An Accident Urdu Essay Road Accident Aik Khofnak Hadsa Bus Ka Traffic Accident Mazmoon

  Lal Gulab      

Bus Ka Khofnak Hadsa - A Road Accident Essay Urdu Traffic Accident Essay In Hindi

Akhbarat mein aye din bason ke hadson ki khabrain shaya hoti rehti hain. Aik aisa hi hadsa mere samne paish aaya. Jub ye manzar meri ankhon ke samne aata hai tou mere rongtay khare ho jate hain. Chand mah hue main lahore se rawalpindi ja raha tha. Lahore se bahir nikalte hi bason, karon aur texiyon ke darmiyan dor ka muqabla shuru ho gaya tha. Gujranwala tak sadak double hai is liye itne fasle mein nisbatan kam hadsat hote hain. Gujranwala ke baad sadak yak tarfa hai magar driver log bilkul ahtyat nahin karte siwaye chand aik samajhdar aur ba asool drivaron ke sub hi is dor mein shadil thay aur aik dusre ko over take karne ki koshish kar rahe thay.

Main gt road ki bus mein safar kar raha tha driver samajhdar aur tajarba kar dikhai deta tha kyoun keh us ki raftar shuru hi se yaksan thi. Koi peechay reh jaye ya agey nikal jaye woh apni sahi raftar se chalta gaya. Aisa bhi hua keh sawariyon ne driver par qisam qisam ke awaz bhi kasay magar us par koi asar na hua. Woh 40 - 45 ki raftar se agey na barha. Gujranwala ke baad Wazirabad aaya wahan se bhi khairiyat se guzar gaye. Jub hum wazirabad se agey darya ke paar chale gaye tou pechay se aik tez raftar bus ayi. Us ka driver chahta tha keh hamari bus se agey nikal jaye magar hamare driver ne ishara kiya keh abhi agey nikalne ki koshih na kare aur woh na nikal saka.

Isi tarah se woh gujrat tak koshish karta raha lekin agey na nikal saka kyoun keh gujarat anay wala tha aur traffic zayada ho gayi thi.

Gujarat pohanch kar hum chand minute ke liye thehre phir chal diye. Gujrat se taqreeban 5 meel hi door gaye hon gey keh wohi bus phir se hamari bus se aa mili. Woh bus bohat tez arahi thi aik bus hamare samne se gujrat ki taraf arahi thi. Sarak yak tarfa thi is liye hamare driver ne usay rukne ka ishara diya magar woh is qadar bewaqoof sabat hua keh zabardasti hamari bus pas kar gaya.

Jub hamare driver ne dekha keh woh pas kiye baghair nahin rahe ga tou hamare driver ne raftar kam kar li. Shayed woh bhamp gya thake hadsa ki surat mein mera peechay rehna hi theek hai. Aankh jhapakne mein woh agey nikal gaya. Bus us ka agey nikla tha keh woh donon busain aik dure aamne samne thein. Is asna mein hamare driver ne apni bus ki raftar aur bhi kam kar li. Usi lamhe aik garajdar aur khaufnak dhamakay ki awaz ayi. Ye awaz suntay hi tamam sawariyan khauzada ho gayien aur Kalma parhne lagien. Hamare driver ne aik dam brake lagai humain dhachka tou zabardast laga magar hamari janain bach gayien lekin jo basain takrayien thien un mein se aik ult gayi aur dusri darkht se ja takrai. Donon ke engine tabah ho gaye donon ke samne ki janib ke hisay aik dusre se takraye thay. Donon driver moqa par shadeed zakhmi ho gaye koi seeton mein phansay hue thay. Kisi ka sar zakhmi tha yehi dusri bus ki halat thi. Donon bason ne traffic band kar di thi road par donon taraf ki bay shumar traffic ruk gayi thi.

Dhamakay ki awaz sun kar ird gird kheeton mein kaam karne wale aur nazdeeki gaon ke log hadsa ki jagah par aa gaye thay. Jaldi jaldi jo khuch bhi kisi se ho saka us ne musafiron ki imdad ke liye kiya. Jitne admi bahir nikal sake un ko nikala aur unhain hosla diya. Kayi car wale aise naik dil nikle keh unhon ne zakhmiyon ke liye apni karain paish kar dien.

Jub rasta khul gaya tou hum apne safar par rawana ho gaye sara rasta log hadsa ki batain hi karte rahe aur Khuda se duain karte rahe keh tamam safar salamti ke sath khatam ho aur hum khairiyat se apne gharon tak pohanch gaye.
logoblog

Thanks for reading An Accident Urdu Essay Road Accident Aik Khofnak Hadsa Bus Ka Traffic Accident Mazmoon

No comments:

Post a Comment