Jahez Essay In Urdu Jahez Aik Lanat Hai Jahez In Islam In Urdu Mazmoon

  Lal Gulab      

Jahez Essay In Urdu Jahez Aik Lanat Hai

Jahez ek nasor hai jahez ek lanat hai jo hamare muwashire mein cancer ki tarha phail chuka hai. Is lanat ne lakhon behno aur betiyon ki zindagi ko jahanum bana kar rakh dia hai inki masoom ankhon mein basne wale rangen khuwab chen liye hen, inki arzon, tamanaon aur hasen zindagi ke sapno ka gala ghont dia hai. Inhen na umedi, mayoosi aur andheron ki in gehri wadiyon mein dhakel dia hai jaha se ujale ka safar namumkin hochuka hai.

Ye ek aisi qabih rasam hai jis se sirf gareb walden zinda dargor horahe hen aur is aas par zinda hen ke koi farishta sifat insan is lanat se pak do jora kapron mein in ke lakht e jigar ko qabol kare, lekin hamare muwashire mein jo rasmen rawaj pachuki hen aur waqt guzarne ke sath apne qadam mazbuti se jamae hen in se chutkara pana na mumkin hai.

Darhaqeqat jahez bilkul hindustani rasam hai aur hindu muwashire mein tilak ke name se mashoor hai jise aj hamare muslim muwashire ne apnalia hai, is lanat ne mojoda dor mein ise fan phailae hen ke gareb gharano ke larke bhi apne se zayada mal o zar wale gharano ka rukh karne lage hen jiski waja se gareb gharon men paida hone wali larkiyan shadi se mehrom apni chardewari mein bethi rehne par majbur hen.

Jahez ek galat aur fitrat ke khilaf rasam ne jo qabih surat ikhtiar karli hai iski misal nahin milti ye bat durust hai ke kuch qabal jin ashiya ko qeemti shumar kia jata tha wo aj mamoli zaruriyat zindagi ban chuki hen lekin iska matlab hargiz nahin ke jahez ke name par larki ke walden ko karz ke samandar mein dubodia jae, agar gor se mutala kia jae to aj ka insan scienci dor mein guzar raha hai, apne be panah ilam aur gair mamoli taraki par nazan hai wasail ne itni asania paida kardi hen duniya global village ban gai hai jaha palak jhapakte tamam kam hal hojate hen insan ki taraki mazed jari hai. Lekin dusri taraf itni taraki ke bawajod insan kisi aur makhloq se nahin apne hum nafs se itna sehma aur khofzada hai ke jis ki misal nahin milti, bilkhasus hamare muwashire mein garebon ki koi ehmiyat nahin wo mehaz rengte galez kere makore hen aur harkoi inhen masalta hua age nikal jata hai, gareb ke ghar beti paida hojae to ek taraf khuda ki rahmat aur jab shadi ki umar puhnche to zehmat banjati hai kyun ke larke wale jahez jaisi lanat ka takaza karte hen.

Jahez ki asal haqeeqat iske siwa aur kuch nahin ke larki ke walden jinho ne ise pal pos kar bara aur ghar ki dehlez se rukhsat hote waqt agar kuch tohfe dete hen to ise jahez nahin balke apni aulad se muhabat o taluq ki bina par fitri amal hai, lekin mojoda dor mein in tahaif ki jo halat banadi gai hai wo pehle kabhi na thi. Maa bap ke in tohfon ko larke walon ne farmaeshi program banadia hai aur pura na hone par zulm o ziyadti ki jati hai jo ke sara sar na insafi hai yahi waja hai ke pehle ye samaji rasam hua karti thi aj jabar ban gaya hai, is lanat ki waja se jo zulm o sitam bahu betiyon par kiye jate hen wo bayan nahin kiye jasakte.

Hakumaton ko chahye jaise rat gae shadi biya ke shor o gul par pabandi aid ki hai wese hi ek qanon banaya jae jis mein jahez lene dene ko jurm karar dia jae, aur is jurm ka artakab karega ise jail o bhari jurmane kiye jaen ta ke aenda koi aisa ghinona mutalba na kare, is karobar ko khatam karne ke liye sakhat karwai ki zarurat hai aur riyasati islami tanzemo ka amal dakhal lazmi karar dia jae.

Muwashire mein jahez jaisi lanat ko khatam karne mein walden ko bhi sakhti se amal karna hoga wo ehad karen ke na jahez denge aur na lenge, logo ko bhi bataya jae ke jahez mangna hi jurm nahin balke apni hasiyat se barh kar tahaif ke name par jahez dena ya apni jaedad wagera firokht karke jahez ke mutalbat pure karna ek ikhlaqi jurm hai, hamare muwashire mein jahez ke ilawa buhat si gair islami rasmein pai jati hen. Jin ki waja se samaj mein zabardast bechaini barh rahi hai, amra keliye to koi bat nahin lekin garebon ke liye betiyan musibat sabit horahi hen aur rozana hazaron larkian is nasor ki bhent charh rahi hen, jahez ki len den gair islami hai, is ghinoni gair islami rasam ko khatam karne mein nojawan eham role ada kar sakte hen ye aisi surat mumkin hai jab aj ki nasal jahez ka lalch apne dilon se nikal den aur muwashire mein apne is mukhlisana amal se inkalab barpa karen.
logoblog

Thanks for reading Jahez Essay In Urdu Jahez Aik Lanat Hai Jahez In Islam In Urdu Mazmoon

No comments:

Post a Comment