Islami Akhuwat Urdu Essay Akhuwat Note Islami Akhuwat

  Lal Gulab      

Islami Akhuwat Urdu Essay

Akhuwat ke mani (meaning) bhai chara ya bhai banne ke hain. Aflatoon ne kaha tha "Bhai bhi usi waqt bhai hai jubkeh woh dost ho". Islam se pehle Arab qabila wariyat mein aise phansay hue thay keh afratafri ka alam tha har qabeela ne apne apne juda but bana bana rakhe thay baat baat mein un ke darmiyan laraiyan hoti rehti thien. Gharz tamam Arab aik dusre se bikhre hue intshar aur badamni mein zindagi guzaar rahe thay. Aur yehi wajah un ki bad hali ki thi. Jub Rasool Allah (SAWW) ne Allah ke hukam se Makkah se Yasrab (Madina) ki taraf hijrat farmai aur dusre Musalman bhi wahan pohanche tou sub se pehle kaam Aap SAWW ne yehi kiya keh mahajar o ansar ke darmiyan Islami rishta ko istwar kar ke aur is bahmi tafreeq ko khatam karne ke liye akhuwat ka rishta qaim kiya.
logoblog

Thanks for reading Islami Akhuwat Urdu Essay Akhuwat Note Islami Akhuwat

No comments:

Post a Comment