa jora hindu hai aur konsa muslim in rasomat main nachna gana aur ek dusre ko bura bhala kehna ya aisa mazak jis se ek dusre ki tazlil karna shamil hai jo shadi se pehle hi ek dusre ke bare main dil main burai ka shaiba ajana jo bad main larki aur larke ko iska khaimaza bhogatna parta hai. Aksar larki ke waldain in rasomat ki khatir lakhon rupee ke karzdar bhi hojate hain. Lakhon rupee ka jahaiz bhi dia jata hai ta ke in ki beti khush gawar zindagi basar kar sake.

Agar aap gor karain to maloom hoga ke itna lakhon rupee ka jahaiz aur tahaif daine ke bawajood inki beti gharailo masail ka shikar hoti hai aur baaz dafa ye gharailo masail itne barh jate hain ke nobat talak tak ajati hai aur larki sari umar talak yafta zindagi hai aur agar bache hon to wo bhi sari zindagi mushkilat aur ehsas mehroomi ki zindagi guzarte hain. Ye sab in hi hindo rasam o rawaj ki nahosat hai jabke muslim rasam o riwaj ke mutabik shadi ke liye larke aur larki ki razamandi bhi zaruri hai is ke bad nikah aur mehar ke mamlat hain. Hamare mazhab main mehar ki ek bohat bari ehmiyat hai jabke ham isko koi ehmiyat nahin daite. Mehar larke ki mali hasiyat ke mutabik tai kia jata hai aur isko ada karna bohat zaruri aur eham hai. Agar nikah ke foran bad ada kardia jae to ye bohat awla amal hai warna bad main bhi ada kia jasakta hai lekin isko ada na karna ya maf karwana shariyat ke khilaf aur gunah hai. Shadi ke tamam ikhrajat larke ki zimedari hai. Nikah masjid main karna shadi ke liye alaida ghar ya portion ka intazam karna jahan larka nikah ke foran bad apni biwi ko rakh sake. Is nae ghar ki tamam araish aur zaruriyat pehle se bandobast kare. Shadi ke baad valima karna sunnat hai. Aur isko sunnat ke mutabik bandobast karna chahye jahan khawateen aur mardon ke liye alaida alaida intazam ho.

Biwi ki zimedari hai ke apne shohar aur bachon ka khayal rakhna aur bachon ki tarbiyat karna maa ki zimedari Hai jabke larke ki zimedari hai ke biwi bachon aur apne waldain ki zaruriyat ka khayal karna hai. Biwi ka ye farz aur zimedari nahin hai ke apne shohar ke waldain ki khidmat kare aur tamam gharailo kam kare. Agar koi biwi apne shohar ke waldain ki khidmat karti hai to wo ek bara aur awla salah rahmi ka muzahira kar rahi hai jis ka bohat bara ajar aur sawab hai. Hamare mowashire main baho se tamam gharailo kam laina farz aur zimedari samjha jata hai aur zabardasti larki se karwaya jata hai ye hindu rasam o riwaj hai. Hamare bache apni islami rasm o riwaj ka ilam nahin rakhte aur na hi waldain aur na hi in ko in ke hakook aur zimedariyon ke bare main batate hain jiski waja se shadi ke tamam gharailo masail shuru hojate hain. Bahasiyat musalman waldain ka ye farz hai ke apne bachon ko apne islami rasm o riwaj ke bare main batain aur khud bhi is masle ke bare main maloomat hasil karain ke shadi ki islami rasoomat kia hain. Aur hamare bete aur betiyon ko shadi ke bad kis tarah zindagi guzarni chahye jis se inko khushiyan hasil hon. Shadi ke bad islami rasam o riwaj ke mutabik ye ek naya khandan banta hai jis ke tamam maloomat inhain khud hi hal karne hote hain.

Paidaish - Birth: Hamare han bache ki paidaish ko hi le lijiye jab bacha paida hota hai to iski pehli takrib is ka haqeqa karna hota hai jisko ham ehmiyat nahin daite jabke sunnat tarika ye hai ke 7 din bache ka haqeqa kia jai aur iske sar ke bal saf kiye jain aur iska naam rakha jai lekin kuch gharano main iski ehmiyat nahin hoti aur wo islami sunnat ke amal ko apne waqt par ada nahin karte balke waqt guzar jane ke bad ek bohat bari takrib ki jati hai jis main apne aziz rishte daron ko mado kia jata hai jab ke ye ek sadka hai is main sahi hakdar (gareb gurba) ko nazar andaz kardia jata hai.

Wafat - Death:
Ham apne mowashire main wafat ke masail ka jaiza lain to maloom hoga ke miyat ke liye rona, chilana aur bain karna mana hai. Hamare mazhab main sirf 3 din ka sog hai. Ham musalman hone ke bawajood apni miyat ko gusal nahin daite jiski waja ye hai ke hamain ye maloom hi nahin hai ke miyat ko kaise gusal dia jata hai aur ham miyat ko gusal daine wale ko talash karte rahte hain jabke ham apni miyat ko achi tarah gusal dai sakte hain jo koi dusra nahin desakta kyun ke gusal daine wale ka is miyat se koi rishta nahin hai. Is ke bad ek khane pene ka silsila shuru hojata hai. Jabke hindu mowashire main chotha aur tairwin ki rasomat hain. Hamare mowashire main soim, daswan, baiswan aur chaliswan bhi kia jata hai. Jiski hamare mazhab main koi hasiyat nahin hai. Jis main tarah tarah ke khane rakhe jate hain jabke maiyat ke sawab keliye kuch nahin kia jata balke ye samjh lia jata hai ke Quran khani karali hai yahi kafi hai. Jabke maiyat ko marne ke bad zayada se zayada aap ki taraf se Allah Talah ke kalam ko parhne ki zarurat hoti hai. Take maiyat ko qabar main asaniyan milain. Iske ilawa maiyat ki taraf se koi aisa naika ka kam kardia jai jis se maiyat ko mustakil sawab milta rahe jisko sadka jaria kahte hain.

Hindustan ke ek zehni inteha pasand jamat ke rahnuma ka ye kahna hai ke agar musalmano ko hamari hi sakafat aur rasam o riwaj rakhna tha to musalmano ne kyun ek alag mulk banaya. Ye hamare liye ek lamha fikar ye hai. Is rehnuma ne ye bat karke pakistani musalmano ke mun par ek tamacha mara hai. Ab hamain ye sochna chahye ke kia ham ba hasiyat musalman muslim mowashire main rahte hain ya abhi tak hindu mowashire ka hisa hain hamain apni rasomat ko badalna hoga. Jab ham islami rasomat ko apna lainge to phir ham ye fakhar se keh sakainge ke ham musalman hain aur hamare rasam o riwaj bhi islami hain aur ham muslim mowashire main rahte hain. Allah Talah hamain aur hamare baron aur choton ko is par sochne ki aur amal ki tofeek ata farmae Aameen.
logoblog

Thanks for reading Pakistani Rasm o Riwaj Urdu Essay Rasm-o-Riwaj Ki Pabandi Tradition of Pakistani Culture

No comments:

Post a Comment