Miscarriage Symptoms In Urdu Treatment Miscarriage Ka ilaj Hindi Miscarriage Reason

  Lal Gulab      

Miscarriage Symptoms In Urdu Treatment Miscarriage In Hindi

Miscarriage Information In Urdu: Tibi istlah mein iskaat (Miscarriage) ka matlab hamal ke 20 hafte se pehle jinain ka zaya ho jana hai. Ise ghair zaroori iskaat (spontaneous Abortion ) bhi kaihte hain. Taham iski noeyat iradi iskaat ya "abortion" bilkul mukhtalif hoti hai. Maa aur bachon ki sehat ke hawale se mashoor americi tanzeem "march of daimiz" ke mutabik takriban 50% hamal ka intekhab iskaat par hota hai. In main se baishtar us waqt paish atay hain jab khawateen ke ayam ka nagha hota hai ya wo is bat se bekhabar hoti hain ke wo hamla ho chuki thien. Takriban 15% tasleem shuda hamal bhi iskaat par mantij hote hain. 80% se zaid iskat ke wakiyat hamal ke ibtadai teen mahinay ke andar paish atay hain. 20 hafte ke istakrar hamal ke baad amooman iskaat nahin hota hai lekin agar ho tou inhain " Takhiri iskaat" ka name dia jata hai.
Symptoms of Miscarriage In Urdu - Isqat Ki ilamat: Iskaat ki alamaton main halke se bohat zayada ikhraj khoon, shaded ainthan, pait ka dard, bukhar, kamzori aur kamar mein dard shamil hain. Agar ye alamatain samne ain to fori tor par mariza ko mutalka lady docter se rooju karna chahiye take wo surat hal ka andaza laga kar apne clinic ya hospital ke emergency room main puhnchne ki hidayat karsake.

Miscarriage Causes In Urdu Isqaat Ke Asbab: Iskat kyun hota hai? Is bare main bohat si cheezain waziya nahin hain. Baishtar iskaat jo pehle teen maah ke andar hote hain, pait main parwarish pane wale bache ke loni jismia (chromosome) main khilaf mamol chezon ki waja se hote hain. "chromosome" jismani khaliyat ke andar wo nanhai dhanchai hote hain jin main bohat si geneyati khososiyat posheeda hoti hain. Yahi gene mutalka shakhs ki jismani khasosiyat maslan jins, ankhon aur balon ka rang aur khoon ki kisam ka tain karte hain. Chromosome ke bohat se masail itafakia tor par samne ate hain aur inka maa baap ki sehat se koi taluk nahin hota. Iskaat ke asbab main aur bhi degar awamil kar farma hote hain maslan infection, mahol ya kam karne ki jaga par nuksan da chezon se sabka parna maslan bohat ziyada tabkari wali jaga par kam karna ya zeheraile chemicals se alooda hona. Hormones ke masail, reham ki paichedgiyan, cervix, ka na moozon hona yani dard ya zichki ki alamat ke bagair hamal ke darmiyan hi cervix ka khul jana, namunasib tarz zindagi maslan ciggratte noshi, sharab noshi ya manshiyat ka istamal, jismani madafati nizam ki kharabiyan bishmol jild ki dik (lupus), sangeen noiyat ke amraz gurda, paidaishi dil ki bemari, diabties jo control main na ho, thyroid ka arza, tabkari, baaz makhsoos dawaon ka istamal maslan keel muhase keliye Accutane istamal karna, ghizaiyat ki bohat ziyada kami. 

iIs ke ilawa khawateen ki umer barhti jati hai, in main iskaat ka khatra isi qadar zayada hota jata hai. Tibi jaizon main daikha gaya hai ke umer ki dusri daihai 20 sal ki khawateen main iskaat ka khatra 15 se 12 fesad hota hai lekin jo khawateen umar ki chothi daihai 40 sal main hoti hain in main ye khatra 25 fesad tak barh jata hai. Umer se mutalik iskaat main ek eham kirdar chromosome ke in nukais ka hota hai jo umar ke is hise main barh jate hain. Is bat ka koi sabot mojood nahin hai ke zehni dabao (stress) ya jismani ya sanfi sargarmiyan iskaat ka sabab banti hain.

Miscarriage Ka ilaj: Iskat ki tasdeek keliye docter mariza ka maina karne ke ilawa ultra sound test ki hidayat kar sakti hain. Agar iskaat mukamal aur reham khali hai to amoman mazed kisi ilaj ki zarurat nahin hoti. Baaz aukat reham mukamal tor par khali nahin hota to is surat main D and C  procedure ikhtiyar kia jata hai. Baaz aukat mutabadil tarike se yani dawaon se bhi reham khali karne ki koshish ki jati hai. Agar iskat musadika nahin tha lekin iski alamatain mehsoos ki gai then to bohat mumkin hai ke kai roz tak bed rest ki taked ki jai aur ye bhi hosakta hai ke mariza ko mushaide main rakhne ke liye rat bhar hospital main guzarne ki hidayat ki jai. Iskaat ki surat hal ki nigrani ke liye khoon main hamal ke hormone (hcG) ki mikdar ki bhi janch ki jasakti hai. Agar fim reham phaila hua hai to hosakta hai ke namozon fim reham ki tashkhish samne ai aur hamal agar waziya hone ke kabil hoto fim reham ko durust kia jai. Agar mareez ke khoon ki kism Rh negative hai to docter is RH immune Globulin (Rhogam) dai sakti hai. Is blood product se wo anti bodies nahin banaingi jin se bache ko ya mustakbil ke hamal ko koi nuksan puhnche. Agar kisi khaton ko lagatar do se zaid iskaat se sabka paish ae to khoon ke test , geneyati test aur dawain zaruri hojati hain. Bar bar ke iskaat ka sabab janne ke liye baaz tashkhish procedure ikhtiyar kiye jate hain jin main Endometrial Biopsy, Hysterosalpingogram, Hysteroscopy aur Laparoscopy shamil hain.

Miscarriage Kaise Maloom Kiya Ja Sakta Hai: Ikhraj khoon aur zarurat se ziyada bechaini iski aam alamaton main shamil hain. Agar bleeding zayada ho sath main bukhar, sardi mehsoos ho aur dard barhne lage to fori tor par docter se rooju karna chahye. Ye infection ki alamatain bhi hosakti hain.

Pregnancy After Miscarriage - Iskat Ke Baad Dobara Hamal: Iskaat ke baad dobara hamla hona bilkul mumkin hai. Kam az kam 85 fesad khawateen jo iskaat ke marhale se guzar chuki hoti hain bad main normal tarike se hamla hoti hain aur bache ki maa banti hain. Iskaat ka ye matlab lazman nahin hota ke mariza baar overy ke masail se do char hai. Dusri janib sirf ek se do fesad khawateen main lagatar teen ya is se zayada iskaat daikhe jate hain. Agar kisi ko musalsal dobara iskaat ho to ise istakrar se goraiz karte hue docter se test ke zariye ye janne ki koshish karni chahye ke iska sabab kia hai?

Getting Pregnant After Miscarriage - Dobara Koshish Se Pehle Kitna Intezar?
Mareeza ko apne ayenda hamal ke silsilay mein lady doctor se mashwara karna chahye khuch doctors aik haiz se 3 months tak wait karne ka mashwara daiti hain. Dusre iskaat se bachao ki khatir hormone progesterone se ilaj ki sifarish bhi ki jati hai jis se reham janbain ki parwarish ke kabil hota hai. Iskaat ke baad jismani aur jazbati andmal ke liye khuch waqt zaroor laina chahiye. Ye bohat aham hai sab se zayada zaroori baat ye hai ke iskaat ke liye khud ko zimedar na karar diya jaye.

Iskat Se Bachao Mumkin Hai?
Aam tor par iskaat se bachao mumkin nahin hota kyoun keh zayada tar ye is wajaj se paish atay hain ke hamal mamool ke mutabiq ya normal nahin hota. Agar test wagera se is ki koi khaas wajah maloom ho jaye tou phir is ka ilaj mumkin hai par baaz auqat mumkina maa ki bemari ke ilaj se kamyab hamal ke imkanat roshan ho jate hain.

Hamal Hone Ke Liye Tarika: Uper detail mein miscarriage ki wajah batai gayi hai aur ab hamal ka tarika bataya ja raha hai jo hamla hone ki koshish kar rahi hain woh is article hamal ka tarika parhain is se aap ko hamal theharne ki mukamal maloomat hasil hon gi.
logoblog

Thanks for reading Miscarriage Symptoms In Urdu Treatment Miscarriage Ka ilaj Hindi Miscarriage Reason

No comments:

Post a Comment