Humsafar Summary In Urdu Humsafar Khulasa Hamsafar Story

  Lal Gulab      

Humsafar Summary In Urdu Humsafar Khulasa Notes

Humsafar Story In Urdu: Is afsanay ka aham kardar aik musafir hai aur woh musafir musanif hai jo aik bus mein sawar ho kar apni manzil maqsood par pohanchna chahta hai lekin khuch dair ke baad usay ehsas hua keh woh ghalat bas mein sawar ho gaya. Chunachay woh preshan ho kar musafiron ko hairat zada nazron se dekhta hai aur aglay stop par utarne ki koshish karta hai lekin bas ki tez raftari aur logon ke hujom ki wajah se woh utar na saka. Bas ki tez raftari aur logon ke rash ki wajah se usay kisi bhi stop par utarne ka moqa nahin mila. Woh darasal model town jane wali bus mein sawar ho gaya tha. Jub keh usay jana kahin aur tha. Chunachay us ne ye socha keh ab tou khuch bhi ho jahan tak bus jaye gi woh bhi jaye ga. Woh jis rastay par bus chal rahi thi us ka gehri nazar se mushahida karta raha logon ko utarte charhte dekhta raha. Akhirkar usay ye khayal preshan karne laga keh woh apni manzil se door hota ja raha hai aur Khuda janay is bus ki akhri manzil kahan hai aur ye usay kahan lay jaye gi. Magar woh bilkul be bas tha aur akhir kar thak haar kar aik khali seat par baith gaya. Bus mein safar karte hue usay doston ki yaad satane lagi usay un ke bichar jane ka ghar tha. Woh usay bohat yaad atay rahe. Pas bas isi tarah apni manzil ki janib rawan dawan rahi aur woh har stop par ghabraye hue andaz mein logon se puchta raha keh kya ye model town hai magar ab usay is baad ka jawab musbat andaz mein na milta woh nafi mein jawab sub kar phir aram se apni nashist par baith jata. Us ke pehlu mein aik mailay kuchailay kapron wala musafir baitha tha jo so raha tha. Woh us musafir ko sotay dekh kar bohat hairan hua magar woh musafir barabar sota hi raha aur us ka sar bar baar us ke kandhay par akar tikta raha. Aur baaz dafa sotay hue musafir ka pura wazan par jata tha. Aur musanif usay hata kar bad ikhlaqi ka muzahira nahin karna chahta tha. Chunachay us ne akhri bus stop tak us ko qatan takleef nahin di. Bus hasb-e-mamool faratay bharti hoi chalti rahi aur musanif bhi ghabrata hua logon se puchta raha akhir conductor ne awaz lagai ke chalo ye model town hai.

Musanif ko doran-e-safar aik lambi larki nazar ayi us ki ujli gardan saaf nazar arahi thi aur us ki kameez nechay tak kasi hoi thi goya woh chust libas pehne hue thi. Woh usay dekhta raha magar baad mein woh aik dublay patlay larkay ki aar mein ho gayo. Abhi bus ke us musafir ne ticket nahin liya tha jub conductor us ke qareeb aaya tou us ne socha kyoun na 7 aanay bacha liye jayain magar foran hi us ke zameer ne usay jhinjhora keh 7 anay jesi haqeer raqam bachane ke liye bay imani kyoun ki jaye. Barhal us ne rupee jaib se nikal kar conductor ko de diya aur usay ye nahin bataya ke woh kahan se araha hai aur usay kahan ka ticket chahiye. Conductor ne sirf 3 anay katay aur baqi paise wapas kar diye woh musafir ird gird baithay hue musafiron ko kin ankhon se dekh raha tha magar woh khamosh raha aur us ne conductor se khuch na kaha. Woh doran-e-safar isi kashmakash aur uljhan mein raha keh woh ghalat bus mein sawar ho gaya hai. Sonay wale musafir ke wazan se us ke kandhay dukhne lage thay. Magar usay mehsoos hua keh sonay wala musafir us ke jism ka hisa hai aur phir us ne faisla kar liya keh woh bus ke terminal tak jaye ga.
logoblog

Thanks for reading Humsafar Summary In Urdu Humsafar Khulasa Hamsafar Story

No comments:

Post a Comment