Attock Qila Urdu History Attock Fort Information Attock Qila Pictures

  Lal Gulab      
Attock Qila Urdu History Attock Fort: Darya e attock ke kinare par wakiya qila attock banaras 1581 main mughal shahenshah akbar ne tameer karwaya tha. Akbar ko is qila ki tameer ka khayal is waqt aya jab wo apne sotaile bhai mirza Hakeem ko shikast daine ke bad kabul se wapis ahraha tha is waqt akbar ne is ilake ki difai ehmiyat ke paish nazar qila tameer karne ka hukum dia aur 30 may 1581 ko qila attock banaras ki bunyad apne dast mubarak se rakh di. Akbar badshah jab is ilake main aya to yahan qila aur shaihir tameer karne ka irada kia aur qila ke ek bridge ki bunyad darya ke becho baich rakhi kyunke qila ke charon taraf beshumar dushman the.

Shumal main no lakh yousifzai afghan, magrib main khattak afghan, janoOb main bhangi khail afghan aur qila ke mashriq mein sarkani, matani, taren aur gor gashti wagaira akwam abad thin. Qila ki bunyadain darya ke pani se utha li gai ta ke agar dushman ki wajah se qila band karna paray to qila ko pani ki mohtaji na ho kyoun keh pahari ilaqa hone ki wajah se qila main siwae darya ke pani ke konwain ka pani hasil karna namumkin nahin. Koshish ki gai lekin bridge qila ki bunyad darya main qaim na ho saki akbar ko is sorat hal se agha kia gaya. To akbar ne kaha ke aulia karam ki mawnat ke bagair bridge kaim hona mushkil hai. Baaz arkan dolat jo ke hazrat shah sadar ul deen aur shah Esa rahmat ullah alhai ki haqeeqat hal se wakif hochuke the inhon ne garz ki ke fala fala wo buzurg daman koh main ek pishta par rahte hain. Akbar ne kaha inko mere pas laya jai, badshah ke admi inhain bulane ae, shah sadar ul deen rahmat ullah alhai ne farmaya ke Esa ko badshah ke pas le jao. Shah Sadar-ul-Deen ke farman ke mutabiq Shah Esa badshah ke paas tashreef lay gye, badshah aap ke sath nihayat aizaz o ikram ke sath paish aya aur tamam halat bayan karte hue dua ki darkhowast ki. Hazrat Shah Esa  darya ke pani ke qareeb gye aur farmaye ke "Aay darya ke pani pul (bridge) banane ki jaga chorr de ke Muslamanon ne bohat sobatain uthai hain."

Darya us jagah se hat gya aur karigaron ne bridge tameer kiya us waqt 991 hijri thi. Qila ka bridge usi istehkam se darya mein mojood hai aur bazurgon ki dua ki barkat se isi tarah mazbot aur pur kuwat hai ke goya haal hi mein tameer kiya gya ho. Qila ki tameer ki ye tafseel pehli bar manzar aam par ai hai jis se is ilake ki is makhsoos geography sorat hal ka bhi tafseel se ilam hota hai jo qila ki tameer ka sabab bani. Qila ki tameer se ye ilaqa sadiyon tak shumali hamla awron ki yalgar se mehfoz hogaya aur mulk main aman o amaan qaim hogaya. Qila attock banaras shahenshah akbar ne 2 saal ke arse main tameer karwaya.

Qila attock banaras ki tameer ke sath sath hi akbar azam ne hindustan ke shehar banaras se bohat se malah manga kar inhain attock ke makam par abad kia aur attock ke mukam par kashtiyon ka ghat banwaya. Attock ke muqam par in malahon ko jo banaras se bulae gai the jagreen ata kin jin ki aulad ab tak wahan abad hai aur jageer ki malik hai. In malahon ki basti ab bhi malahi tola ke name se mashoor hai. Akbar ne shahzada saleem ko qila attock ka qila dar mukarar kia. Shahenshah ko giraftar karlia tha is waqt asif khan aur khuwaja abu al hassan ne lashkar shahi ke sath dushman par hamla kardia. Lekin rajpooton ne is hamle ko nakam bana dia. Asif khan ne ye sochte hue kaha wo mahabat khan se bach nahin sakega apne khidmat guzaron samait qila attock main mahsoor hogaya. Is din mahabat ne asif khan ko qaid main le lia aur qila apne mulazmeen ko de dia kuch arse tak qila mahabat khan ke kabze main raha bad main mahabat khan shah jahani panah main ah gaya tha. Takht nasheeni ke bad shah jahan ne 5 martaba kabul ka safar kia aur har martaba attock ke makam se hota hua guzra. 12 octber 1647 ko shah jahan kabul se wapsi par qila attock main firokash hua. Dor alamgairi main attock ka qila dar kamil khan tha jo ke shams abad ke ek majzoob shah rehana baba Ka matkad tha. Isne yousif zai afghano ke sath mozah haroon ke kareb ek marka lara. Is marka main is qadar afghan qatal hue ke attock ke makam par saron ka meenar tameer kia gaya 1752 main qila attock durani amaldar amdi ke kabza main ah gaya. Durani amaldari ke doran Atta muhammad khan aur iska bhar chandad khan hakumat afghanistan ki janib se awla tarteeb kashmir aur attock ke governer the.
logoblog

Thanks for reading Attock Qila Urdu History Attock Fort Information Attock Qila Pictures

No comments:

Post a Comment