Faisal Mosque Essay In Urdu Faisal Masjid Note Paragraph Speech Faisal Mosque

  Lal Gulab      
Faisal Mosque Essay In Urdu: 1959 mein jub Islamabad ki mansooba bandi ki ja rahi thi tou un mansooba sazon ke zehan mein aik aisi masjid ka khaka bhi tha jo pur shikwa bhi ho par jamal bhi ho aur is jadeed tareen shehar ki shanakht aur pehchan bhi ho. Islamabad ka shehar ahista ahista basta raha aur jub 1966 mein Saudi Arab ke Shah Faisal Pakistan aye tou unhon ne is Masjid ke tamam tar akhrajat bardasht karne ka ilan kiya. 1968 mein hukumat Pakistan ne is masjid ke design ke liye aik bain-al-aqwami (international) muqablay ka ahtmam kiya. Ye muqabla Turkey ke architect ne jeeta. March 1975 mein jub Shah Faisal shaheed kar diye gaye tou hukumat Pakistan ne faisla kiya keh ye masjid un ke naam se manoon kar di jaye. Is liye 28 november 1975 ko hukumat ne is Masjid ka naam Shah Faisal Masjid rakhne ka ilan kar diya.

October 1976 mein jub Saudi Arab ke farmanrawa Shah Khalid Pakistan ke doray par tashreef laye tou hukumat Pakistan ne un se darkhwast ki keh woh apne bhai ke naam se ma'anoon is azeem Masjid ka sang e bunyad rakhain. 12 october 1976 yani 17 shawal 1396 hijri ko Shah Khalid ne aik bawaqar taqreeb mein is azeem al shan Masjid ka sang e bunyad rakh diya.

Faisal Masjid ke markazi haal ka raqba 51984 foot muraba foot hai markazi haal ke charon taraf 4 minar hain jin mein se har aik ki bulandi 286 foot hai. Masjid ka markazi haal aik kheemay ki shakal mein design kiya gaya hai. JIs ki unchai androoni janib se 134 foot aur beroni janib se 150 foot hai. Is markazi haal mein Pakistan ke 2 mumtaz musawiron ne abhi Qurani Ayat ki khatati ka sharf hasil kiya hai. Is ke ilawa is haal ke uper nisb kiye jane wale talai halal ki tanseeb ka kaam bhi anjam diya gaya tha.

Ye masjid 10 saal ki shab o roz tameer ke baad 2 june 1986 mutabiq 23 ramadan ul mubarak 1406 hijri ko paya takmeel ko pohanchi. Youn woh khwab jo Shah Faisal ne 1966 mein dekha tha 2o saal ke baad haqeeqat ban gaya.
logoblog

Thanks for reading Faisal Mosque Essay In Urdu Faisal Masjid Note Paragraph Speech Faisal Mosque

No comments:

Post a Comment