Gadagari Urdu Essay Begging in Pakistan Begging Is A Curse Speech

  Umar Babar      
Gadagari Essay In Urdu Beggers In Pakistan Islam Mein Gadagari Ki Muzammat - Aaj gadagari ek majburi nahi balke aik aisi tanzeem hai jo mahazab mashray ke uper aik daag hai is liyae har hakumat ko iskay uper tawaja deni chahiyaw kyun ke koi b mulk tab tak tareeki nahi karsakta jab tak is mulk ke rehnay wahlay log izzat ki doulaat se maala maal na hon jis mashray main hatay katay insan gadagari k roop main jariam kar rahay hain sirf wohi mulk tareeki kartay hain jo izzat mand hon aur bik ke lukmay ke bajaye fakay ko tarji deti hain.

Aaj ke fakeer ko dekh kar karobar kar rahe hain kyun ke aj ke fakeer majboor insan nahi balkay un ke pass safaid posh se zayada phaisay hain jo bank balance rakhtay hain aur area ke thekedaar ko commition ada kartay hain.

Jo mazboot tawana hone ke bawajood mehnat se door bhagta hai aur logon ke bheek mangta hai. Gadagari aik lanat hai jisay khatam hona chahiye is lke liye sakht qawaneen ki zaroorat hai agar is aik lanat ko khatam kar diya jaye tou is se photne wali bohat si buraiyan khud ba khud khatam ho jayien gi. Muashi zarooriyat har aik ke sath hain pait ke taqazon se inkar nahin kiya ja sakta khush kismat hain woh log jo shikam ki zaroorat ko menhat mazdoori se pura karte hain. Ghareeb hona jurm nahin apne aap ko dusron ka mohtaj banana jurm hai. 

Ye bheek mangne wale yani bhikari aik tanzeem ke sath kaam karte hain baqaida tarbiyat yafta hote hain aur in ke pas parda aik controlling body hoti hai. in ka libas in ka andaz in ka shuaar aur in ke labon se phisalne wale be sakhta jumle aik musalsal tarbiyat ka pata dete hain. Ye tanzeem insani nafsiyat ki mahir hai apne fan mein kamil hai aur logon ki mazaj shanas aur nabz ashna hoti hai. Is tanzeem ke karta dharta apne karindon ki kefiyat, salahiyat aur jismani sakht ke mutabiq unhain faraiz sompte hain.
logoblog

Thanks for reading Gadagari Urdu Essay Begging in Pakistan Begging Is A Curse Speech

No comments:

Post a Comment