Ya Rashidu Benefits Urdu Wazifa Ya Rashidu Meaning Ya Rashid Wallpaper

  Lal Gulab      

Ya Rashidu Benefits In Urdu Ya Rashidu Wazifa

Ya Rashidu Meaning – Ay Seedhi Rah Dikhane Wale

Dunya ka sub se behtar rehnuma Allah hai wohi har qisam ki makhlooq ko seedhe rastay par gamzan karne wala hai. Woh bazat-e-khud hidayat ka mamba hai aur ahl e dunya ko usi ki taufeeq aur nazar anayat se hidayat milti hai isi liye usay Rashid kaha jata hai. Allah Rasheed hai keh woh har hidayat ki talab rakhne wale ki rehnumai fermata hai. Allah is lihaz se bhi Rasheed hai keh Us ke har hukam mein hidayat payi jati hai is se maloom hua keh Allah Ta’ala tamam bandon ki rehnumai farmane wala hai aur us ki rehnumai aur hidayat ta qayamat jari rahe gi. Sahi rehnumai aur hidayat usi se mil sakti hai is liye jisay sahi hidayat kit alb ho tou woh usay is sifat se pukaray In Sha Allah seedhi rah mil jaye gi. Ism Ya Rahidu jamali hai aur is ke adad 514 hain Ya Rahidu ke benefits (faide) yani khawas mandaja zail hain.

Rah-e-Hidayat Panay Ka Amal

Jo insane hidayat chahta ho usay chahiye keh har namaz ke baad Ya Rashidu 100 baar wird kar liya kare tou woh naik ho jaye ga. Sa’adat mandi ki tamam rahain us par khul jayain gi aur is wazifa ki barkat se woh bohat hi acha insane ban jaye ga aur is wazifa ki bana par naqsh bohat mujarab hai.

Talash-e-Murshad-e-Kamil Ka Amal

Agar batni rehnumai ke liye kisi shakhs ko sahi murshad na mil raha ho tou usay chahiye keh tahajud ke waqt 3000 baar Ya Rashidu parhay aur sajda mein sar rakh kar murshad kamil milne ki dua kare 11 din tak.

Naye Kaam Ke Bare Mein Maloomat Ka Amal

Naye kaam par ya koi karkhana lagana chahe ya koi karobar jaldi karna chahe magar us ke zehan mein koi business ka programme na araha ho tou 21 days Ya Rashidu isha namaz ke baad 3000 martaba parhe In Sha Allah usay khwab mein ya kisi ishare se naye kaam ke aghaz ke bare mein maloom ho jaye ga.

Mehmaat Mein Kamyabi Ka Amal

Hazrat Sultan Bahu ne aqal baidar mein farmaya hai keh agar koi Ya Rashidu maghrib ke baad 1000 martaba parha karay us ka har kaam asani se sar anjam paye ga.

Nasha Chorne Ka Wazifa

Ya Rashidu nasha churane ke liye bohat akseer hai lihaza kisi ka nasha churanay ke liye Ya Rashidu ko 11 din roz 11500 baar parhay akhri din pani dam kar ke bistar aur kapron par chirkain is tarah 3 martaba amal karain nasha chhot jaye ga.

Ya Rashida Ka Amal

Ya Rashidu ka naqsh (taweez) dene ke liye 6250 marta daily parh lain yahan aap ko jitney bhi fawaid likhe nazar arahe hain in sub ke bare mein Ya Rashidu ka taweez mufeed hai.
logoblog

Thanks for reading Ya Rashidu Benefits Urdu Wazifa Ya Rashidu Meaning Ya Rashid Wallpaper

No comments:

Post a Comment