My Neighbours Urdu Essay Neighbours Right In Islam Hamsaye Ke Huqooq Padosi

  Lal Gulab      
Hamsaye Ke Huqooq - Neighbour Rights Urdu: Humsaya yani padosi farsi lafz hai aam toor par is ka tarjama parosi kaha jata hai arbi main is k liyaw jar ka lafz istimal hota hai hamsaya aur paroosi ka taluq bohat zayada mashoor hai ghar k kareeb rehnay wahlay logon k elawa ek college k 2 student ek safar ek 2 sathi hamsaye hain lakin in saab main is ki zayada ahmiyaat hai jo zayada kareeb hai aur rishtedar hai. Islam ki yeh taleem nahi k musalman hamsaye se naik taluq rakhay balkay yeh taleem dehta hai hamsaya chahay kisi b mazhab ya firqay se taluq rakhta ho isky sath acha taluq rakha jaye isko kisi kisam ki takleef na di jaye hamsaye ke haqooq yeh hain.

Hamsayon Ki Izzat Aitram: Humsaye ka saab se pehla haq yeh h k in ki izzat ki jaye agar woh baray hain toh inko apna bazurg khayal kiya jaye aur koi baat aisi na ki jaye k jis se yeh zahir ho k tum in ki izzat nahi kartay ho

Husn e Salook: Hamsaye ka dusra haq yeh hai k inkay sath acha salook kiya jaye kisi kisam ki buri cheez na ki jaye agar humsaye se koi ghalti hojaye toh isko maaf kardiya jaye is tarhen karnay se muhabbat paida hoti hai.

Aiza Rasani Se Parhez: Humsaye ko kisi kisam ki takleef na di jaye jo shaks apnay humsaye ko takleef dehta hai woh kisi suraat main momin nahi humsaye ko takleef dehna iman k manafi cheez hai

Maali Kidmat: Nabi SAW ne farmaya hai ke jo shakhs seer ho kar khana khaye aur us ka hamsaya bhuka rahe woh moomin nahin hai. Hamsaye ka haq ye hai ke agar woh tumhari ayanat ka talib ho tou us ka hath batao. Agar woh bimar hai tou us ki timardari karo. Agar woh mohtaj hai tou us ka khayal rakho. Agar woh musibat mein hai tou us ke sath humdardi karo.

Tohfay - Gifts: Humsaya kyoun ke bohat qareeb hota hai is liye us ke mutaliq hadiyay bheejne ki zayada takeed ki gayi hai.
logoblog

Thanks for reading My Neighbours Urdu Essay Neighbours Right In Islam Hamsaye Ke Huqooq Padosi

No comments:

Post a Comment