Chess History In Urdu Chess Game Shatranj Ki History Tarikh Information

  Umar Babar      
Chess History In Urdu Shatranj Ka Kheel - Chess Information Urdu Ijaad Shatranj ki tareekhi hasiyat badi mubham hai aur yakeen ke sath khuch nahin kaha jasakta ke is ko kis nay ijaad kiya hai duniya ka koi mulk bhi aisa nahin jis nay shatraj ke ajaad ko apne se mansoob na kiya ho. Unan, Room, Misr, Iran, Arab sabhi is ki ijad ke mudai hain. Baaz ne is ke mojad ka naam Hakeem zahir kiya hai baaz n Arastu lekin zayada rujhan yehi hai ke ye ijad hindustan ki hai aur iska asal name string tha jo ke kisi tarakht ki jar hai jo Arabic mein shatranj ho gaya.

Hindi History of Chess Invented In Which Country - Shatranj Ka Kheel Kab Ijad Hua?

Kaha yehi jata hai ke yeh kheel sab se pehle hindustan se Iran pohancha phir Iran se mohron ki qeemat muqarar hoi thi jin ka akheer mein shumar hota tha aur zayada qeemat ke mohray rakhne wala kamyab shumar kiya jata tha. Aam toor par mashoor hai ke Muslims nay yeh shatranj ka kheel yani chess game hindu se see magar chess ka kheel ahl Unan ke yahan bhi qadeem adwar mein maqbool raha aur un ka dawa hai ke Falamedows is ka mojad hai.

Chees Ijad Karne Wale Ke Liye Inaam: Shatranj ke mojad ke bare mein aik qissa mashor hai ke us ne is ke silay mein badshah se sirf chawal ki itni maqdar talab ki thi jo 64 khanon mein pehle khane se do chand ke hisab se aye lekin baad mein hisab karne par maloom hua ke us ne itni chawal ki maqdar mangi ke pura shahi khazana bhi us ka bar na utha sakta tha. Alberuni aur Sufi ne jo hisab kiya is se pata chala ke mojad ka mutalba inaam, jo bazahir haqeer nazar aata tha kitni bari daulat ka mutalba tha.


Shatranj Ki Tarikh Complete: India mein janam laine wala ye kheel aaj puri dunya mein shooq se kheela jata hai jise maghrib ne khuch qawaid o zawabit (rule) mein tabdeeliyan kar ke arooj par pohancha diya aur woh kheel shatranj jise badshahon ka kheel bhi kaha jata hai, sari dunya mein maqbool hai. Is ka shumar qadeem tareen aur mushkil tareen kheelon mein hota hai. Mojooda shatranj apni qadeem shakal se kafi mukhtalif hai chess ki history taqreeban 1500 saal par muheet hai aur is tamam arsay mein is ne bharat se le kar maghrib tak ka safar kiya hai.

Tarikh danon ka kehna hai ke shatranj ka aghaz 6th sadi qabal masih mein bharat mein hua, albata khuch tareekh dan mantay hain ke is ka aghaz China se hua. Bharat se ye kheel Iran pohancha. Baad mein ye kheel europe pohanch gaya chess game ki jadeed shakal 18th century mein samne ayi is door ko shatranj ka romanwi yani romantic chess time kaha jata hai un dinon bazi jeetne se zayada isay khelne ka andaz aham samjha jata tha aur isay aik art ka darja hasil tha. Pehli almi shatranj champion ship ka aghaz 1886 mein hua.

India mein 6th century ke gupta ke door mein Chatranga kaha jata tha jis ka matlab (meaning) char hisay tha. In 4 hisay se murad fauj ke 4 devision yani paidal, topkhana, rathsawar aur ghoda sawar tha. Unhain 4 fauji iqsam ki bunyad par shatranj mein paidal, fel, toop aur ghoray yani horses ke mohre wajood mein aye aaj bhi bharti aur maghribi shatranj ki 2 maqbool types hain.
logoblog

Thanks for reading Chess History In Urdu Chess Game Shatranj Ki History Tarikh Information

No comments:

Post a Comment