Dolphin Information In Urdu Dolphin Essay In Hindi Dolphin Facts

  Lal Gulab      

Dolphin Information In Urdu - Dolphin Essay In Urdu

Samanadar Mein Har Waqt Shor Machane Aur Dilchasp Kartab Dikhane Wali Machli
Dolphin, samandar main rahne wali ek aisi bari si machli hai jo samandar main har waqt shor o gul machati rahti hai. Taweel jisamat ke bawajood apni naram o molaim jild ki badolat pani main intehai sabk raftari se tairti rahti hai. Mukhalif hawa aur pani ka taiz bahao is ki rah main rukawat nahin banta. Dolphin ke jism ka upri hisa aam tor par siyah hota hai jis par brown banafshi nishanat hote hain jabke is ke jism ka nichla hisa hota hai. Is ke ilawa bhi dolphin mukhtalif rangon ki hosakti hain. Dolphin ki ek khobi ye hai ke wo chand minute bad pani se uper akar sans laiti hai. Sans laine keliye is ke sar par ek sorakh hota hai. Kabhi kabhi dolphin pani main chalangain laga kar dilchasp jismani kartab bhi dikhati hai.

Dolphin Ki Adatain

Ek aam dolphin ka shumar janwaron ke social groups main kia jata hai kyun ke ye hamesha groups ki shakal main mil jul kar rahti hain. Nar aur mada dolphin ke group sath sath tairte rahte hain. Inke group main koi leader nahin hota. Youn to dolphin ek dusre ki hamdard aur mil jul kar rahti hain lekin kabhi kabhi koi nar dolphin dusre kisi apne ham jins se lar bhi parta hai lekin iski ye chapkilash waqti hoti hai.

Dolphin garam saheli ilakon ke paniyon main rahne ko tarji daiti hain. Apna tamam din machliyon ka shikar karne, mukhtalif khail khailne aur apne dusre sathiyon ko paigamat puhnchane main guzarti hain. Paigamat samjhne aur bhaijne ki inki khas zaban hoti hai jo halke se khotke aur taiz seetiyon par mushtamil hoti hai. Dolphin ki aksar iksam khailne aur kartab dikhane main mahir hoti hain. Khas tor par jab ye sans laine ke liye pani se uper akar chalang lagati hain to wo behad khobsurat manzar hota hai. Neem daire ki shakal main chalang laga kar inka wapis pani main garap se kodna kisi mahir tairak se kam nahin hota. Baaz dolphin kartab dikhate hue ofki andaz bhi ikhtiyar karti hain.

Dolphin bezar aur insanon se manos machli hai isi liye magrabi mumalik main bakaida ise swimming pools wagera banae gai hain jahan dolphin ki nasirf parwarish ki jati hai balke inko insano ke sath khailne aur kartab dikhane ke liye bhi sadhaya jata hai. Har chand ke dolphin insanon se manos aur khail kod main shamil hoti hai lekin agar ise pakarne ki koshish ki jai to ye nuksan bhi puhncha daiti hai isi liye isko pakarna aur sadharna asan nahin.

Afzaish Nasal

Dolphin kisi ek sathi ke sath zindagi basar nahin karti balke afzaish nasal ke moke par har bar naya sathi talash karlaiti hai lekin iske bawajod bhi is ki khandani riwayat bari mazbot hoti hain. Agar cha nar aur mada har bar ajnabi hote hain magar ek dusre ke hamdard aur madagar hote hain. Bache ki paidaish ke waqt nar dolphin aur dosri chand dolphin mada dolphin ko apne ghaire main le laiti hain kyun ke is moke par inhain shark ke hamle ka dar hota hai. Paidaish ke bad dolphin maa nozaida bache ko sans dilane ke liye foran hi pani se bahir hawa main lati hain. Dolphin, maa bache ki feeding pani ke andar hi karti hai. Feeding bohat taizi se aur jaldi jaldi ki jati hai aur is doran har chand second bad bache ko sans dilane ke liye pani se bahir lana bhi zaruri hota hai. Ibtadai do hafte tak nozaida dolphin apne maa ke karib rahta hai. Iski khalain dolphin bhi iske kareb rahti hain. Do hafte bad nozaida dolphin pani main tairne ke kabil hojata hai. Shuru ke pahle hafte main nozaida dolphin ke mashoron se dant nikalne ka amal shuru hojata hai. Ye bilkul aise hi hota hai jaise insani bachon ke dant nikalte hain. Choda se pandra mahine main nozaida dolphin mukamal tor par apni zindagi guzarne aur apni khorak talash karne ke kabil hojati hai.

Dolphin Ki Khorak Aur Shikar Karne Ka Tarika

ek aam dolphin ki ghiza sipiyan machliyan, chote jhenge, sardain machliyan aur octopus wagera hote hain. Garmiyon ke zamane main shumali africa ke paniyon main in machliyon ki bohtat hoti hai, isliye dolphin aam tor par wahan garmiyon main nazar ati hain lekin sardiyon main jab in machliyon ki tada kam hojati hai to dolphin bhi wahan hijrat karke aise makamat par chali jati hain jahan inhain khane keliye wafir mikdar main khorak mayasar ahsakti hai.

Dolphin jab khatra mehsoos karti hain to dusri dolphin machliyon ko apni makhsos zaban main khatre se agha karti hain jo seti aur halke khotke par mushtamil hoti hai. Dolphin machliyon ki songhne ki his bohat kamzor hoti hai is liye inki zaban ke ye makhsos ishare shikar karne main bhi bohat madadgar sabit hote hain. Dolphin pani ke andar bohat taiz awar se seti bajati hai iski awaz jab kisi thos shae maslan machliyon ke garwa se takrati hai to bazgasht paida hoti hai, is bazgasht se dolphin samjh jati hain ke shikar kis taraf hai isi tarah in awazon ke zariye dusri dolphin machliyon ko bhi bakhabar kia jata hai ke dushman kahan hai jaise shark aur whale fish.
logoblog

Thanks for reading Dolphin Information In Urdu Dolphin Essay In Hindi Dolphin Facts

No comments:

Post a Comment