Baal Girne Ka ilaj Urdu Hair Treatment Hair Fall Girte Balon Ka ilaj Totka Hindi

  Umar Babar      

Baal Girne Ka ilaj In Urdu - Hair Fall Solution

Hair Treatment In Urdu Ghanay aur lambay baal khubsoorti ki alamaat samjay jatay hain baal lambay houn ya chootay un ki hifazaat bohat zaroori hai utartay baal shaksiyaat ko mutasir kar detay hain baal agar umar ki waja se gir rahay hon to la elaaaj tasawar kiye jatay hain lakin agar behmari ki waja se ghir rahay hon to iska ilaj mumkin hai kyun ke marz aur  kamzoori door honay par  baal doobara nikal saktay hain balon ka ghirna logon ka aik aam masla hai aj ke door main balon ke ghirnay ki wajah kafi hain jaisay ke hamari masroof zindagi hamain baloon ki sehat ko acha rakhnay k liye madad nahi deti is tarah hamari kharab diet bhi is maslay ko barhati hai lekin fikar mand mat hon aisi ketni jari botiyon ke tail majood hain jin ke rozana ya haftay ka istemal baloon ke ghirnay ki raftar ko sust ya kaam kar deti hain.

Girte Balon Ka ilaj


  1. Zaiton ke garam tail hasil karain aur is ki malish apnay saar par kam se kam ek ya 2 ghantay tak honay se apki zulfoon main nami rehti hai kyun k yeh tail baloon ki jaroon ko bhar deta hai aur inhay achi diet milti hai.
  2. Badam ka tail vitamin d aur A ke liyaw zaroori hai jo ke hamaray baloom ko kudhrati nami dehtay hain inhay khushk rokhay honay se bachatay hain raat ko saar dhonay se pehlay baloon paar is tail ki malish apko sehat mand aur masboot baloon ka malik banati hai.
  3. Nariyaal ke tail ko apnay baloon ki jaroon main apni unghliyaanon  ki madaad se laga saktay hain is se baloon ko honay wahlay nukhsan aur baloon ke sarsoon ke do hisay hojayen wagara nariyaal k tail ko gharam kar ke saar par istemal karain is se khoon ki rawani main behtari k sath baloon ko zaroori oxygen milti hai.
  4. Amla baloon ki hifazaat k liyaw bohat zaroori jari booti hotey hai amla powder k paste ko nariyal ke tail main mila kar istemal karnay se na sirf baloon ki jarain maZboot hoti hain balkay yeh baloon ki nashonama ko b barhata hai yeh khushki ko rok kaar baloon ko safaid honay se bachata hai.
  5. Aloe vera main aisi khubiyaan hotey hain jo khushki ko control main rakhti hain is ko nariyaal ke tail main mila kaar saar paar 3 min taak malish ki jaye aur phir dholiya jaye to is se saar main khoon ki rawani behtaar hotey hai aur yeh baal ghirnay ke khalaaf tahafaz deta hai.
  6. Rose marry baloon ki nashonuma barha dehti hai is ke harbal arq jaab nariyaal ke tail main mila kaar sar paar lagaya jata hai to yeh baloon ki chamaak barha dehta hai aur is wakat ganja paan se tahafaaz milta hai.
  7. Castor oil: Aap ke baloon ke tamam maslay ka behtareen haal sabit hota hai is tail ka apnay sar par istemal bana lain khoon ki rawani barti hai aur zaroori oxygen milti hai jaab ke is se baloon ki nasho nama main b behtari ati hai is ke elawa is main vitamin A b hota hai jo baloon ko khubsourat banata hai aur inko tootnay se bachata hai
logoblog

Thanks for reading Baal Girne Ka ilaj Urdu Hair Treatment Hair Fall Girte Balon Ka ilaj Totka Hindi

No comments:

Post a Comment