Gajar Ka Halwa Banane Ka Tarika Gajar Halwa Recipe Urdu Carrot Halwa Vidhi Hindi

  Lal Gulab      
How To Make Gajar Halwa Recipe Urdu - Pakwan Kahani - Gajar Ka Halwa Banane Ka Tarika - Carrot Halwa - Aik choti si larki apne ghar ke terrace ke konay mein khari, paros ki aunty se be khabar  bare mazay se gajar ka halwa kha rahi thi. Main gajar ya daal ke halway ki shoqeen aik gol matool si bachi thi.

Woh karachi ki sardiyon ke din thay main us waqt ka intezar kiya karti jub meri walda dopehar ke aram ki tayari kartien aur hamara chughal khor khansama kitchen band kar deta, yehi waqt hota mere meethay adventure ka main kisi billi ki tarah dabay paon fareezer tak jati, apne liye gajar ka thora sa halwa nikal kar munasib had tak garam karti. Har dopehar ko gajar ke halwe ke sath mere ye dosti faqat aik mausam tak hi chal saki.

Intihai lazeez aur marghoob gahar halwa ki yehi tareef hai, akhir kis ne gajar mein shakar, doodh aur ghee shamil kar ke isay doddh khushk ho jane tak dheemi anch par pakaya aur aik marghoob meethay ki shakal di?

Tarikh Carrot Halwa History:
Kehte hain keh woh sikh thay jinhon ne gajar ka halwa mughal mehlat mein mutaraf karaya, shehanshahon ko is ka rang, khushbu aur zaiqa itna bhaya keh is pakwan ki mithas puri saltanat mein door door tak pheel gayi.

Halwa Arabic language ka word hai aur saqeel meethay ke liye istemal kiya jata tha, asal mein halwa atay ya mukhtalif mewa jat ko shakar makhan aur doodh ke sath paka kar meethay garhay ameezay ya sakht soondhay pakwan ko kehte thay. Aam tor par ye manna hai keh halwe ki ye qisam, mughal saltanat ke pheelao ke doran mashriq wusta aur asia kochak se tijarat ke natijay mein hinudtan mein mutaraf hoi.
Gajar Ke Halway Ki Afadiyat Yahan Se Parhain 13 Zabardast Points Sehat Ke Liye:

logoblog

Thanks for reading Gajar Ka Halwa Banane Ka Tarika Gajar Halwa Recipe Urdu Carrot Halwa Vidhi Hindi

No comments:

Post a Comment