Education Essay Urdu Taleem Ki Ahmiyat Speech Urdu Importance of Education In Pakistan

  Lal Gulab      

Education Essay Urdu Taleem Ki Ahmiyat Speech In Urdu

Importance of Eduacation In Pakistan - Taleem Ki Afadiyat: Aaj ke is pur ashoob aur taiz tareen dor mein taleem ki zarurat bohat ehmiyat ki hamil hai chahe zamana kitna hi taraqi kar lay. Halanka aaj ka dor computer ka dor hai atomi taraqi ka door hai, science aur sanati taraqi ka dor hai magar schools main bunyadi asri taleem, technical taleem, engineering, wakalat, docteri aur mukhtalif jadid alom hasil karna aj ke dor ka lazmi takaza hai. 

Jadid aloom to zaruri hain hi is ke sath sath deni taleem ki ehmiyat apni jaga masmim hai, is ke sath sath insan ko insaniyat se dosti ke liye ikhlaqi taleem bhi behad zaruri hai. Isi taleem ki waja se zindagi main khuda parasti, ibadat, mohabbat, khalos, isar, khidmat khalaq wafadari aur hamdardi ke jazbat paida hote hain. Ikhlaqi taleem ki waja se saliah aur naik muwashira ki tashkeel hosakti hai.

Taleem ke hasool ke liye kabil asatiza bhi behad zaruri hain jo bachon ko awla taleem ke hasool main madad farahim karte hain. Ustad wo nahin jo mehaz chaar kitabain parha kar aur kuch classes lekar apne faraiz se mabra hogaya hogaya balke ustad wo hai jo talba o talbat ki khofia salahiyaton ko baidar karta hai aur inhain shaoor o adrak, ilam o aghi naiz fikar o nazar ki dolat se malamal karta hai.

Jin asatiza ne apni is zimedari ko behtaren tarike se pora kia in ke shagird akhri sans tak in ke ehsan mand rahte hain. Is tanazir main agar aj ke halat ka jaiza lia jai to mehsoos hoga ke paisha tadrees ko bhi aloda kardia gaya hai. Mehkama taleemat aur school intazamia aur muwashira bhi in chaar kitabon par kaniah hogaya. Kal tak hasool ilam ka maksad tameer insani tha aj nambrat aur mark sheet par hai. Magar afsos ke hamare mulk ke taleemi idaron par mufad parast tola kasar shahi ki tarah kabiz raha hai.

Jin ke nazdek is azeem paisha ki kadar o qeemat ki koi ehmiyat nahin rahi hai, bad kismati is bat ki bhi hai kuch aise anasir bhi taleem ke dushman hue hain jo apni khuwahisat ki takmeel ke liye hamare taleemi nazam ke darmiyan aisi kash makash ka aghaz kar rakha hai jis ne ruswai ke ilawa shahyd hi kuch anayat kia ho. Magar phir bhi jis tarah beruni duniya ke log taleem ki ehmiyat ko samajhte hain isi tarah musalman bhi kabhi jadid taleem se dor nahin rahe balke jadid zamane ke jitne bhi aloom hain zayada tar ke bani musalman hi hain. Mawazina kia jai to andaza hoga ke aj europ tak ki jamiyat main musalmano ki tasnif karda kitabain nisab main shamil hain.

Hamare bache haste khailte aur khush hote hi ache lagte hain aur sab se zayada eham bat ye hai ke yahi sab kuch karte hue ye bache tarike se saikhte bhi hain. Wohi batain jo khail khail main samajhte hain in ke ilam main izafe ka bais banti hain. Aksar o baishtar gharanon main char ya 5 sal ki umar main bache ilam ke safar par gamzan hote hain. Ye safar in ke liye nihayat khush gawar hota hai aur kabhi kabhi kathin bhi. Dil lagai bagair saikhna ilam par bojh hota hai phir aise afsos nak halat o wakiat jo aj hamare taleemi nizam main pai jane lage hain shayad badalne ki koshish se bhi na badle ja sakain. In nanhe dimagon ko zang aloda hone se bachane ki ashad zarurat hai kyunke is waqt hamare maroja aur riwayati tarika tadres main bachon ke liye koi kashish bani nahin rahi hai bache schools, colleges, jamiat main jane se katrate hain.

Lag bhag satar fesad bache school jate hain magar in main se bhi kuch fesad bache primary satah ki taleem mukamal karne se pehle hi school chor daite hain. Iski koi thoos waja siwae is ke riwayati tarika taleem main tabdeeli nahin ki gai aur dusri waja mehangai ki sharah main izafa hai jiski waja se waldain apne bachon ko child labour ke tor par kam main mashgol karwa daite hain. Is liye zaruri hai ke taleemi idaron main parhane ke sath sath bachon ki dilchaspi ke liye degar programs ko bhi tarteeb daikar in main dilchaspi ka saman paida kiya jaye.

Is dor main subha sham ki shift main taleem o tadrees ka silsila zoron par hai har jaga aur har makam par taleem ko firog daine ki bat ki jarhi hoti hai. Jaga jaga coaching center bhi apne faraiz ki anjam daihi ko jari rakhe hue hain aur ye coaching center ka trend is liye chal para hai ke taleemi idaron main taleem daine ka fikdan hai. Go ke ye coaching center aur nai nai taleemi Idare fees ki mad main bhari bharkam fees wasol karte hain. Behar hal bachon ki tabnak mustakbil ke liye waldain in coaching centers ki bhari bharkam fees bhi jhailne ko tayar rahte hain ta ke inke honharon ko achi taleem mohiya hosake.

Hasool taleem ke farz kiye jane par koi ikhtalaf nahin hai Quran Majeed main lag bhak 5 so makamat parba lawasta ya ba lawasta hasool taleem ki ehmiyat aur fazilat bayan ki gai. Ilam ki farziyat bara rast bayan be shumar ahadees main bhi aya hai. Nabi SAWW ne irshad farmaya: "Hasol ilm tamam Musalmano par (bila tafrik mardozan) farz hai. Beshak ilm hasil karna har musalman mard o zan par farz hai.

Islam tawarikh gawa hai ke musalmano ne taleem o tarbiyat main mairaj pakar deen o duniya main sar bulandi aur taraki hasil ki lekin jab bhi musalman ilam aur taleem se dor hue wo gulam bana liye gae ya phir jab bhi inho ne taleem ke mawakon se khud ko mehroom kia wo bahasiyat qoum apni shanakht kho baithe. Aj pakistan main taleemi idare dehsat gardi ke nishana par hai dushman taqatain taleem ki taraf se badguman karke mulk ko kamzor karne ke darpa hain kuch aise anasir bhi mulk main mojood hai jo apni sardari, chudirahat, jagerdari ko istamal karte hue apne mufadat ki waja se apne asar o rasokh wale ilakon main bachon ki taleem main rukawat bane hue hain ye bhi ek kism ki taleem dushmani hai jiska kila kamah karna zaruri hai.

Aaj zaroorat is amar ki hai ke ham apne taleemi nizam ke makasid ko waziya karain aur asal marz ki taraf tawaja dain. Lord maikale ke mada parastana aur scholar nizam taleem ke bajae pakistan ki nazaryati bunyadon ko samne rakh kar hamain aisa taleemi nizam waziya karna chahye jo hamare afrad aur muwashire ke darmiyan pul ka kam anjam dai sakain is ke bad hi ham is natije par puhnch sakainge ke ham ne is mulk aur qoum ki khidmat ki hai.
logoblog

Thanks for reading Education Essay Urdu Taleem Ki Ahmiyat Speech Urdu Importance of Education In Pakistan

No comments:

Post a Comment