Bu Ali Sina Urdu History Ibn e Sina Biography & Information

  Lal Gulab      
Ibn e Sina History Urdu - Bu Ali Sina 970 mein bukhara ke qareeb aik qasbay mein paida hue Ibn-e-Sina ki paidaes (berth) ke waqt un ke walid aik alaqay ke governor thay. Bukhara mein Ibn-e-Seena ne 10 saal ki umar mein Quran hifaz kar liya. Kam umar mein hi unhon ne us daur ke science ke aloom mein maharat hasil kar li. Bu Ali Seena ne aik hindustani sabzi farosh se hisab seekha. Falsafa, geometry aur falkiyat ki taleem unhon ne Abdullah Natli se hasil ki, taham shagird thoray hi arsay mein ustad par sabqat lay gya unhain ustad se zayada martaba aur muqam milne laga.

Ibn e Sina ka khasoosi shoba Tib tha unhon ne ilm tib mein shandar maharat hasil ki. 18 saal ki age mein woh aik maney hue tabeeb ban chukay thay. Unhon ne ilaj ke nat naye tariqay daryaft kiye. Woh likhte hain Tib rayazi aur tabiyat ki tarah mushkil science nahin main ne is mein bohat taraqi ki main aik umdah tabeeb ban gya aur azmooda nuskhe istemal kar ke mareezon ka ilaj karne laga.

Bu Ali Seena ki shohrat door door tak pheel gayi woh mustahiq mareezon ka muft ilaj karte thay. Ibn e Sina ne Mehmood Ghaznavi ki taraf se Ghazni anay ki dawat rad kar di aur Bukhara se Khawarzam chale gaye jahan Ali Ibn-e-Memon ne un ka mahana wazeefa muqarar kar diya wazeefa bohat kam tha is liye is jagah ko chhor kar Kharasan se hotay hue Nishapur chale aye Nishapur se unhon ne Jarjan ki rah li. Yahan unhon ne aik kitab (book) likhi unhon ne bohat se mashoor kitabain likhien jin mein se khuch 17th century tak europe ke tibi adaron ke nisab mein shamil rahi.

Ibn e Sina ne taqreeban 450 kitabain tasneef kien jin mein se 240 kitabon ke asar milte hain. Apni zindagi ke akhri dinon mein Bu Ali Sina aik bimari mein mubtala ho gaye. Apne ilaj se unhain afaqa tou ho gaya magar aik aur jangi meham mein shirkat ke natijay mein marz laut aya unhain doston ne aram ka mashwara diya magar unhon ne inkar kar diya. Jub unhain yaqeen ho gaya ke un ka akhri waqt hai tou unhon ne apna sara saman ghareebon mein bant diya, ghulam azad kar diye aur har 3 din mein Quran pura parh laitay un ka ye mamool akhri waqt tak jari raha.
logoblog

Thanks for reading Bu Ali Sina Urdu History Ibn e Sina Biography & Information

No comments:

Post a Comment