Minar e Pakistan Urdu Essay Minar e Pakistan Kahani Few Lines Paragraph Mazmoon

  Lal Gulab      
Minar e Pakistan Essay In Urdu Minar e Pakistan aik azeem qaumi shahkar hai youn lagta hai keh hamari tarikh ka woh yadgar lamha is minar ki shakal mein mujasam ho gaya hai jub bar-e-sagheer ke Musalmanon ne taweel sayah door ke baad aik alehda Muslim riyasat ko apni wahid qarar diya tha.

Ye minar lahore mein badshahi masjid ke qareeb iqbal park mein ain us muqam par tameer kiya gaya jahan 23 march 1940 ko Qaid ki walwala angeez qayadat mein All india Muslim league ka salana ijlas munaqad hua tha. Usi ijlas mein woh tareekhi qarardad manzoor hoi thi jisay baad mein qarardad Pakistan ke naam se mosoom kiya gaya tha. Minar e Pakistan ka sang e bunyad 23 march 1960 ko rakha gaya tha taham us waqt ye tay nahin hua tha keh yahan tameer ki jane wali yadgar ki noeyat aur shakal kya ho gi. 11 april 1962 ko hukumat ne aik russian nazad achitect naseer ud din ke design karda minar ko is yadgar ke liye manzoor kiya aur youn is tareekhi minar ki bazabta tameer ka aghaz hua jo 26 july 1967 ko paya takmeel ko pohanchi.

Minar Pakistan ki designing mein takneeki maharat samoi gayi hai aur khuch is qisam ka saaz o saman istemall kiya gaya hai jis se Pakistan ke ibtidai door mein paish aanay wali mushkilat ki akasi hoti hai. Maslan minar ki bunyad ke neechay mukhtalif takhtay hain pehli takhta bara khurdra hai ye is baat ka ghamaz hai keh Pakistan azadi ke waqt kis mushkil halat mein tha. Dusre takhtay mein pathron ko tarteeb o tarash de di gayi hai teesre takhtay mein pathron mein malaimat paida ki gayi hai aur thoray takhtay par sang e mar mar istemal kiya gaya hai. In alamaton se is baat ki tarjumani hoti hai keh Pakistan ne kis tarah ahista ahista taraqi ke madaraj tay kiye hain.

Minar Pakistan ki bulandi 196 foot 6 inch hai 180 foot tak isay lohe se tameer kiya gaya hai baqi 16 foot steel ka aik gumbad banaya gaya hai jis se suraj ki roshni munakas ho kar mahool ko roshan karti hai.
Minar pakistan par 19 takhtiyan nisb hain jin par Allah ke 99 Asma-e-Husna, Quran ki Ayaat tehrrer hain, qarardad pakistan, qarardad dehli, qaumi tarana aur iqbal ke ishar bhi likhe hue hain.
logoblog

Thanks for reading Minar e Pakistan Urdu Essay Minar e Pakistan Kahani Few Lines Paragraph Mazmoon

No comments:

Post a Comment